Showing posts with label Hamara Lucknow. Show all posts
Showing posts with label Hamara Lucknow. Show all posts

Monday, November 27, 2023

Maine To Rakha Hai Jannat Apne Shehar Ka Naam

"Maine To Rakha Hai Jannat Apne Shehar Ka Naam"

Maine to rakha hai Jannat apne shehar ka naam,
tum bhi kuch rakh lo apne shehar ka naam!

subah jahan masjid ke aajan se hoti hai,
shaam wahan mandir ke ghanto sang soti hai,

dopahar ko jahan panchi apne sur milate hai,
raat ko wahan chandrama, chakor ke sang aankh ladate hai,

eid par jahan hindu-muslim gale milte hai,
holi par wahan sab saat guziya khate hai,
diwali mein sab apne ghar mein roshani lagate hai,
wahi baisakhi mein sabhi bangara paate hai,

jahan aaj bhi sawan mein jhoole lage dekhai dete hai,
jahan aaj bhi baache mitti ke khilaune banate hai,
jahan aaj bhi sab, bujurgo ko aadab farmate hai,
jahan aaj bhi zamane ki zanjeer ko tod kar heer-ranjha chup-chup kar mila karte hai,

imambara jahan par apni khoobsurati ki kahani khud kehta hai,
charo tarah se saje parko ka jahan mela rehta hai

yeh sab dekh kar gomti nadi bhi itraati hai,
aur mast pavan ke saat haath milakar geet gati hai,
aur kehti hai...
jahan mein kaha aisa nazara dekhne ko milega,
ganga-jamuna sabhiyata ka mail kaha milega,
main to dhan hu is dharti mein apni dhara bhakar,
aisa khushiyon ka sansar kahan dekhne ko milega,

main bhi apne shehar par naaz karta hoon,
isliye to shayad Khuda ki Jannat se uski barabari karta hoon.

Shayad isliye maine rakha hai Jannat apne shehar ka naam...
Shayad isliyeeeeeee... 

#Romil

मैंने तो रखा है जन्नत अपने शहर का नाम 

मैंने तो रखा है जन्नत अपने शहर का नाम
तुम भी कुछ रख लो अपने शहर का नाम... 

सुबह जहां मस्जिद के अज़ान से होती है 
शाम वहां मंदिरों के घंटो संग सोती है 

दोपहर को जहां पंछी अपने सुर मिलाते हैं 
रात को वहाँ चंद्रमा चकोर से आंख लड़ते हैं 

ईद पर जहां हिंदू-मुस्लिम गले मिलते हैं 
होली पर वहां सब साथ गुजिया खाते हैं 
दिवाली में सब अपने घर में रोशनी लगते हैं 
वहीं बैसाखी में सभी भांगड़ा पाते हैं 

जहां आज भी सावन में झूले लगे दिखाई देते हैं 
जहां आज भी बच्चे मिट्टी के खिलौने बनाते हैं 
जहां आज भी सभी बुजुर्गों को अदाब फरमाते हैं 
जहां आज भी जमाने के जंजीरों को तोड़कर हीर-रांझा छुप-छुप कर मिला करते हैं 

इमामबाड़ा जहां पर अपनी खूबसूरती की कहानी खुद कहता है 
चारों तरफ से सजे पार्कों का जहां मेला रहता है

यह सब देखकर गोमती नदी भी इतराती है
और मस्त पवन के साथ हाथ मिलाकर गीत गाती है 
और कहती है... 
जहां में कहां ऐसा नजारा देखने को मिलेगा 
गंगा-जमुनी सभ्यता का मेल कहां मिलेगा 
मैं तो धन हूं इस धरती में अपने अपनी धारा बहाकर 
ऐसा खुशियों का संसार कहां देखने को मिलेगा 

मैं भी अपने शहर पर नाज़ करता हूं 
इसलिए तो शायद खुदा की जन्नत से उसकी बराबरी करता हूं... 

शायद इसलिए मैंने रखा है जन्नत अपने शहर का नाम... शायद इसलिए...

#रोमिल

Tuesday, March 31, 2020

Hum Lakhnau wale hai Miya...

Hum Lakhnau wale hai Miya...

Hamare haathon mein Zaika aur Juban mein Gulkand kudrati hota hai...

#SuLTaN

Tuesday, April 13, 2010

Yeh shehar mera Lucknow kahan...

