Showing posts with label chahat.... Show all posts
Showing posts with label chahat.... Show all posts

Thursday, October 4, 2018

Agar chahti ho ...

Agar chahti ho...
Sazaa-e-mohabbat... Sazaa-e-Maut mein tabdeel na hone paaye..
To meri pehredaari band kar do...

Tumhara mujhse wafa ki umeed rakhna...
Khud bewafai karna...
Jyada takleefdaar maloom padta hai...

#RaJWrites

Wednesday, October 3, 2018

Main chahta to mujhe mil sakte hai...

Main chahta to mujhe mil sakte hai...

Yeh haseen ghesu ki shaamein...
Yeh madmast mujhe takti nigahein...
Yeh mohabbat se labalab bhare hue lab...
Yeh madhosh kar dene wali raatein...
Yeh pyar ke aanchal mein ugti hui subah...

Main chahta to mujhe mil bhi sakte hai...

#RaJWrites

Friday, September 28, 2018

Tootkar chahne wali...

Tootkar chahne wali to mujhe bahut mili...
Magar Tod dene wali... Mujhe Tod dene wali sirf tum mili...

#RaJWrites

Thursday, August 15, 2013

Main taqdeer ko aajmana chahta hoon

Main taqdeer ko aajmana chahta hoon
Fir ishq ki bimari chahta hoon

Dube hue jahaaz se kya wasta
Main ab nai kashti ki sawari chahta hoon

Halaki door tha magar rooh-e-sukun sa tha
Main fir waisa hi mehboob, dost chahta hoon

aur

Romil, nahi chahiye yeh saagar, yeh nadi, yeh jharne
Main ek muddat se moksh ka pyasa hoon, ganga ki boondh chahta hoon.

#Romil

मैं तकदीर को आजमाना चाहता हूं 
फिर इश्क़ की बीमारी चाहता हूं... 

डूबे हुए जहाज से क्या वास्तव 
मैं अब नई कश्ती की सवारी चाहता हूं... 

हालांकि दूर था मगर रुह-ए-सुकून सा था 
मैं फिर वैसा ही महबूब, दोस्त चाहता हूं... 

और 

रोमिल, नहीं चाहिए यह सागर, यह नदी, यह झरने 
मैं एक मुद्दत से मोक्ष प्यासा हूं, गंगा की बूँद चाहता हूं...

#रोमिल

Friday, April 16, 2010

kuch...

kehte hai ki shaam ka maaza liya jata hai...
AANKHON KO NARM NAHI KIYA JATA HAI...
aise hi nahi computer ke samne APNA SAR FHODA jata hai...
***
do-char ghut CHAI ke piye jate hai...
fir thodi dair baad rab ko yaad kiya jata hai...
***
park mein sair-sapata kiya jata hai...
chhat par bhi ghuma ja sakta hai...
***
Jab BAACHE PYAR SE NAHI SAMAJHATE
TO ZOR SE THAPPAD MAARA JATA HAI....

hehehehehehe

कहते हैं की शाम का मजा लिया जाता है 
आंखों को नम्र नहीं किया जाता है... 
ऐसे ही नहीं कंप्यूटर के सामने अपना सर फोड़ा जाता है...

 
दो-चार घूंट चाय के पिये जाते हैं 
फिर थोड़ी देर बाद रब को याद किया जाता है... 

पार्क में सैर-सपाटा किया जाता है 
छत पर भी घुमा जा सकता है... 

जब बच्चे प्यार से नहीं समझते 
तो जोर से थप्पड़ मारा जाता है...

हाहाहाहा
______________

chalo thoda sa muskurao...
chalo thoda sa gungunao...
chalo gum ko bhul jao...

dekho hum laaye hai KITKAT

thoda tum khao.
thoda humko khilao...

hehehehehe

चलो थोड़ा सा मुस्कुराओ... 
चलो थोड़ा सा गुनगुनाओ... 
चलो ग़म को भूल जाओ... 

