Showing posts with label Baazi.... Show all posts
Showing posts with label Baazi.... Show all posts

Tuesday, August 21, 2018

kehti hai shaadi kar lo...

kehti hai shaadi kar lo...
akelapan door ho jayega...
budhape mein pani puchhane wala koi mil jayega...

main puchata hun...
tumne to shaadi kar li thi...
kya tumhara akelapan door ho gaya?
budhape mein tumko kya Shauhar Chai banakar pilayega?

fir kahogi Baby paida kar lo...
family ho jayegi to sab theek ho jayega...
family ho jayegi to Banda bandh jayega Begum ke saath...

main puchata hun...
tumhara bhi to Beta hai... 
kya family mein nazdikiyan badh gai... dilon mein ek-dusare ke liye mohabbat badh gai...
ya fir shaadi sex karne ka licence hai tumhare liye...

shaadi koi jua nahi hai...
jo baazi lag gai to lag gai...
pit gai to pit gai...
jaise tumhari baazi pit chuki hai...

#romil arora