कसूर मेरा था जो उसकी हर बात पर ऐतबार कर लेता था.
All my posts dedicated to My Rab NaaZ... Bas is tarah mohabbat ki namazein ada kar leta hun, naam NaaZ ka zameen pe likh sajda kar leta hoon... Written By ROMIL.COPYRIGHT RESERVED to http://www.sunny-raj.blogspot.com and writer!
Monday, November 7, 2011
आदत
कसूर मेरा था जो उसकी हर बात पर ऐतबार कर लेता था.
Wednesday, May 5, 2010
kasoor
saaza yeh mili ki
ta-umar rehna pada andheron mein...
Wednesday, February 25, 2009
khata
Tuesday, January 27, 2009
ek toota hua patta....
mujhse pucha
kiski khata se mera yeh haal hua hai
hawaa ka kasoor hai ya
khiza ka...
abhi to daal par thik se nahi jhool saka
abhi to kai panchiyon ki aawaze mujhe sunni baki thi
abhi to maine nahi dekhe kai basant
kiski khata se mera yeh haal hua hai
hawaa ka kasoor hai ya
khiza ka...
main bola
nahi pata mujhe kiska kasoor hai
hawaa ka, khiza ka ya
khuda ka
bas itna janta hu ki
kasoor kisi ka to hai...
Friday, May 30, 2008
mera kya kasoor...
tasveer ka khel hota to kabhi ki tasveer bhej deta tumko,
khel taqdeer ka hai to isme mera kya kasoor,
mera chehra tumko bas do pal ki khushi de payega,
na tumhe main de saku daulat to mera kya kasoor,
sapno mein ghar to bahut banaye hai maine,
par tumko ek ghar na de saku to mera kya kasoor,
badan par keval Suti Saree aachi nahi lagti,
na tumhe main de saku heere-jewarahat to mera kya kasoor,
gum to tumhare baatne ka vaada main tumse kar sakta hu,
na tumhe main de saku khushi to mera kya kasoor,
tumhe paane ke liye to sab jatan karna chahta hu main,
par meri kismat mera saath na de to mera kya kasoor.....
mera kya kasoor....
#Romil
तस्वीर का खेल होता तो कभी की तस्वीर भेज देता तुमको
खेल तकदीर का है तो उसमें मेरा क्या कसूर