Showing posts with label aarzoo.... Show all posts
Showing posts with label aarzoo.... Show all posts

Friday, January 19, 2018

कैसे जियूँ होश में, मुमकिन नहीं रहा अब...

कैसे जियूँ होश में, मुमकिन नहीं रहा अब... 
आरज़ू बस इतनी है अल्लाह से की मुझे पागल बना दे... 

- सन

Thursday, April 8, 2010

kuch...

duniya se ruksat hone ke baad bhi uski aarzoo hain
dil main mohabbat ki kaise justajuu hain...
***
Itna to bata do USKA AAKHIRI PAIGAM KYA THA
jubaan ko ab bhi uski baatein karne ki guftaguu hain...
_______________________
NA DO JAWAAB, NA SAHI...

DEKHATE HAIN INTEZAAR KAB TAK... KAB TAK...
***
NA BATAO SACHCHAI, NA SAHI...
DEKHATE HAIN TUMHARI RUSWAI KAB TAK... KAB TAK...
***
PATHAR, RABB NAHI, NA SAHI...
DEKHATE HAIN PHEGALEGA DIL TUMHARA KAB TAK... KAB TAK...
________________________
Uske saath ab koiye rishta nahi hain

Fhir bhi dil ko chain-o-sukoon nahi hain...
*
Meri tanhai ki wajah main khud hu
Uspar koiye ilzaam nahi hain...
*
Bas itna mujhe bata do WOH IS DUNIYA SE RUKSAT KAISE HUE
mera koiye TUMSE dusara sawaal nahi hain...
*
Itna bhi kya kisi ka intezaar karna Romil
Marne ke baad wapas koiye aata nahi hain...
__________________________
Jo khud badal jaye

unko har shaks badale hue nazar aate hain...
dusaroon ki khata ginane wale
tere pehlu main bhi bahut ilzaam aate hain...
___________________________
Unki yeh ada humko aur bhi mitti lagati hain Romil

Zakhm bhi daite hain
Aur Rone bhi nahi daite hain...
___________________________
Woh chahat bhi kis kaam ki Romil

Chakoor dekhe durr se Chand ko...
___________________________
samay kharab karne ka sukriya...

dil ko dukhane ka sukriya...
hum aaye the is khayal se ki aapse kuch sawaal puch sake...
jawaab na daine ka sukriya...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Saturday, February 27, 2010

thoda sa gulal rakhana...

~AARZOO HAIN~
*
rangon ke tyohar main tum mujhko yaad rakhana...
thoda ka gulal tum mere naam rakhana...
***
khush rehna harpal, hoonton par muskaan rakhana... 
kabhi-kabhi apne laboon main mera naam rakhana...
***
jo kabhi nazar aa gaya tu apne jeevansaathi ke saath
jhuka ke sar apna tere samne se chala jayunga, itna aitbaar rakhana...
***
nahi chahat hain mujhe ab rangon ki
fhir bhi aarzoo hain itni mera naam thoda sa gulal rakhana...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, August 1, 2009

Woh Insaan hi kya jiski koi Aarzoo kabhi na ho...

dil chahe jitna bhi pathar kyon na ho, ki mom kabhi na ho...
aisa kaha hota hai ki mohabbat kabhi na ho...
~*~
raat chahe jitni bhi lambi kyon na ho, ki subah kabhi na ho...
phoolon ke daaman mein kaatein kabhi na ho...
~*~
insaan chahe jitna bhi shaarif kyon na ho, ki hijab main noor kabhi na ho...
nazre to ishara kar deti hai, chahe ijazat kabhi na ho...
~*~
dil ki aarzoo hai ki uske noor ka deedar karu, chahe woh zinda kabhi na ho...
woh insaan hi kya jiski koi aarzoo kabhi na ho...
[written by romil arora - copyright reserved]

raat bhar tak-taki laga kar Chand ki taraf dekhata rehta hu main...

