Showing posts with label #SuNWrites. Show all posts
Showing posts with label #SuNWrites. Show all posts

Wednesday, September 30, 2020

अगर इस क़ायनात में दुआ का असर होता है...

अगर इस क़ायनात में दुआ का असर होता है.

तो यकीन मानो...

बददुआ भी यक़ीनन एक न एक दिन जरुर असर दिखायेगी।

#BestAnswers 
#Romil

Saturday, May 23, 2020

chalo ab safar ko lapeto...

chalo ab safar ko lapeto...
ab ghar chalte hai...

bahut din guzaar liye idhar...
ab ghar chalte hai...

khuda ne pukara...
pal mein badal gaya nazara...
chhod kar begana jag saara...
ab ghar chalte hai...
hisab ka din hai...
chalo ab safar ko lapeto...
ab ghar chalte hai...

#Romil Arora

Monday, April 27, 2020

Chalo ek afwaah bazaar mein fehlai jaye... 29th April

chalo ek afwaah bazaar mein failai jaye...
ya kaho to khabar akhbaar mein chapwai jaye...

"tum bahut Worried rehti ho mere liye"

"na kabhi wafa ki... 
na mohabbat ki tumne... 
kabhi na apna samjha mujhko...
fir bhi na jaane kis HAQ, kis Hausale se kheti ho... 
koi jagah nahi hai tere liye..."

yeh jo hans deti ho na...
itna hi dukh kafi hai mere liye...

nafrat hai tumhari hansi se mujhko...
roz MAUT ki dua mangata hun tumhare liye...

#Romil
290420 - Wed

चलो एक अफ़वाह बाजार में फैलाई जाए...
या कहो तो ख़बर अखबार में छपवाई जाए...

"तुम बहुत वरीड रहती हो मेरे लिए"

"ना कभी वफ़ा की...
ना मुहब्बत की तुमने...
कभी ना अपना समझा मुझको...
फिर भी ना जाने किस हक़, किस हौसले से कहती हो...
कोई जगह नहीं है तेरे लिये..."

यह जो हँस देती हो ना...
इतना ही दुःख काफ़ी है मेरे लिए...

नफ़रत है तुम्हारी हँसी से मुझको...
रोज़ मौत की दुआ मांगता हूं तुम्हारे लिए...

#रोमिल

Tuesday, April 7, 2020

Sifarish se mili hui Naukri...

Ammi kehti thi...

Sifarish se mili hui Naukri...
Aur Ghar se bhagi hui Chokari pe jyada gumaan nahi karna chahiye...

Rishwat ki daulat...
Aur Dikhawat-Banawat ki surat pe jyada gumaan nahi karna chahiye...

Mukhbiron... khusro ki biradari...
Ameero ki khatirdari...
Aur Jua mein jeeti hui baazi pe jyada gumaan nahi karna chahiye...

#Romil Arora

Monday, April 6, 2020

Tumhare mizaz ke har mausam se wakif hun main...

Ammi Kehti Thi...

Tumhare mizaz ke har mausam se wakif hun main...
Ab batao kaun sa naya Qarnama kar diya tumne...

Chehare pe tumhare sukun-shanti-muskurahat bata rahi hai...
Aaj fir kisi ki baaton ko bardasht kar liya tumne...

Beta... Izzat, Swabhiman se bada koi Rishta nahi hota...
Aur chahe Beti ho ya fir Beta... Maa ka darwaza hamesha unke liye khula hi rehta...

#Romil

Tuesday, March 31, 2020

04th April...

Maa ka Din 🙂

Maa ka Birthday 🌼

Wednesday, January 15, 2020

छड़ी को खटखटाकर ज़मीन पे

छड़ी को खटखटाकर ज़मीन पे 
अम्मा बोली, आज घूमने चलेंगे... 
जो राज, इस रोमिल ने अपने दिल में छुपा रखे है... 
उसको आज खोजने चलेंगे...
अम्मा बोली, आज घूमने चलेंगे... 

हम भी ज़रा सुने तो... राजा बेटा के दिल में कौन रहता है... 
किसका दर्द इस छोटे से दिल में छुपा रखा है,
जो तू हर पल बस मुस्कुराता रहता है... 

न तुझे ज़िंदगी की फ़िक्र
न तरक़्क़ी की आरज़ू 
न दौलत की चाहत  
न कोई सपना, न कोई ख़्वाब, न कोई उम्मीद,
न कोई रिश्तेदारी,
न कोई दोस्त-यार,
क्या इस दुनिया में कोई इस तरह भी रहता है?   

