Showing posts with label Shabd. Show all posts
Showing posts with label Shabd. Show all posts

Thursday, August 23, 2018

Akhbaar mein khabarein chahe...

Akhbaar mein khabarein chahe kitni hi dischasp aur dilfareeb kyon na ho...
Par uska muqaddar raddi ki tokri hi hota hai...

अखबार में खबरें चाहे कितनी ही दिलचस्प और दिलफ़रेब क्यों ना हो... 
पर उसका मुकद्दर रद्दी की टोकरी ही होता है...

Tarjuma

Jab kisi ke taane din ka chain aur shabd raaton ki neendein uda de to insaan ki soch insaan ko yeh sochane par majboor kar deti hai ki mohabbat ki kitaab khoobsurat jaroor thi magar jab bazaar mein beki to ek waqt ki roti ka intezaam nahi kar saki.

Andhe insaan ko rasta dekhane se koi fayda nahi... Himmat ho to haath pakad kar rasta paar karwao... warna chhod do usko uske haal pe woh khud chhadi ke sahare rasta paar kar jayega... Aur zindagi ka safar bhi...

Saturday, August 18, 2018

na keh dene wale shabd...keh dene wale shabdon se jyada takleefdeh hote hai...

na keh dene wale shabd...
keh dene wale shabdon se jyada takleefdeh hote hai...

isliye dil kholke baatein keh deni chahiye...
mann halka ho jayega...
rooh ko sukun mil jayega...

#Romil

ना कह देने वाले शब्द....
कह देने वाले शब्दों से ज्यादा तकलीफ़देह होते है...

इसलिए दिल खोलके बातें कह देनी चाहिए...
मन हल्का हो जायेगा...
रुह को सुकून मिल जायेगा...

#रोमिल

Wednesday, August 15, 2018

Aksar mooh se nikle alfaazoh mein...

Aksar mooh se nikle alfaazoh mein 
jhoot, dhokha, fareb hota hai. 
Dil se nikle alfaaz hi sacche hote hai.

Feel the Words...

Tarjuma

Aisa lagta hai in mobile phones ke aa jaane se artificial words ki ek baadh si aa gai hai... Subah hote hi log shuru ho jaate hai good morning wishes ke saath aur good night tak shabdon ka ek designer kutra-pajama pehna dete hai... 

Aisa lagta hai subah hote hi shabdon ka ek makadjaal buna ja raha hai...

Zindagi mein zara si badhaali kya aa jaye, ek saccha saathi nahi milta...

Fharmadari, Mashwaredaar, Qabil-e-kirdaar log ab nazar nahi aate...

Rahi baat meri... aansoo jab bhi galat waqt pe aate hai basically sahi waqt pe aate hai... Jhoot, Dhokha, Fareb karna meri tarbiyat mein nahi hai... 

Main Dil se likhta hun, Dil se bolta hun... Isliye kabhi-kabhi kadva bol jaata hun... Dil mein jo dafan hota hai woh alfazon ka roop lekar bahar nikal aata hai... Isliye jyadatar log mujhe padne se hichkichate hai...

Friday, June 22, 2018

Labon...

Jo maine labon se khamoshi utaar di...
Na jaane kitno ke cheharon se naqaab utar jayenge...

Bolne se khud ko rok rakha hai maine...
Warna tumhare bhi zakhm Hare ho jayenge...

Mere shabr ka imtehaan mat lo...
Lo labon ke baandh toote to na jaane kitne ismein beh jayenge..

aur

Khayal rahe...

Yeh juban ab raat bhar tumhare kaano mein mohabbat ke nagme nahi gaati...
Naye sire se juban ko dhaar di hai maine.

sharafat utaar di hai maine...
mohabbat utaar di hai maine...

- ⛅

Saturday, March 24, 2018

Pehle kitne sacche shabd hote the tumhare...

Pehle kitne sacche shabd hote the tumhare...
Ab kitne banawati shabd hote hai tumhare...

Pehle kitna sukun deta tha, mere kandhe pe sar tumhara...
Ab naag sa haar lagta hai baahon ka ghera tumhara...

Pehle tera chehara dekhne ko tarasti thi nazre hamari...
Ab tumse nazre churati hai nazre hamari...

Pehle tum bina baat pe yaad aa jaate the...
Ab tumse baat karne ko katrati hai juban hamari...

- Romil RaJ