Showing posts with label diL. Show all posts
Showing posts with label diL. Show all posts

Wednesday, March 11, 2020

DiL jal chuka hai...

Uske Ishq ka Pataka aisa Dil mein fhuta...
Saala, Dil hi jal gaya...
AajTak Barood ki Mehak aati hai is Dil se...

NaaZ... Dil jal chuka hai...

#Romil

उसके इश्क़ का पटाखा ऐसा दिल में फूटा... 
साला, दिल ही जल गया... 
आजतक बारूद की महक आती है इस से... 

नाज़... दिल जल चुका है...

#रोमिल

NaaZ.. kehti hai... SulTaN woh Dil se Buri nahi hogi...Koi na Koi uski majboori rahi hogi...

Main kehta hun... Aachi ya Buri ka faisala tab hota jab uske pass Dil hota... Uske pass Dil hi nahi hai...

#Romil

नाज़... कहती है... सुल्तान वो दिल से बुरी नहीं होगी... कोई ना कोई उसकी मजबूरी रही होगी... 

मैं कहता हूं... अच्छी या बुरी का फैसला तब होता जब उसके पास दिल होता... उसके पास दिल ही नहीं है...

#रोमिल

Cheezen sambhalne se Khandani banti hai...
Ek Sadi beet jaati hai...
Purkhon ne sekadon qurbaniya di hoti hai...
Yeh rivayat khoon mein hoti hai...

Aise hi nahi har Cheez, Beshkeemati ho jaati hai...

#Romil

चीज़ें संभालने से खानदानी बनती है... 
एक सदी बीत जाती है... 
पुरखों ने सैकड़ो कुर्बानियां दी होती है... 
यह रिवायत खून में होती है... 

ऐसे ही नहीं हर चीज, बेशक़ीमती हो जाती है... 

#रोमिल

Sunday, July 21, 2019

Sardarni...

Tehsildarni ho ya fir Thanedarni...
dil to apna Sardarni pe hi aata hai...

#Romil

Saturday, August 25, 2018

Tumhe Dil se nikalne se behtar hai, Dil ko hi nikaal diya jaye...

Tumhe Dil se nikalne se behtar hai...
Dil ko hi nikaal diya jaye...

(Ab jo kaam asaan nazar aata hai pehle usko anjam diya jaye...

Kyonki tumne to poore Dil ke plot par hi kabza kar rakha hai...
Kam se kam isme purani un haseenao ki kuch yaadein, aadein, baatein, mulaqaatein, najakatein, besharmiyaan, dil farebiyaan, gustakhiyaan, nadaniyan bhi to rehne deti.

Shauhar ke Dil Ko sukun se nahi rehne dena...

Bagiche mein tamam phool lagaye jaate hai, yeh baat alag hai ki Gulab sabse azeez hota hai...

hahahaha)

#Romil

तुम्हें दिल से निकालने से बेहतर है 
दिल को ही निकाल दिया जाए... 

(अब जो काम आसान नजर आता है पहले उसको अंजाम दिया जाए... 

क्योंकि तुमने तो पूरे दिल के प्लाट पर ही कब्जा कर रखा है 
कम से कम इसमें पुरानी उन हसीनाओं की कुछ यादें, अदाएं, बातें, मुलाकाते, नज़ाकतें, बेशर्मिया, दिल फरेबियां, गुस्ताखियां, नादानियां भी तो रहने देती... 

शौहर के दिल को सुकून से नहीं रहने देना...

बगीचे में तमाम फूल लगाए जाते हैं यह बात अलग है कि गुलाब सबसे अजीज़ होता है...

#रोमिल

Friday, August 24, 2018

Mujhe yeh apne tajurbon se haasil hui hai...

Mujhe yeh apne tajurbon se haasil hui hai,
Jise tum dilfareeb kahani samaj kar padte ho...

Tarjuma

Dunia-e-jahan mein bahut kam log hai jo alfazon ki gheraiyon mein utar kar uski sacchai jaan lete hai... 

