Showing posts with label Haq.... Show all posts
Showing posts with label Haq.... Show all posts

Monday, October 1, 2018

Meri mohabbat se sabak lena chahiye har mohabbat karne wale ko...

Meri mohabbat se sabak lena chahiye har mohabbat karne wale ko...

kabhi bhi pakeeziyat wali mohabbat nahi karni chahiye...kyonki ab woh daur hi nahi raha hai pakeeziyat wala...
ab hawas, jism, paison, khawaishon, dillagi, maukafarasti ka daur hai...

aur

bhoolkar bhi mehboob ko Khuda ka darza nahi dena chahiye... Rab ke barabar bhi nahi samajhana chahiye... Jab aisa gunah karte ho tum, kaafir ho jaate ho tum, tab Khuda khud tumhara guroor todta hai aur woh tumko yeh dikh deta hai ki koi bhi Insaan kabhi Khuda nahi ban sakta, fir chahe woh tera Sanam hi kyon na ho...

Fir tumhare har ek aansoo, cheekh-pukaar, gum, tadap par Khuda khush hota hai... Khuda khush ho sakta hai, kyonki woh qayenaat ka maalik hai, usne humein paida kiya hai magar is dunia, in tamaam logon ko mujhpar hasne ka koi haq nahi... koi haq nahi...

#RaJWrites

Friday, September 7, 2018

Aurat tum jaisi...

Aurat tum jaisi pak-saaf ho ya fir 
Dance Bar mein rupiyon par nachane wali koi...

Sabki izzat karein aisi Tarbiyat di hai Maa ne...

aur

HaQ hoga jispar usse Dil kholke, dunia-e-jahaan ke samne mohabbat jatayenge...
Warna ek aah tak kisi gair ko nahi sunayenge...

#SuNWrites

Sunday, August 19, 2018

Kabhi na kabhi to gile-shikwon ka zikr hoga hi... Fir abhi kyon nahi?

kabhi na kabhi to gile-shikwon ka zikr hoga hi...
fir abhi kyon nahi?

Waise tum par koi Haq to nahi hai...
Par kare kya aadat nahi jaati tumpar haq jamane ki...
haq jataye bina mohabbat bhi to adhuri rehti hai...

- RaJ

Saturday, April 14, 2018

Teri raza ke bina chuhu tujhe...

Teri raza ke bina chuhu tujhe...
Mujhe yeh gavara nahi...
Kyonki main Aashiq hun tera Haq jatane wala Shauhar nahi...

- RaJ

Tuesday, August 12, 2008

HAQ....

Sanam....Is Rooh Par HAQ Sirf Tumhara Hai,
Is Jism-o-Jaan Par HAQ Sirf Tumhara Hai,
Zara Baahon Mein Ek Baar Lekar To Dekho Sanam,
Is Raj Par HAQ Sirf Tumhara Hai...
[written by romil arora - copyright reserved]