Jahaan dil se gale mila jaata tha
Milte hain ab log wahaan matlab se
Yeh shehar mera Lucknow kahan...
***
Jahaan bol the ganga-jamuna jaise
Ab jubaan main woh mishari kahan
Yeh sehhar mera Lucknow kahan...
***
Do pal thehar kar puchate nahi hain log haalchal yahaan
Kisko sunau apna haal-e-dil yaahan
Yeh shehar mera Lucknow kahan...
***
Subah awaragardi main
Shaam aayashi main beetati hain yahaan
Ghar jaane ki ab logon ko fursat kahan
Yeh shehar mera Lucknow kahan...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, February 4, 2009

"Mera Awadh" "Mera Lucknow"



Kabutaron ka aasmaan main udana
Chaat par patangbazi karna
Mohabbat ke naazar se jalwa-e-husn ko dekhana
Ada par mehboob ke marr jana
Sadagi, Tehzeeb se saalam kehna
Mandir ki aartiya, Majhid ki aajaan, Gurudware ki gurbani, Sufiyoon ki aawazon ka gunjana
Yeh hain mera dil-e-sakoon
"Mera Awadh"
"Mera Lucknow"
[written by romil arora-copyright reserved]

Monday, February 2, 2009

Lucknow....


Woh ladka hi kya Lucknow ka jo Shayar na ho
Woh ladki hi kya Lucknow ki jo Shayari na ho!
~
Woh ladka hi kya Lucknow ka jo Tehzeebdaar na ho
Woh ladki hi kya Lucknow ki Jiske Aankhon Main Haaya na ho!
~
Woh ladka hi kya Lucknow ka jo Ishq na kare
Woh ladki hi kya Lucknow ki jo Aashiq na bana de!
[written by romil arora-copyright reserved]

Tuesday, June 3, 2008

"Bahut Kuch Badal Gaya Hai...."

"Bahut Kuch Badal Gaya Hai...."

Hamare Lucknow Ka Insaan Kitna Badal Gaya Hai,
Daulat Hi Ab Uske Liye Rabb Ban Gaya Hai.


Daulat Ho Pass Aata Dekh Woh Dost Ban Jaata Hai,
Daulat Ho Durr Jaata Dekh Woh Dushman Ban Jaata Hai,
Chehare Main Haiwaniyat aur Aankhon Main Khauuf Rakhata Hai.


Aap Jante Ho Dost.. Hamare Lucknow Ka Insaan Kitna Badal Gaya Hai.


Pyar Sirf Daulat Ka Roop Ban Kar Reh Gaye Hai,
Jism aur Daulat Ki Hawas Main Hamare Lucknow Ki Duniya Kahi Khoo Gaye Hai.
Mandir/Majzid/Gurudware/Church Main Log Keval Darr Kar Jaate Hai,
Sharaddha aur Vishwas Ke Phool Tooth Gaye Hai....


Janta Hu Dost.. Aap Sab Kuch Jante Honge,
Rabb Ke Ghar Se Sab Kuch Niharate Honge,
Dukh Bahut Hota Hoga Na,
Ki Kitna Kuch Badal Gaya Hai.
Sach Main Dost Bahut Kuch Badal Gaya Hai....
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, May 30, 2008

Maire Shehar Main Koi Aaisa Ho...!!!


Maire Shehar Main Koi Aaisa Ho...!!!

Na Woh Farishta Ho, Na Farishtey Jaisa Ho,
Mujhey Talash Hai Us Ki Jo Maire Jaisa Ho,

Maire Khaluos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hai,
Woh Koi Bhi Ho, Kahin Bhi Ho, Kaisa Bhi Ho,

Jo Khuwab Denay Ko Taiyaar Ho Meri Aankhoon Ko,
Meri Mohabbat Ko Pehchan Sakay Woh Aisa Ho,

Meri Khatir Marney Ka Hosla Bhi Rakhta Ho,
Agar Kabhi Rooth Jaun May Us Say To,

Muskra Kay Manayee, Woh Aisa Ho,
Jo Baat Karey To Woh Nibha Bhi Sakey,

Iradon Mein Woh Apney Chahatoon Jaisa Ho,
Dukhon Mein Hansney Ka Hunar Janta Ho,

Ek Aisa HumSafar Jo Samander Ke Tarha Gehrah Ho,
Us Kay Pyar Ke Thandak Ho Meray Liye Aaise,
Key Woh To Bilkul Aasman Kay Chand Jaisa Ho,
Woh Sirf Mera Ho Jo Nighaoon Main Haya Rakhta Ho,

Umar Bhar Sath Chalay Woh Aisa Hooo...!!!
Mujhay Talash Hay Us Ke Jo Meray Jaisa Hooo......
Kaash maire shaher main koi meray jaisa ho!!!
[inspired]