Showing posts with label Khabar.... Show all posts
Showing posts with label Khabar.... Show all posts

Saturday, July 11, 2020

Samjhe Na

"RaJ ke baare mein khabar rakhte-rakhte kahi aisa na ho ki khud khabar ban jao Akhbaar ki..."

Samjhe... RaJ ka mobile hi kheech kar marenge Tumko... Samjhe Na...

#Romil

Tuesday, May 11, 2010

phool rastee par bikhare hue nahi dekhe jaate...

phool rastee par bikhare hue nahi dekhe jaate
tere aankhon mein samundar nahi dekhe jaate...
*
kuch baat to jarur hai jo tum baat nahi karti
warna doston ki mehfil mein dushman nahi dekhe jaate...
*
saalon beet gaye hai
uski ek bhi khabar nahi mili Romil
kya juda hone ke baad
haalchal bhi nahi liye jaate...

#romil arora

Thursday, April 1, 2010

Khabar nahi thi woh

Khabar nahi thi woh is tarah bewafa ho jayega
Apne janaze par bhi mujhe na bulayega...
***
Khawaish thi ki usse apni baahon main saja kar rakhu
Pata nahi tha woh is tarah baahein khol kar udha jayega...
***
Aarzoo thi ki uska diwana kehlau
Pata nahi tha woh pagal bana jayega...
***
Issi jahan tak rakhana chahata tha uske saath rishtee
Pata na tha woh jannat tak ka rishtaa jodh jayega...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, February 27, 2009

khabar...

khabar chapaane ka bahut shauq tha tumko
jab khud khabar bane to machal uthe...
[written by romil arora-copyright reserved]

Saturday, August 16, 2008

Khabar...

Kya Zameen, Kya Aasmaan Ki Khabar Main Rakhu,

Main To Hawaa Ka Jhoka Hu,
Bas Udha Ja Raha Hu Apne Sanam Ki Mohabbat Mein,
Mujhe Khud Ki Khabar Nahi...

[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, August 14, 2008

Khabar..

Agar Khabar Hoti Ki Woh Hamari Lash Par Aayenge,
Rab Qasam Kabke Hum Marr Gaye Hote!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, July 4, 2008

Mujhe khabar na thi......

Mujhe khabar na thi ki mohabbat kya hai,
Magar usne mujhe diwana bana diya...

Mujhe hamesha muskurane ki aadat thi,
Magar uski bewafai ne mujhe rulana seekha diya...

Main hamesha udta rehta tha phoolon ki mehak ke saath,
Magar usne mujhe apne intezaar mein raste ka pathar bana diya...
[written by romil arora - copyright reserved]