देखो हम लाये है किटकैट 

थोड़ा तुम खाओ... 
थोड़ा हमको खिलाओ...

हाहाहाहा
______________

Maana doston se milne ka bahut kam rehta hai tere pass waqt Romil

Itna bhi kam nahi
Mere Yaar ka sandesha jo laye use Salaam bhi na keh saku...

माना दोस्तों से मिलने का बहुत काम रहता है तेरे पास वक्त रोमिल 

इतना भी काम नहीं 
मेरे यार का संदेशा जो लाये उसे सलाम भी ना कह सकूँ... ______________

Kitna jhuk chuka hu uski chahat mein Romil
Kitna khud ko jaleel karwa chuka hu uski chahat mein Romil
Ab to bas ek saawal reh gaya dil mein
Kya hum bhi kabhi Khuddar hua karte the???

कितना झुक चुका हूं उसकी चाहत में रोमिल 
कितना खुद को ज़लील करवा चुका हूं उसकी चाहत में रोमिल 
अब तो बस एक सवाल रह गया दिल में 
क्या हम भी कभी खुद्दार हुआ करते थे???
______________
Log kehte hai ki tu us par joke kyon kehta hain Romil...
Jab itna pyar karta hai to fir usko bewafa kyon kehta hai Romil...
Kaise samjhau unko,
Jo zara si baat nahi samajhate hai
zakhmo ko kuredne par hi to uska chehara-e-noor dekhata hai...

लोग कहते हैं कि तू उस पर जोक क्यों कहता है रोमिल... 
जब इतना प्यार करता है तो फिर उसको बेवफा क्यों कहता है रोमिल 
कैसे समझाऊं उनको... 
जो जरा सी बात नहीं समझते हैं 
जख्मों को कुरेदने पर ही तो उसका चेहरा-ए-नूर दिखता है...
______________

Pardadari itni bhi thik nahi thi Romil
mujhko tadapta dekhate rahe
aur pardadari bhi karta rahe...

पर्दादारी इतनी भी ठीक नहीं थी रोमिल 
मुझको तड़पता देखता रहे 
और पर्दादारी भी करता रहे...
______________

Main Chillata Raha
Main Pukarata Raha
Main Rota Raha...
Gunah kya tha mera
Jo woh durr khada
BAS
HASTA RAHA...
HASTA RAHA...
HASTA RAHA...
mujhpar HASTRA RAHA...

मैं चिल्लाता रहा 
मैं पुकारता रहा 
मैं रोता रहा... 
गुनाह क्या था मेरा 
जो वो दूर खड़ा 
बस 
हँसता रहा 
हंसता रहा 
हंसता रहा 
मुझपर हंसता रहा...
__________________

Maine yeh kab kahan tha usse chodkar duniya, mere saath chal Romil
Lekin bewafa ho jaana... yeh faisala uska tha...

मैंने यह कब कहाँ था उसे छोड़कर दुनिया, मेरे साथ चल रोमिल 
लेकिन बेवफा हो जाना... यह फैसला उसका था...

#Romil
#रोमिल

Thursday, April 8, 2010

kuch...

duniya se ruksat hone ke baad bhi uski aarzoo hain
dil main mohabbat ki kaise justajuu hain...
***
Itna to bata do USKA AAKHIRI PAIGAM KYA THA
jubaan ko ab bhi uski baatein karne ki guftaguu hain...
_______________________
NA DO JAWAAB, NA SAHI...