तू तो हर बात पर मुस्कुरा कर टाल देता है... 
जब देखो तब मुस्कुराता रहता है... 
अपने ही टशन में रहता है... 

सुना न... आज तेरा दर्द सुनने को दिल करता है... 

#रोमिल

Monday, January 13, 2020

Mitti ki qabr pe hi khilenge phool...

Ammi Kehti Thi...

Yeh Dimak hai...
Na dikhenge... Fir bhi sab chhat kar jayenge...
Shak... Shak ko dil mein panah na do...

aur

Allah ki zaat se itni mayushi aachi nahi...
Dekhana hamare bhi aache din aayenge...

Khuda ki duniya...
Khuda ke log...
Sab kuch us Parwardigar ka...
Hum khali haath aaye the, khali haath jayenge...

aur

Mitti ki qabr pe hi khilenge phool...
Sangemarmar ke mehal tamasha dekhane ke kaam aayenge...

aur

Bewafai ko jayaz mat tehrana kabhi...
Warna... Rishton ke sirf naam reh jayenge...

#Romil

Sunday, December 15, 2019

Laazmi hai door talak jayegi...

Laazmi hai door talak jayegi...
Yeh dushmani hai... Itni jaldi kaha mit payegi...

Aur na hum khatam hone denge...

Abhi toh humko bade karz utarne hai...
Zakhmo ke pade nisaan mitane hai...
Abhi kaha andhere ki chhata chhat payegi...

Aur na hum andhera khatam hone denge...

Abhi toh Khuda ko bhi hairani-pareshani mein dalna hai...
Uski likhi ko bhi badalna hai...
Maut se Maut ka hisaab chukana hai...
Pushton tak yeh rivayat nibhai jayegi...

Laazmi hai door talak jayegi...
Yeh dushmani hai Miya...
Itni jaldi kahan mit jayegi...

Aur na hum khatam hone denge...
Chahe khud khatam ho jaye...

#Romil Arora

Thursday, December 12, 2019

Yeh na samjho ki main sab bhulaye baitha hun...

Yeh na samjho ki main sab bhulaye baitha hun...
Mohabbat-e-Dariya mein sab kuch bahaye baitha hun...

Muddat bas tum us din tak samjho... 
Jab tak Khuda mujhe mauka nahi deta...
Muddat bas tum us din tak apni samjho... Jab tak Khuda mujhe koi mauka nahi deta...
Main apne Dil mein Nafrat-e-Toofan liye baitha hun...

Muddat bas tum us din tak samjho...

#Romil Arora

Main woh Katra hun...
Main woh Katra hun...
Jo Sagar ko pee jaye...
Ek hi ghut mein Sagar ko pee jaye...

#Romil Arora

Mujhse nahi jeet paoge...
Keh deta hun...
Mujhse nahi jeet paoge...
Tum Imandari ke haaton pees jaoge...

Aur 

Mere Haq mein to Rab ke Faristee Bolte hai...
Tum kis Khuda, Mazaar, Mandir ka darwaza khatkhataoge...

Tum Imandari ke haaton pees jaoge...
Mujhse uljhoge to ulajh ke reh jaoge...

#Romil Arora

Saturday, December 7, 2019

Dosh kispe lagaye...

Dosh kispe lagaye...

Qismat ko kose
ya Halaat pe ungali uthaye...

Halaat ko kasoorwaar tehraye
ya waqt hi badnaseeb tha yeh samjhaye...

Waqt ko doshi samjhe
ya apno ko gunahgaro ke katghare mein khada karwaye....
ya fir Khud par hi ilzaam lagaye...

kuch samaj nahi aata hai....

#Romil Arora

pehle 04 log the ek ghar mein rehte the...
ab 04 alag-alag ghar mein rehte hai...
02 Rab ke yahan...
02 is daudati-bhagati hui dunia mein...

#Romil Arora

Wednesday, May 15, 2019

Jaise Chhota-Mota Khuda aa gaya ho koi...

yeh tamboo...yeh phoolon ki mala... yeh aarti ki thali...yeh chandan tika...
log itne baichan ho jaate hai Neta ko dekhkar...
Jaise Chhota-Mota Khuda aa gaya ho koi...

kal wahan ek jhopadi thi...
haan... haan... kal us khaali plot mein ek jhopadi thi...
lagta hai nigal gaya usko ameerzaada koi...

aaj uski kalai suni dekhi...
kal jisme sone ke kangan the...
is mehangai mein aa gai hogi majboori nai koi...

aur

is tarah brahmachari ka andhera chhaya hai uski zindagi mein...
jaise Hanuman ban Suraj nigal gaya ho koi...

