Showing posts with label kyon???. Show all posts
Showing posts with label kyon???. Show all posts

Saturday, March 13, 2010

na jaane kyon...

pal bhar main rishta-naata toodh deta hu
na jaane kaun si duniya main rehta hu...
***
kisi se kuch bolta nahi
sabse khafa-khafa sa rehta hu
na jaane kyon apni pehchan se dara-dara sa rehta hu...
***
guzar chuka hain dard ka lamha
fhir bhi main kisi ko maaf nahi karta hu
na jaane kaun se mizaaj main rehta hu...
***
uske naam ki sharaddha kyon nahi rahe hain Romil
na jaane aajkal har aache ko kyon bura samajhata rehta hu...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, June 25, 2009

kyon lagta hain...

rehte ho tum hamesha mera saath
fhir bhi
yeh zindagi ka safar tanha sa kyon lagta hain...
~*~
tum bhi wahi
main bhi wahi
fhir bhi
yeh saath adhura-adhura sa kyon lagta hain....
~*~
hain chaman bhi wahi
hain aashaiyana bhi wahi
fhir bhi
sab kuch bhikhara-bhikhara sa kyon lagta hain...
~*~
kisko maloom tha din yeh bhi aayega
jab apna saaya bhi ajnabhi ho jayega
haath main hain mehboob ka haath
fhir bhi
yeh haath khali-khali sa kyon lagta hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, February 25, 2009

nahi hote

phoolon ki mehfil main kya kaantee nahi hote?
chand ki mehfil main kya sitare nahi hote?
ameeron ki mehfil main fhir gareeb kyon nahi hote?
[written by romil arora-copyright reserved]

Sunday, February 22, 2009

kya...kyon...kab...

Roz jalta hu mom ki tarah
koi bata to de meri khata kya hai...
~
nazre kar-kar ke intezar pathar ho gai hai
koi bata to de yeh intezar kyon hai...
~
na jaane usko mujhpar taras kab aayega
mera mehboob mujhse khafa kab tak hai...
~~*****~~
[written by romil arora-copyright reserved]

Tuesday, September 16, 2008

kyon

Woh khush hai apne faisale se Khuda,
fhir humko gum kyon hai?
Hum to hamesha yahi chahte the ki woh zindagi bhar chain ki neend soye,
fhir hamari aankhen neend se door kyon hai?
_________
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, July 3, 2008

Fhir mujhe yeh sab puchate kyon hai.......

Rab mere pass aaya!
mujhe pucha...
bola... tera masoom sa chehra udaas kyon hai?

In jheel si aankhon mein barsaat kyon hai?
Kisi ke intezaar mein yeh dil dhadakata kyon hai?
Itna pyar tujhe usse kyon hai?
Jab woh nahi tera hai fhir yeh tera dil beqarar kyon hai?

Main bola RabJi
Jab aap pyar de nahi sakte
Fhir mujhe yeh sab puchate kyon hai?
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, June 23, 2008

Na jaane woh kyon?



Na jaane woh kyon?


Jis par aitbaar rehta hai khud se jyada,

Na jaane woh kyon daaga de jaata hai...



Jis par pyar rehta hai jahaan se jyada,

Na jaane woh kyon bewafa ban jaata hai...



Jis par rehta hai aitbaar woh umar bhar saath rahega,

Na jaane woh kyon beech raahon main chod jaata hai...



Jisse daite hai hum dil ka tohfa,

Na jaane woh kyon dil par zakhm de jaata hai...

[written by romil arora - copyright reserved]