DEKHATE HAIN INTEZAAR KAB TAK... KAB TAK...
***
NA BATAO SACHCHAI, NA SAHI...
DEKHATE HAIN TUMHARI RUSWAI KAB TAK... KAB TAK...
***
PATHAR, RABB NAHI, NA SAHI...
DEKHATE HAIN PHEGALEGA DIL TUMHARA KAB TAK... KAB TAK...
________________________
Uske saath ab koiye rishta nahi hain

Fhir bhi dil ko chain-o-sukoon nahi hain...
*
Meri tanhai ki wajah main khud hu
Uspar koiye ilzaam nahi hain...
*
Bas itna mujhe bata do WOH IS DUNIYA SE RUKSAT KAISE HUE
mera koiye TUMSE dusara sawaal nahi hain...
*
Itna bhi kya kisi ka intezaar karna Romil
Marne ke baad wapas koiye aata nahi hain...
__________________________
Jo khud badal jaye

unko har shaks badale hue nazar aate hain...
dusaroon ki khata ginane wale
tere pehlu main bhi bahut ilzaam aate hain...
___________________________
Unki yeh ada humko aur bhi mitti lagati hain Romil

Zakhm bhi daite hain
Aur Rone bhi nahi daite hain...
___________________________
Woh chahat bhi kis kaam ki Romil

Chakoor dekhe durr se Chand ko...
___________________________
samay kharab karne ka sukriya...

dil ko dukhane ka sukriya...
hum aaye the is khayal se ki aapse kuch sawaal puch sake...
jawaab na daine ka sukriya...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Monday, March 23, 2009

jee karta hain...

aa laut kar aa fhir dil lagane ko jee karta hain
fhir taire pehlu main aansoo bahane ko jee karta hain...
~*~
dubb chuka hain jo mohabbat ka chand
aa fhir usse khilane ko jee karta hain...
~*~
bahut mile the mujhe husn wale is shehar main
tere yaadon ko koiye dil se nikal na saka
aa fhir unhi yaadon ka shehar basane ko jee karta hain...
~*~
aansoo bahut baaha chuka hu tere judai main
aa kuch pal ab muskurane ko jee karta hain...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Monday, September 8, 2008

Meri Chahat...

Meri Chahat Ko Kahan Pakad Payoge,
Meri Chahat Hawaon Ki Tarah Hai,
Jitna Bhi Pakadna Chahoge,
Utna Hi Khali Haath Khud Ko Payoge!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, September 2, 2008

daulat ki duniya main kangaal hai....

Har chahat teri poori karna chahta hu,
teri maang sitaron se bharna chahta hu,
teri jholi main khushiya taman dena chahta hu,
magar yeh yaad rakhana sanam tera sanam daulat ki duniya main kangaal hai...
******
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, August 23, 2008

Chahane Wale

Jinke Honton Par Muskaan,
Hanton Mein Dard Ke Piyale Honge,
Wohi Sanam, Tere Chahane Wale Honge!
[Inspired. written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, August 9, 2008

Chahat...

Meri Chahat Ki Hadh Ko Tum Kya Janoge,
Is Hadh Se To Rab Bhi Bekhabar Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, July 28, 2008

!*!Rabb Se Jyada, Usse Chahana Mujhe Hai!*!

!*!Sanam Ke Sajde Main Sar Jhukana Mujhe Hai,
Rabb Se Jyada, Usse Chahana Mujhe Hai!*!


!*!Itni Mohabbat Kyon Main Sanam Se Karta Hu, Rabb Sab Janta Hai,
Mere Haal-E-Dil Ko Pehchanata Hai,
Bas Uske Pehlo Main Marr Jaana Mujhe Hai,
Rabb Se Jyada, Usse Chahana Mujhe Hai!*!


!*!Meri Har Chahat Uske Liye,
Yeh Duniya Bhi Jannat Bana Du Uske Liye,
Har Veerani Main Phool Khila Du Uske Liye,
Saare Fiza Ko Rangeen Bana Du Uske Liye,
Bas Uski Khushi Main Fanaa Ho Jaana Mujhe Hai,
Rabb Se Jyada, Usse Chahana Mujhe Hai!*!


!*!Sanam Ke Sajde Main Sar Jhukana Mujhe Hai,
Rabb Se Jyada, Usse Chahana Mujhe Hai!*!