#Romil Arora

Monday, April 22, 2019

Paise bin Mai kahe janma Put Kaput...

Siyane Kehande Hai...

Paise bin Mai kahe janma Put Kaput...
Bhai bhi paise bina maare lakh Sar Jut...

(Sabse Bada Rupiya... Paisa na kama ke de to Maa ke liye bhi Beta, Nalayak ho jaata hai... Bhai to Sar pe Jute maar ke use Ghar se dhakke dekar nikaal hi deta hai.... 

Baap Bada Na Bhaiya Sabse Bada Rupiya...

Rupiya Khuda to nahi... Par Khuda Qasam Khuda se kam bhi nahi...)

Isliye apne liye Rupiya jarur Deposit karke rakhe... Apne Sar ke liye Chhat Ek Ghar jarur banaye....

#Romil Arora

Sunday, April 21, 2019

ab to yeh shehar maatam ka shehar nazar aata hai...

ab to yeh shehar maatam ka shehar nazar aata hai
har taraf chitta jalti ho
har koi murda nazar aata hai...
~*~
na insaniyat hai kahi
na koi apna hain
na kahi khuda nazar aata hai...
~*~
ab to yeh shehar maatam ka shehar nazar aata hai...


dhamako se dehla hua...
shanti ka shehar... cheekon mein tabdeel nazar aata hai...

#Romil Arora

Wednesday, April 17, 2019

Fark...

Siyane kehande hai...

Miya...

Hum ek tho jo Meetha Paan bhi kha le, to apni Jebein tunakati hai... Jebein tang haal ho jaati hai...
Woh Dawatein bhi kar le to koi kharcha nahi hota...

(Garib ki saari kamai Daal-Roti mein hi nikal jaati hai, Ameer ka sirf 5-10% hi Daal-Roti mein kharcha hota hai....)

#Romil

Saturday, April 6, 2019

Main...

Kaun manega Main Sagar hua karta tha...
Aaj Sahil ki rait ke barabar bhi nahi hun Main...

aur

Yeh log jo mujhe Hari-Gulabi Pattiya dikhate hai...
Kabhi in par apni Utaran Utaar fhek deta tha Main...

#Romil Arora

Sunday, March 24, 2019

Ek Shakhs...

Ek shakhs Roj mere jism se kehlata hai...
Kabhi Rooh mein meri utara nahi...

aur

Ek shakhs Ek Roj meri Rooh mein utara tha...
Aaj tak mere jism mein mehak raha hai...

#Romil Arora

Wednesday, March 20, 2019

door Kabr se Aawaz aati rahi Raat bhar...

maine pucha Khuda se...
koi hai mere jaisa iss jahan mein...

door Kabr se Aawaz aati rahi Raat bhar...

#Romil Arora

dilfhek aashiq... awara... majnu... diwana... pagal... nikamma-nakara...
chahe kuch bhi Bol le...

Bas is Sitam se bacha lena...
Tumhare Ladke humein MAMA na kahe...

hahaha

#Romil Arora

Uske Ladke bhi Ishq mein Hamari Hi Mohabbat Ka Syllabus padte hai...

na koi masla... na koi baat...
biwiyon ka to HaQ hai be-matlab hi root jaane ka...

chu lo to angaar si barasti hai...
raat mein choo lo to angaar si barasti hai...
na chuhoo to "ab ishq nahi karte ho..." ka taana deti hai...
biwiyan ka to HaQ hai be-matlab hi root jaane ka...

hahaha

#Romil Arora

Bas Ishq mein kiye itne qarnaame hai...
Uske Ladke bhi Ishq mein Hamari Hi Mohabbat ka Syllabus padte hai...

hahaha

#Romil Arora

Sunday, March 17, 2019

Balaa thi... Balaa...

khuda... khuda... khuda...
keh-kehke to peecha chhudaya hai...

Na jaane kitni Dua padni padi Mazaar pe... Tab jakar chutkara naseeb hua...

Balaa thi... Balaa... Balaa Aurat...

#Romil Arora