Showing posts with label kafan.... Show all posts
Showing posts with label kafan.... Show all posts

Wednesday, February 25, 2009

daulat ke saath...

daulat ke saath mohabbat nahi hoti
samjhauton ke saath zindagi, zindagi nahi hoti
gum na ho to khushiya nahi hoti
doston ke saath dushmani nahi hoti
qafan mein bhi jeb nahi hoti...

#Romil

दौलत के साथ मोहब्बत नहीं होती 
समझौते के साथ ज़िन्दगी, ज़िन्दगी नहीं होती है 
ग़म ना हो तो खुशियां नहीं होती 
दोस्तों के साथ दुश्मनी नहीं होती 
कफ़न में भी जेब नहीं होती...

#रोमिल

Tuesday, September 16, 2008

Mera Kafan Kar De...

Ya Khuda, Usne To Mujhe Apne Dil Se Juda Kar Diya,
Ab Tu Bhi Mujhe Is Duniya Se Juda Kar De,
Use Bhoolne Ki Dua, Agar Main Kabhi Tujhse Karu To,
Mere Dua Ko Mera Kafan Kar De!
!***!
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, August 2, 2008

kuch lafz...

"Har Dard Apna Ghazal Mein Likhenge,
Har Kore Kaagaz Ko Apne Mohabbat-e-Gum Ki Siyahi Se Rang Denge"
~*~
"Aaye Ho Kafan Par Uski,
Kuch Lafz Keh Kar Jayo,
Mehboob Ka Intezar Karte-Karte Aankh Band Ho Gai Hai Uski,
Zaara Pyar Se Usko Uthao"
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, June 11, 2008

kuch dil se alfaaz...

kuch dil se alfaaz...

hum to kab ke marr chuke hai unki judai mein,

bas kambakht koi arthi nahi uthata...

doston ki jarurat nahi hai humko kandha dene ke liye,

bahut mil jate hai anjabi safar mein...

hasino ke rumal par marne wale hum nahi,

hame uska dupatta chahiye apne kafan ke liye...

hum to judai ko bhi dil ka sakun bana lete hai,

zakhmo se kuch is tarah khelte hai ki nasur bana lete hai...

faasle jism ko to door kar jaate hai,

par hum yaadon se dilon ka shaher bana lete hai...

aankhon se aankho ka rishta toot jaye magar,

hum to khwabon mein hi ashiyana bana lete hai...

[written by romil arora - copyright reserved]