Showing posts with label tasveer. Show all posts
Showing posts with label tasveer. Show all posts

Sunday, September 16, 2018

kisne kaha tasveerein usne chhupa li hai...

kisne kaha tasveerein usne chhupa li hai...
balki maine khud apni nazron mein sama li hai...

kaash kabhi woh yeh kehti yeh wali jyda aachi hai meri tasveer...
isko apne takiye ke neeche daba lo...
ya kisi kitab mein chhupa lo...
ya apne purse mein sahej lo...
ya mandir mein aasan ke neeche rakh lo...

roz beshumaar labon ke nisaan is tasveer par chhodana...

"SelfieAngel"

#Romil

किसने कहा तस्वीरें उसने छुपा ली है... 
बल्कि मैंने खुद अपनी नजरों में समा ली है... 

काश कभी वह यह कहती यह वाली ज्यादा अच्छी है मेरी तस्वीर... 
इसको अपने तकिए के नीचे दबा लो... 
किसी किताब में छुपा लो... 
या अपने पर्स में सहज लो... 
या मंदिर में आसन के नीचे रख लो...

रोज बेशुमार लबों की निशान इस तस्वीर पर छोड़ना...

"सेल्फी एंजेल"

#रोमिल

Tuesday, September 4, 2018

Main chahta to uski tasveerein rakh bhi sakta tha...

Main chahta to uski 
tasveerein 
rakh bhi sakta tha...

(bas jarurat mehsus nahi hu... maine uske naam ko apne dil mein rakha hai... usko apni zindagi, apne dil mein panah di hai...

par aadat si ho gai thi, subah aankh khulte hi uska deedar karna, fir pyar bhara ek baar labon se sparsh karna...

par aadaton ka kya hai woh badli bhi ja sakti hai...

#Romil

Friday, August 17, 2018

khuda gar surat mein dhal jaye to tujhsa hi hoga...

khuda gar surat mein dhal jaye to tujhsa hi hoga.
khamoshi agar had se badh jaye to shama maatam sa hoga.
kaagal ka ek chhota sa tikka laga lo, chehara aur bhi roshan hoga.

aur

kitabon ko sar pe sajaoge to maa sa ashirwad, 
baahon mein baroge to begum sa sukoon milega aur jo 
haaton mein thamkar nikaloge to beti sa sahara milega...

#Romil

ख़ुदा अगर सूरत में ढल जाए तो तुझसा ही होगा...
खामोशी अगर हद से बढ़ जाए तो शमां मातम सा हो होगा... 
काजल का एक छोटा सा टीका लगा लो, चेहरा और भी रोशन होगा... 

और 

किताबों को सर पर सजाओगे तो माँ सा आशीर्वाद... 
बाहों मे भरोगे तो बेगम सा सुकून मिलेगा और जो 
हाथों में थामकर निकलोगे तो बेटी सा सहारा मिलेगा... 

#रोमिल

Saturday, March 31, 2018

Tasveer teri fhat jaati hai...

Mere ashkon mein teri tasveer utar aati hai...
Jitna bhi chupana chaho Ishq ki khushbu fhal jaati hai...

aur

Hum tummein aur Teri tasveer mein koi fark nahi samajhate hai...
Jab-Jab teri bewafai yaad aati hai...
Tasveer teri fhat jaati hai...

31st March...

-RaJ 

Friday, July 19, 2013

tasveer

google+ par tasveer bacche si laga rakhi hai usne
aye khuda kaash uska dil bhi bacche sa hota.

#Romil

गूगल+ पर तस्वीर बच्चे सी लगा रखी है उसने
ए ख़ुदा, काश उसका दिल भी बच्चे सा होता...

