Showing posts with label barsaat.... Show all posts
Showing posts with label barsaat.... Show all posts

Monday, July 8, 2019

Baarish to mujhe aaj bhi pasand hai... Bas ab Bheegane ka Mann nahi karta....

Baarish to mujhe aaj bhi pasand hai...
Bas ab Bheegane ka Mann nahi karta...

#Romil

बारिश तो मुझे आज भी पसंद है...
बस अब भीगने का मन नहीं करता...

#रोमिल

Monday, July 30, 2018

aashiqon wala qirdaar... baarish...

maine to pichale 12saalon se apna qirdaar bakhoobi nibhaya hai...

woh aashiqon wala qirdaar...

tey tumko karna hai...
Sahi hai ya Galat hai...

Yeh ho hi nahi sakta...
Baarish ki boondein barse aur zameen gheeli hone se mehrum reh jaye...
tum dekhna ek din is banjar zameen pe phool khilenge, woh bhi meri mohabbat ke...

pichale 12saalon se mein mohabbat ki baarish jo ispe barsa raha hun... aur abhi bhi barsaat chalu hai...

#Romil Arora

Friday, June 17, 2011

यह बूँदें

"यह बूँदें 
यह महकता हुआ मौसम 
और भी सुन्दर होते 
गर हुकू  तुम मेरे साथ होते...
*
होती प्यार की बातें 
भीगे घेसू से सजी होती रातें 
गर 
हुकू तुम मेरे साथ होते...
*
होता उडाता हवा में आँचल
बादलों संग बहता अपना मन 
गर 
हुकू तुम मेरे साथ होते...
*
और भी हसीं लगता यह दिन 
पल पल मुस्कुराता यह दिन 
गर 
हुकू तुम मेरे साथ होते...गर हुकू तुम मेरे साथ होते...

Monday, February 22, 2010

Na jaane kyon yeh barsaat ....

Na jaane kyon yeh barsaat rukane ka naam nahi le rahe Romil
Lagata hain tu kal us aasmaan se ro-ro kar gila kar raha tha!
[written by romil arora-copyright reserved]

Wednesday, August 6, 2008

Shayad...

~*~
Na Jaane In Barishon Ki Boondon Main,
Kis-Kis Ke Aansoo Chupe Hai.

Na Jaane In Baadalo Mein Bijli Ki Aawazon Mein,
Kis-Kis Ki Cheekhe Chupi Hai.

Shayad Koi Sadiyon Se Ro Raha Hai,
Shayad Koi Sadiyon Se Cheekh Raha Hai!

#Romil

ना जाने इन बारिशों की बूँदों में, 
किस-किस के आँसू छुपे है...

ना जाने इन बादलों में बिजली की आवाजों में,
किस-किस की चीखें छुपी है...

शायद कोई सदियों से रो रहा है,
शायद कोई सदियों से चीख़ रहा है...

#रोमिल

Friday, July 25, 2008

baarish ki tarah hai....

Sanam Tera Pyar Bhi Baarish Ki Tarah Hai,
Jab Barasta Hai Kisi Par To Jhoom Kar Barasta Hai,
Jab Nahi To
Insaan Chahe Pyasa Marr Jaye,
Nahi Barasta Hai!

#Romil

सनम तेरा प्यार भी बारिश की तरह है 
जब बरसता है किसी पर तो झूमकर बरसता है 
जब नहीं तो 
इंसान चाहे प्यासा मर जाए 
नहीं बरसता है...

#रोमिल

Tuesday, July 22, 2008

kaash is barsaat main sanam...

kaash is barsaat main sanam...

tumhare hoonton ko chu lu,
is reshami badan ko thoda sa pyar kar lu,
tumko apni baahon main lekar thoda sa jhoom lu.
kaash is barsaat main sanam...



kaash is barsaat main sanam...
barasate pani main, apne taan ki pyaas poori kar lu,
tumko goad main baitha kar, teri zulfoon ke saath thodi se shararat kar lu.
kaash is barsaat main sanam...



kaash is barsaat main sanam...
to mujhe tooth kar pyar kare,

main apne saaye se tere saaye ko mila du,
kaash is barsaat main sanam...



kaash is barsaat main sanam...
na tu, tu rahe,
na main, main rahu,
is tarah tujhse bepanah mohabbat kar lu.
kaash is barsaat main sanam...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, June 7, 2008

Woh Raat Bhi Kya Raat Thi!


Woh Raat Bhi Kya Raat Thi!

Woh Raat Bhi Kya Raat Thi,
Kya Tez Barsaat Thi
Aur Tumhari Yaad Thi!

Zor Se Baarish, Baras Rahi Thi,
Hawaan Bhi Apni Teezi Main Thi,
Us Mausam Main, Main Bheeg Raha Tha,
Aur Tumhari Yaad Thi!

Barsat Aaise Maire Badan Ko Chu Rahi Thi,
Jaise Tum Chu Rahi Ho,
Woh Hooton Se Girata Hua Pani,
Jaise Tum Maire Hooton Ko Chum Rahi Ho,
Woh Barsaat Main, Bhi Jalta Hua Badan Tha,
Aur Tumhari Yaad Thi!

Aaise Laga Raha Tha Ki Milan Ki Ghadiyan Nazdeek Aa Rahi Thi,
Aankhon Main Bas Tumhari Hi Tasveer Thi,
Har Raah, Tumhari Raahon Se Mil Rahi Thi,
Woh Raat Bhi Kya Raat Thi,
Na Hosh Tha, Na Khabar Thi, Saath Tumhari Yaad Thi!
[written by romil arora - copyright reserved]