मुझे यह अपने तजुर्बों से हासिल हुई है,
जिसे तुम दिलफ़रेब कहानी समझकर पड़ते हो...

तर्जुमा

दुनिया-ए-जहां में बहुत कम लोग है जो अल्फ़ाज़ों की गहराईयों में उतरकर उसकी सच्चाई जान लेते है...

Teej bhi manate hai, 
rang bhi gulab sa gulabi pehante hai, 
sindoor bhi hai maang mein,
salamati ki dua bhi padte hai...
bas kareeb aane se darte hai...
raat jaane kaisi besharm hai...
bina koi daag-e-mohabbat chhode guzar jaati hai...

#Romil

तीज भी मनाते है,
रंग भी गुलाब से ग़ुलाबी पहनते है,
सिंदूर भी है मांग में,
सलामती की दुआ भी पढ़ते है...
बस क़रीब आने से डरते है...
रात जाने कैसी बेशर्म है...
बिना कोई दाग़-ए-मुहब्बत छोड़े गुज़र जाती है...

#रोमिल

Friday, November 11, 2011

तुम भी वीरान हो गए हो !

रोमिल, अगर मेरा भी दिल-ए-आशियाना उजड़ा है
आँखें यह भी कहती है कि तुम भी वीरान हो गए हो !

#रोमिल

Friday, March 19, 2010

mere saath...

gum mere saath aise chalta hai Romil
jaise koi humsafar kisi ke saath chalta hai...
***
raahon mein hazaro milte hai Romil
aisa kaha milta hai jisse dil milta hai...

#Romil

गम मेरे साथ ऐसे चलता है रोमिल 
जैसे कोई हमसफ़र किसी के साथ चलता है... 

राहों में हजारों मिलते हैं रोमिल 
ऐसा कहां मिलता है जिससे दिल मिलता है...

#रोमिल

Wednesday, September 23, 2009

toota hua dil

Is saal socha ki use Eid par kya pesh karu
kuch na samaj aaya to
toota hua dil hi de diya...

#Romil

इस साल सोचा कि उसे ईद पर क्या पेश करूँ
कुछ ना समझ आया तो 
टूटा हुआ दिल ही दे दिया...

