Showing posts with label is saal... Show all posts
Showing posts with label is saal... Show all posts

Thursday, March 22, 2018

इस साल भी

इस साल भी ईद का चाँद हमको जला गया... 
इस साल भी अधेरों का साथ हो गया... 
इस साल भी मोहब्बत की हवेली नीलाम हो गई... 
इस साल भी ज़िन्दगी तन्हा हो गई... 

- राज

इस साल उसकी यादों ने बहुत सताया

इस साल उसकी यादों ने बहुत सताया 
बहुत रुलाया 
बहुत तड़फाया 
आँखों से गिरते रहे आंसू
ख़ुशी का एक भी पल न आया... 
इस साल... 
***
पूछते रहे लोग हाल-ए-दिल मेरा 
किसी से मगर यह दिल कुछ कह न पाया... 
इस साल...
***
कसूर किसका था 
मेरा या 
उसका
यह दिल अभी तक समझ न पाया... 
इस साल उसकी यादों ने बहुत सताया 
बहुत रुलाया 
बहुत तड़फाया...

- राज

Tuesday, January 12, 2010

is saal...

is saal uski yaadon se bahut sataya
bahut rulaya
bahut tarfhaya
aankhon se girate rahe aansoo
khushi ka ek bhi pal na aaya.
is saal...
***
puchate rahe log haal-e-dil mera
kisi se magar yeh dil kuch keh na paya.
is saal...
***
kasoor kiska tha
mera ya
uska
yeh dil abhi tak samaj na paya.
is saal uski yaadon se bahut sataya
bahut rulaya
bahut tarfhaya
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, December 31, 2009

beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...

beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah
naadi main khada hokar
pyaasa main rahaa
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
kehne ko to mujhe ishq hain usse ab bhi
woh ho gaya hain bewafa
zamane ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
main to jagata raha intezaar main uske
usne apni neendon ka sauda kar liya
gairon ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
main bunta raha aashiana uski khushiyoon ke liye 
woh meri barbaadi main shaamil raha
mere apno ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
hum angaaron par chalte rahe unka naam lekar 
unhone baaharon ka rukh kar liya
anjaano ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
dil to kehna hain fanaa ho jaye unke liye
magar woh mere jaanaze par bhi nahi aayega
dushmano ki tarah
naadi main khada hokar
pyaasa main raha...
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, September 23, 2009

is saal bhi

is saal bhi eid ka chand humko jala gaya
is saal bhi andheron ka saath ho gaya
is saal bhi mohabbat ki haveli nilaam ho gaye
is saal bhi zindagi tanha ho gaye!

#Romil

इस साल भी ईद का चाँद हमको जला गया
इस साल भी अंधेरों का साथ हो गया
इस साल भी मुहब्बत की हवेली नीलाम हो गई
इस साल भी ज़िन्दगी तन्हा हो गई !

#रोमिल