#रोमिल

Friday, December 9, 2011

तस्वीरें अच्छी नहीं लगती हैं मुझे

तस्वीरें अच्छी नहीं लगती हैं मुझे
दिल में एक चुभन दे जाती हैं मुझे...
***
जब भी देखता हूँ उसको तस्वीर में
यादें दे जाती हैं मुझे...
***
मेरे लिए तो उसका नाम ही काफी हैं
बीते लम्हों की मुलाक़ात-ए-आलम ही काफी हैं
नहीं रखना मुझे वास्ता किसी तस्वीर से
हकीक़त से दूर ले जाती हैं मुझे...
***
कदम-कदम पर रिश्ते बदलते देखे हैं मैंने
सावन के मौसम, पतझड़ में बदलते देखे हैं मैंने
यह वापस उसी भूलभुलैया में ले जाती हैं मुझे.,,
***
बन गया कातिल मेरे लिए अपनी नज़रों का दांव
एक तरफ तस्वीर-ए-आम
एक तरफ उसका नाम
रह-रह कर उसकी झूठी मुस्कान याद आती हैं मुझे
तस्वीरें अच्छी नहीं लगाती हैं मुझे
दिल में एक चुभन दे जाती हैं मुझे...

#रोमिल

Saturday, June 26, 2010

tasveerein aachi nahi lagati hain mujhe...

tasveerein aachi nahi lagati hain mujhe
dil main ek chubhan de jaati hain mujhe...
***
jab bhi dekhata hu usko tasveer main
yaadein de jaati hain mujhe...
***
maire liye to uska naam hi kaafi hain
beete lamhoo ki mulaqat-e-aalam hi kaafi hain
nahi rakhana mujhe vasta kisi tasveer se
haqeqat se durr le jaati hain mujhe...
***
kadam-kadam par rishtee badalte dekhe hain maine
saawan ke mausam, pathjhad main badalte dekhe hain maine
yeh wapas ussi bhool bhulaiya main le jaati hain mujhe
***
ban gaya qaatil mere liye apni nazaron ka daav
ek taraf tasveer-e-aam
ek taraf uska naam
reh-reh kar uski jhooti muskaan yaad aati hain mujhe
  tasveerein aachi nahi lagati hain mujhe
dil main ek chubhan de jaati hain mujhe...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, March 19, 2010

aaj fir uski tasveer se baatein...

aaj fir uski tasveer se baatein karta raha
ek aur sitam khud par karta raha...
***
do qadam par tha mera pata
woh milne ke liye fasla karta raha...
***
andheron ne bahut gher rakha tha mujhe
main roshani ke liye dil ko jalata raha...
***
usko bhool jaun ya yaad rakhu
yahi soch kar din apna katata raha...

#Romil

Tuesday, September 22, 2009

tasveerein

uski tasveerein mita kar main is tarah roya,
jaise bhukh se baacha rota hain...

#Romil

Monday, May 18, 2009

nahi bhule...

Hum aaj bhi aankhen ladana nahi bhule
Aashiqui ka zamana nahi bhule...
~*~
Tum rukh se naaqab mat hatana
Hum aaj bhi behoshi ka aalam nahi bhule...
~*~
Ek umar hue tumko apni baahon main bhare hue
Hum aaj bhi aag main jalana nahi bhule...
~*~
Yeh baat alag hain, tum ab maire nahi ho
Hum aaj bhi teri tasveer banana nahi bhule...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, February 25, 2009

