alfaaz dil se....
"Sahil ko hamesha apna dard hi pata hota hai ki sagar ne uska saath nahi diya,
magar koi us sagar se bhi ja kar puchhe,
kya kabhi sahil ne uska saath diya,
yeh to mazburi ke rishte hai huzur, jo dono ek dusre ka saath dete hai,
warna is duniya mein saath dene wale kahan milte hai”
"Iqraar – e – mohabbat kar ke to dekh Raj,
zindagi ka rukh hi badal jayega,
jo tujhe aaj lagta hai, zamane se darr,
kal dekhna zamana khud tujhse darr jayega”
"Kab se armaan dil mein sajaye baitha hu,
main to subah se hi dost ki yaad ka deepak jalaye baitha hu,
ab to mujhe andhero ka gum nahi,
kyonki andhero ko bhi main roshani ka sapna dikhaiye baitha hu"
"Asha to yahi hai meri ki tujhe hamesha muskurate hue dekhu,
magar darr hai ki log aksar muskuraht mein apno ko bhool jaya karte hai,
aansoo ka jab shailab aata hai to apne hi yaad aate hai,
magar jab khushi ke phool khilte hai to gairo ki bahon mein chale jaate hai"
"Is tarah mohabbat kar mujhse,
ki mohabbat bhi sharma jaye,
jinke labo par naam hai laila-majnu ka unke labo par bas hamare hi naam aaye"
[written by romil arora - copyright reserved]