[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Friday, July 11, 2008

khushi ke naam se janna chahta hu....

Saada khush rahe,
bas yahi chahta hu,
tere rahoon main khushiyoon ke phool chahta hu,

tere armaan sab poore ho jaye,
bas yahi sapna apna pura hota dekhana chahta hu,

gair ki baahon main chahe tu rahe,
main to sirf taire hoonton par muskaan chahta hu,

tere aankhon main jo aansoo aaye,
woh bhi khushi ke aaye,
main tujhe khushi ke naam se janna chahta hu!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, May 23, 2008

Koi Har Samay Tere Saath Hai...

Koi Har Samay Tere Saath Hai...

Koi Har Samay Tere Saath Hai,
Tere Liye Roone - Khush Rehne Ko Taiyaar Hai!

Jo Tu Dena Chahe Apne Sabhi Dukh,
To Koi Khushi-Khushi Tere Har Dukh Lene Ko Taiyaar Hai!

Uski Har Jeet Mein, Har Soch Mein,
Sirf Teri Khushiyon Ke Baare Mein Vichar Hai!

Bas Tu Hamesha Sukhi Rahe,
Isliye Koi Apni Chahaton Ko Qurban Karne Ko Taiyaar Hai!

#Romil

कोई हर समय तेरे साथ है... 

कोई हर समय तेरे साथ है 
तेरे लिए रोने-खुश रहने को तैयार है... 

जो तू देना चाहे अपने सभी दुख 
तो कोई खुशी-खुशी तेरे हर दु:ख लेने को तैयार है... 

उसकी हर जीत में, हर सोच में 
सिर्फ तेरी खुशियों के बारे में विचार है... 

बस तू हमेशा सुखी रहे 
इसलिए कोई अपनी चाहतों को कुर्बान करने को तैयार है... 

#रोमिल

Tuesday, May 20, 2008

Marne Se Pehle...

"Marne Se Pehle"

Ab Kuch Bhi Likhne Ko Mann Nahi Karta,
Fir Bhi Kalam Mein Siyahi Dalta Rehta Hu,
Shayad Main Marne Se Pehle Kuch Kehna Chahta Hu...

Sabhi Khawab Mere Bikhar Chuke Hai,
Fhir Bhi Roz Khawabon Ki Mala Main Bunta Rehta Hu,
Shayad Main Marne Se Pehle Khawabon Ko Sach Hota Dekhna Chahta Hu...

Agar Rab Milega Kabhi,
To Usse Puchunga Sawaal Bahut Saare,
Par Log Kehte Hai Marne Se Pehle Woh Kisi Se Milta Nahi Hai,
Fhir Bhi Roz Main Usse Milne Ki Khawaish Dil Main Bunta Rehta Hu,
Shayad Main Marne Se Pehle Rab Se Kuch Baatein Puchana Chahta Hu...
Main Marne Se Pehle Dil Ko Ek Baar Khush Dekhna Chahta Hu!

#Romil

मरने से पहले 

अब कुछ भी लिखने को मन नहीं करता 
फिर भी कलम में स्याही डालता रहता हूं 
शायद मैं मरने से पहले कुछ कहना चाहता हूं... 

सभी ख्वाब मेरे बिखेर चुके हैं 
फिर भी रोज ख्वाबों की माला मैं बुनता रहता हूं 
शायद मैं मरने से पहले ख्वाबों को सच होता देखना चाहता हूं 

अगर रब मिलेगा कभी 
तो उससे पूछूंगा सवाल बहुत सारे 
पर लोग कहते हैं मरने से पहले वह किसी से मिलता नहीं है 
फिर भी रोज मैं उससे मिलने की ख्वाहिश दिल में बुनता रहता हूं 
शायद मैं मरने से पहले रब से कुछ बातें पूछना चाहता हूँ 
मैं मरने से पहले दिल को एक बार खुश देखना चाहता हूं...

#रोमिल