raat bhar tak-taki laga kar chand ki taraf dekhata rehta hu main
shayad chandani ban kar woh mere aangan mein utar aaye...
~*~
aankhen intezaar karti hue dekhati hain aasman ki taraf
shayad aansoo ban kar woh meri aankhon mein utar aaye...
~*~
ibadat karta rehta hu us khuda ki is dua ke saath
woh jaha bhi rahe khushiyon ke kamal khil jaye...
~*~
aakhiri aarzoo hai khuda se bas itni
mere janaze ki mitti, uske pairon ko chu jaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, April 4, 2009

aarzoo

aarzoo yeh hai ki tumse mulaqat ho
jo baat adhuri reh gayi hai woh baat ho
pyar karu main tumhare kamal se komal badan ko
fir bheege naino se pyar ka izhaar ho...

#Romil

आरजू यह है कि तुमसे मुलाकात हो 
जो बात अधूरी रह गई है वो बात हो 
प्यार करूं मैं तुम्हारे कमल से कोमल बदन को 
फिर भीगी नैनों से प्यार का इजहार हो...

#रोमिल

aarzoo

Kaise jiyun hosh main, mumkin nahi raha ab
aarzoo bas itni hain allah se ki mujhe pagal bana de...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, December 10, 2008

aarzoo..

ek aarzoo hai dil ko yeh janne ki
woh mujhko tanha chod kar kis haal mein rehta hoga!

#Romil

एक आरज़ू है दिल को यह जानने की 
वो मुझको तन्हा छोड़कर किस हाल में रहता होगा!

#रोमिल

Saturday, September 13, 2008

Aarzoo...


Zamane Ne Mera Saath Choda,
Har Kadam Par Mera Vishwas Thoda,
Tum Bhi Na Saath Chod Dena,
Vishwas Na Mera Thod Dena,
Bas Yahi Aarzoo...Yahi Tamanna...Yahi Eltija Hai Tumse!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, August 26, 2008

Aarzoo...

Sajde Main Pada Rehta Tha Tere Rabb,
Tera Diye Sab Dard, Muskura Kar Sehta Tha,
Jabse Cheena Hai Tune Mere Sanam Ko Dushman Rabb,
Tab Se Maut Ki Aarzoo Main Pada Rehta Hu!
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, August 13, 2008

Aarzoo...

Sanam, Aarzoo Hai Ki Apni Baahon Mein Lekar Mujhe Tum Kabr Mein Laitao,
Chahe Mujhe Zehar Ki Kyon Na De Do...
[written by romil arora - copyright reserved]

Aarzoo...

Aarzoo Thi Ki Sanam Ko Dulhan-e-Libash Main Dekhu,

Par Pata Nahi Tha Ki Naseeb Mein Likha Hai,
"Zamana Usko Dekhe aur Hum Na Dekhe"
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, August 12, 2008

Aarzoo Hai Ki Ek Ghar Banau...

Aarzoo Hai Ki Ek Ghar Banau,
Tujhe Us Ghar Main Sajau,
Tujhe Pyar Karu, Yeh Zindagi Tujhpar Neesar Karu.

Hoonton Ko Chukar,
Baahon Main Tujhe Lu,
Naina Tere Sang Chaar Karu.

Aarzoo Hai Ki Ek Ghar Banau...

Dukh-Sukh Sab Usme Mil Kar Baate,
Dono Pyar Se Usko Mehyake,
Tere Aanchal Ki Chaav Se Usko Sajau.

Aarzoo Hai Ki Ek Ghar Banau...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, July 4, 2008

yaar ke liye marr jayun.....

Aaina ki aarzoo hai ki pathar ko apne par sajao,
Tukade-tukade hokar uspar bikhar jayun,
Ab chahe main na rahu is jahaan main,
Sirf ek baar apne yaar ke liye marr jayun!
[written by romil arora - copyright reserved]