Showing posts with label yeh batao.... Show all posts
Showing posts with label yeh batao.... Show all posts

Sunday, March 14, 2010

Chodo yaar...

Tu Hi Bata SANAAM Kaun Bewafa Hain
*
Jisne har dukh main tera saath dena chaha
Tune ek pal bhi uska saath na diya...
Tu Hi Bata SANAAM Kaun Bewafa Hain...
*
Jisne har pal tujhse sach bolana chaha
Tune ek pal bhi usse sach na bola...
Tu Hi Bata SANAAM Kaun Bewafa Hain...
*
Jisne apni har baat sabse pehle tujhko batani chahiye
Tune usko apni kabr ka pata bhi na bataya...
Tu Hi Bata SANAAM Kaun Bewafa Hain...
*
Jisne hamesha chaha ki uski tasveer tere pass rahe
Tune usko apni ek jhalak dikhane main sadiyaan laga di...
Tu Hi Bata SANAAM Kaun Bewafa Hain...
*
aur kya kahu...
Jisne tera naukar bankar bhi tere pass rehna chaha
Tune usko apni laash ko kandhe par bhi utane na diya...
*
Chodo yaar...
[written by romil arora - copyright reserved]

ya yeh kahu...

mumkin nahi hain yaar main tujhko maaf kar saku
ya yeh kahu...
fhir se teri mohabbat par aitbaar kar saku...
***
ya yeh kahu...
mujhe rastee main tanha chod kar jaane wale ko
kaise apna humsafar maan saku...
***
ya yeh kahu...
jisne hamesha bola ho humse jhoot
kis tarah uski baaton par yakeen kar saku...
***
ya yeh kahu...
jisne accident ke samay bhi mera haal nahi pucha
usse kaise apna har sukh-dard ka rishta jodh saku...
[written by romil arora - copyright reserved] 

Tuesday, September 16, 2008

Tu Sanam Mujhe Zara Bata!

Kaise Ho Jayun Tere Qaid Se Azaad,

Tu Sanam Mujhe Zara Bata!
!*!
Parinde Ke Pairon Se Kaise Bediya Toote,
Tu Sanam Mujhe Zara Bata!
!*!
Suraj Nahi Ugta Hai, 
Tere Deedar Ke Liye Meri Aankhein Khulti Hai,
Kaise Suraj Ughe,
Tu Sanam Mujhe Zara Bata!
!*!
Teri Mohabbat Mein Jo Phighal Kar Mera Dil Pani Ho Gaya Hai,
Fhir Kaise Woh Pathar Bane,
Tu Sanam Mujhe Zara Bata!
!*!
Aaj To Raatein Teri Yaad Mein Roshan Lagti Hai,
Kal Wahi Tanha Ho Jayegi,
Kaise Tanhai Mein Khud Ko Jeene Du,
Tu Sanam Mujhe Zara Bata!
!*!
Shama Ke Pehlu Mein Parwana Marta Hai,
Bina Shama Ke Kaise Parwana Marr Jaye,
Tu Sanam Mujhe Zara Bata!
!*!
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, July 2, 2008

SANAAM zaara yeh batao


SANAAM zaara yeh batao


Dil toodana tumko shikhaya kisne,
Tum to aaise na thi, yeh hunar tumko bataya kisne,
SANAAM zaara yeh batao...


Khud har baat par muskurati ho,
Dusaro ko rulana tumko shikhaya kisne,
SANAAM zaara yeh batao...

Har kisi se ehsaan, karz ki baatein karte ho,
Dusare ko ehsaano, karz ko bhulana, tumko shikhaya kisne,
SANAAM zaara yeh batao...

Hamesha tumhara haath rehta tha maire haaton main,
Maire haaton se apna haath chudane ki kaala tumko shikhaya kisne
SANAAM zaara yeh batao...
[written by romil arora - copyright reserved]