#रोमिल

Wednesday, February 25, 2009

~~dil se~~

mehboob ki tasveer banate-banate jawani guzar gaye Romil
jab bani to baazar ki ho gaye...
~~~
Is tarah toota hain dil mera mat pucho
ki kanch ko pathar se thoda gaya ho...
[written by romil arora-copyright reserved]


Sunday, January 4, 2009

dil-e-aashiana

agar mera bhi dil-e-aashiana ujada hai sanam
aankhen yeh bhi kehte hai ki tum bhi veeran ho gaye ho sanam!
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, November 29, 2008

masoom sa dil...

hai kaash tujhe hoti khabar ki tune kise thukraya hai,
yeh koi heera nahi, sona nahi, pathar nahi
mera masoom sa dil hai...

#Romil

है काश तुझे होती खबर की तूने किसे ठुकराया है, 
यह कोई हीरा नहीं, सोना नहीं, पत्थर नहीं मेरा मासूम सा दिल है...

#रोमिल

Tuesday, October 14, 2008

tera dil...meri saansein


tera dil dhadkega to mera dil bhi dhadkega,
tu saansein legi to main bhi saansein lunga!
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, August 14, 2008

Dil...


Yeh Apna Dil Bhi Bewafa Likala,
Hamare Nahi Yeh Bhi Us Bewafa Ka Likala.
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, August 8, 2008

Dil Laga Raha Tha....

Kiske Liye Main Jahan Bana Raha Tha,
Kiske Liye Gharonda Basa Raha Tha,
Jab Apni Khushi-Apna Gum Baatna Hai Mujhe Roohon Ke Saath,
Kyon Insaano Se Dil Laga Raha Tha!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, July 15, 2008

apna daman thama nahi.....

Aaye dil chal kahi aur chale,
is baahar-e-jahaan main apna thekana nahi,
phool to apne pehle the hi nahi,
ab kaantoon ne bhi apna daman thama nahi!
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, June 21, 2008

fhir se yeh dil lagaya nahi jaata....



fhir se yeh dil lagaya nahi jaata....


Dard itna mila hai ki bataya nahi jaata,

aansoo ka koiye hisab lagaya nahi jaata.



Barsaat se kya gila apna,

jab kaachi mitti ka ghar tha apna,

Paani main beh jaye to fhir banaya nahi jaata.



Durr tak bas andhera hi andhera hai,

Roshani ka koiye deepak ab jalaya nahi jaata.



Har umeedh tooth chuki hai apni,

ab umeedon ka shehar banaya nahi jaata.



Kisse kahe apna haal-e-dil,

ab kisi se dil lagaya nahi jaata.



Har koiye to ab maira dushman hai,

dost kisi ko apna banaya nahi jaata.



sach kahu fhir se yeh dil lagaya nahi jaata...

[written by romil arora - copyright reserved]

Ishq mein dard hai itne mile ki dil ro padta hai...

dil ro padta hai...

Ishq mein dard hai itne mile ki dil ro padta hai,
Zamane ne diye itne sitam ki soch kar, dil ro padata hai,
Muskurate rahe sab, dekhkar hamara tadapna,
Aaj bhi jab yaad aata hai unka muskurata chehara, dil ro padta hai.
Unki rahoon mein hamesha rahe marr-mit jaane ko hum,
Dekh kar unka nazre humse churana, dil ro padata hai.
Kabhi hote the hum hi unki aaina-e-nazar,
Phoolon se jab koi aaina toodta hai, dil ro padta hai.
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, May 27, 2008

"Gum Kya Hota Hai"

"Gum Kya Hota Hai"

Mohabbat ka gum to bahut chota hota hai,
kai mohabbat karne wale mil bhi jate hai,
Us baap se gum pucho, jiska jawan beta sarhad par mar jata hai,
jiske arthi ko koi kandhe nahi mil pata,
Us vidwa se gum pucho,
jo apne pati ki laash ko dekh nahi pate,
Us maa se gum pucho,
jo apne jawan bacche ki mrithu ki kharab sun nahi pate,
Us chote bacche se pucho gum kya hai,
Jo abhi mushkura naha pata,
Us bhehan se pucho gum kya hota hai,
jiske raksha karne wala ab koi nahi hota,
Mohabbat ka gum to bahut chota hota hai,
kai mohabbat karne wale mil bhi jate hai"
"Dil ek tootha tumhara to tum sabko bewafa samaj baithe,
zaara nazar utha ke dekho, har kisi ka dil thuthe hua hai"
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Friday, May 23, 2008

"Tum Hamesha Khush Raho Yeh Dil Kehta Hai"

"Tum Hamesha Khush Raho Yeh Dil Kehta Hai"

Aaj Dil Ke Har Baat Tumse Kehne Ko Dil Karta Hai,
Tum Hamesha Khush Raho
Yeh Dil Kehta Hai!

Aankhon Main Na Kabhi Aaye Aansoo,
Tumhare Hooton Par Hamesha Muskaan Dekhne Ko
Yeh Dil Karta Hai!

Sada Saji Raho Tum Phoolon Ki Dali Ki Tarah,
Tumhari Nazre Utarne Ko
Yeh Dil Karta Hai!

Mera Kya Hai Main To Ek Ghungharu Ki Tarah Hu,
Bas Kabhi-Kabhi Tumhare Pairon Mein Bandh Kar Bajte-Bajte,
Beekharne Ko,
Yeh Dil Karta Hai!

Aaj Dil Ki Har Baat Tumse Kehne Ko Dil Karta Hai,
Tum Hamesha Khush Raho
Yeh Dil Kehta Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]