~~dil se~~

mehboob ki tasveer banate-banate jawani guzar gaye Romil
jab bani to baazar ki ho gaye...
~~~
Is tarah toota hain dil mera mat pucho
ki kanch ko pathar se thoda gaya ho...
[written by romil arora-copyright reserved]


Friday, February 20, 2009

ibadat

tasveer maine maangi thi
ibadat ke liye...
usne ek khat bhej diya khuda haafiz kehte hue...
----------------
main aur usko bhool jau
kaisi baatein karte ho?

surat to Rab ki bhi nahi dekhi...
ibadat ke liye uska naam hi kaafi hai...
[copyright reserved-written by romil arora]

Wednesday, December 3, 2008

tasveer teri laajawab hai...

DOll Tasveer tumhari laal kurti wali...
JAb se dekhi hai dil bekarar hai
AAnkhon se aankhen baatein karti hue hai
HOonton par muskaan teri laajawab hai...
~---~
AAdhi-Aadhi dhoop main
AAdhi-Aadhi shaam main
MEhakti jhulfe tumhare
USme dekhata main khawab laajawah hai...
*****~~~*****
DOll tasveer tumhari pink jacket wali...
JAise halki-halki dhoop barsaat lekar aaye ho
INdradhanush ke rang bekherati muskaan tumhari
USme pyar ki sajati hue rangoli laajawah hai...
~---~

HOonton main chupe hue shabd tumhare
JIsse main samajhata hua,
FHir savere se unhi shabdon ko sochata hua,
UN shabdon main khush hona, aansoo bahana laajawah hai...

SACH MAIN TASVEER TERI LAAJAWAB HAI
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, November 20, 2008

Tasveer Na Mili




Deedar Ko Nazare Taras Gaye,
Magar Tasveer Na Mili.
--------------------

Vaade Mile, Qasme Mile,
Magar Jisne Vaadae, Kasame Khaye Uski Tasveer Na Mili.
--------------------

Dosti Mili, Mohabbat Mili,
Magar Us Faristee Ki Tasveer Na Mili.
--------------------

Judai Mili, Yaadein Mili,
Magar Dil Ko Raahat Dene Ke Liye Tasveer Na Mili.
--------------------
Aansoo Mile, Tarap Mili,
Magar Haal-e-Dil Sunane Ke Liye Tasveer Na Mili.
--------------------
Ab To Tahna Hu, Akela Hu,
Magar Tanhaiyoon Main Sanam Se Baat Karne Ke Liye Tasveer Na Mili.
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, September 14, 2008

tasveer...

Rait par mehboob ki tasveer kyon banate ho,
Haawaon se kyon dushmani karte ho!
!*!
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, September 7, 2008

Tasveer...

Sanaam Karti Hai
Tasveer Teri Mujhse Baatein...
Kehti Hai...
Yeh Intezaar Ka Pal Mujhe Aacha Nahi Lagta,
Mujhe Dekh Kar Teri Aankhein Bhar Aati Hai,
Tu Mujhe Tanha Aacha Nahi Lagta!
*~*~*
[written  by romil arora - copyright reserved]

Thursday, August 28, 2008

Mujhe Mita Dejeiyega....


Dushman Rabb Mumkin Ko To Mujhe Mita Dejeiyega,
Ya Fhir Pathar Ka Boot Bana Dejeiyega,
Jo Na Saansein Le,
Jo Na Aansoo Bahaiye,
Jisme Na Dil Dhadake,
Ek Deewar Par Lage Tasveer Bana Dejeiyega...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, July 12, 2008

Maire Tasveer Ko Pyar Kar Lena....


Jab Yaad Tumhe Maire Aaye Saanam,
Maire Tasveer Se Baatein Haazar Kar Lena!
Jab Reh Na Sako Tum Mere Bina,
Lena Tasveer Ko Baahon Main,
Aur Jee Bhar Kar Pyar Kar Lena!

Agar Kabhi De Jaye Kismat Dhoka,
Saanam Mujhpar Ek Ehsaan Kar Dena,
Roz Ek Baar Jarur Maire Tasveer Ko Pyar Kar Lena!

[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, July 3, 2008

Ek Tasveer Taire Mangi Thi....

Ek Tasveer Tere Mangi Thi....


Ek Tasveer Tere Mangi Thi,
Tune To Zindagi Bhar Ki Judai De Di!


Do Pal Ki Khushi Mangi Thi,
Tune To Gum Ki Barsaat De Di!


Phoolon Ka Shaq Tha Mujhe,
Tune To Kaanton Ki Daali De Di!


Mujhe Sapno Ki Aadat Thi,
Tune To Intezaar Ki Aadat De Di!


Ek Tasveer Tere Mangi Thi,
Tune To Zindagi Bhar Ki Judai De Di!

[written by romil arora - copyright reserved]