#Romil
All my posts dedicated to My Rab NaaZ... Bas is tarah mohabbat ki namazein ada kar leta hun, naam NaaZ ka zameen pe likh sajda kar leta hoon... Written By ROMIL.COPYRIGHT RESERVED to http://www.sunny-raj.blogspot.com and writer!
Friday, August 9, 2013
chalo purani kitab ko ek baar palat kar dekh lete hai
#Romil
kuch aise hi...
bachpan mein lagi choot ki tarah hoti hai
umar ke saath, gaav bhar jaate hai
magar nishani nahi jati hai.
****
log sach hi kehte hai Romil
tum apni bezhati
dusaron ka ehsaan
aur
apne maa-baap ko kabhi nahi bhoolte.
****
itne saalon ki meri aashiqui mein fark bas itna sa pada hai
pehle use main apni mohabbat mein yaad karta tha
aaj use main apni nafraton mein yaad karta hoon.
****
sirf juban hi nahi leti naam tera
saansein bhi padti hai paigam tera
bina tujhe dekhe
bina tujhe chuye
meri rooh ko ek sukun sa rehta hai
khuda se kam nahi hai meri zindagi mein auda tera.
#Romil
Tuesday, August 6, 2013
Iski baaton mein hai itni mishari bhari
Dekhana Romil, ise ek din khuda ka farista le jayega.
Maut to aayegi aur chali jayegi
Magar iska naam kitabon mein reh jayega.
Salam likho
Bas Salam likho aur bhej do khat
Romil, Padane wala khud khat ka mazmoon samaj jayega.
Shaadishuda ho tum,
Kisi gair ki amanat ho tum,
Mera naam na liya karo
Warna yeh mohabbat ka samundar tumko ek din tabah kar jayega.
Sunday, January 1, 2012
बात पुरानी नहीं हुई हैं यह
सागर आज भी साहिल को देखकर अंगड़ाई लेता हैं...
*
सावन का मौसम जब-जब आये
मोर अपने पंख फैला ही लेता हैं...
*
चाहे गुलाब किताबों में रखा कितना भी पुराना क्यों न हो जाये
आज भी बीती यादें दिल में जगा ही देता हैं...
*
चेहरा बदल जाये
उम्र ढल जाये
मगर एहसास न जुदा हो
साज़ चाहे कितना भी पुराना क्यों न हो रोमिल
होंठों पर आये तो तराना बना ही देता हैं...
Tuesday, June 28, 2011
आशिक होते तो समझते तुम
छोटे से सवाल का जवाब दे न पाए
और करते हो इम्तिहानो की बात...
रोमिल, आशिक होते तो समझते तुम
दीवाने की बात...
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬[रोमिल]▬▬▬
Wednesday, August 11, 2010
sanam kuch to bolo na...
kuch bolo na... bolo na..
kuch bolo na..
bolo na..
kuch to bolo na...
*
kyon khamosh hai yeh fizayein
kyon roothi hai mujhse teri raahein
kyon ho tum mujhse khafa-khafa
kyon ho tum mujhse juda-juda
bolo na... bolo na..
kuch bolo na... bolo na..
kuch bolo na...
bolo na...
kuch to bolo na...
*
har ghadi mujhe bas teri aas hai
dil kahe tu mere aas-pass hai
fir yeh kyon fhela, sannata hai
khoya-khoya rehta, tera chehra hai
bolo na... bolo na..
kuch bolo na... bolo na..
kuch bolo na...
bolo na...
kuch to bolo na...
sanam kuch to bolo na...
[written by romil arora - copyright reserved]
Friday, May 14, 2010
chote se sawaal ka jawab de na paye
aur karte ho IMTIHAANO ki baat...
aashiq hote to samajhate tum
diwane ki baat...
________
Baat purani nahi hue hai yeh
Sagar aaj bhi Saahil ko dekh kar angadai leta hai...
*
Saawan ka mausam jab-jab aaye
Mor aapne pankh fhela hi leta hai...
*
Chahe gulab kitabon mein rakkha kitna bhi purana kyon na ho jaye
aaj bhi beeti yaadein jaaga hi deta hai...
*
Chehra badal jaye
Umar dhal jaye
magar ehsaas na juda ho
Saaz chahe kitna bhi purana kyon na ho
Honton par aaye to tarana bana hi deta hai...
_______
BEWAFAI KA ILZAAM NA DENA
PEHLE KHUD APNA GIREBAAN JHAAK LENA...
JISE ISHQ NE PAAGAL BANA DIYA HO
USE ZINDAGI JEENE KA PAIGAM NA DENA...
Thursday, January 28, 2010
jahan ko jagao...
Wednesday, January 27, 2010
woh chahiye aur mujhe kuch bhi nahi...
Tuesday, September 8, 2009
main khush hun use khush dekhkar...
bahut dino baad usse baat hue...
ruksati ki baat jab hui dil bhar gaya
[written by romil arora - copyright reserved]
Thursday, May 28, 2009
mujh par ehsaan karta hai...
Wednesday, May 27, 2009
aahistaa-aahistaa.
mohabbat ka safar hain kahin gir na jaana
chalo sambhal kar zaara aahistaa-aahistaa.
~*~
raat nasheeli hain kahin fhisal na jaana
mehboob ki baahon main jayo zaara aahistaa-aahistaa.
~*~
jaan na nikal jaye aaj isse gulshan-e-bistar par
maire badan ko pyar karo zaara aahistaa-aahistaa.
~*~
chadata ja raha hain tere husn ka suroor maire naazaron main
phoolon ko toodho zaara aahistaa-aahistaa.
[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]
Friday, May 15, 2009
jaise koiye baat hain...
Saturday, May 9, 2009
baaton-baaton main
Friday, May 1, 2009
kuch baat to jarur hogi...
har saans ke saath yaad aati hain...
~*~
har saans ke saath yaad aati hain...
Friday, March 20, 2009
hum kya kare...
dil hi naa-samaj tha
hum kya kare...
~
lagi sabse pyari surat wahi
aankhen jo kha gaye dhoka
hum kya kare...
~
bani se bhi jyada paak lagte the bol uske
kaan jo sun na sake sachai
hum kya kare...
~
aitbaar tha mujhe ki uski rooh farishtey si hai
mann jo samaj na saka
hum kya kare...
[written by Romil Arora-copyright reserved]
Tuesday, February 10, 2009
aur baat hoti!
apne to bahut hai mere duniya mein, apne, apne hote to aur baat hoti!
vada to mein lakhon kar sakta hu,
Tuesday, July 15, 2008
yeh baat samaj nahi aai...
magar usne mujhe rula diya,yeh baat samaj nahi aai...Humne, waafa mein apni zindagi beeta di,magar usne bewafai kyon ki,
yeh baat samaj nahi aai...Humne, intezaar mein raatein beeta di,
magar woh hamari liye do pal ruk na saki,yeh baat samaj nahi aai...Hamne, sapne mein hi mulaqate saja li,magar woh hamara khayaal bhi saja na sake,
yeh baat samaj nahi aai...
[written by romil arora - copyright reserved]
Wednesday, May 28, 2008
"ek din kahi hum tum mile"
na tum kaho, na hum kahe, ankhon main baateiyen hote rahe,
ek din kahi hum tum mile, bataiye rahe, kuch na kahe,
na tum kaho, na hum kahe, ankhon main baateiyen hote rahe,
betaiye na pal, yeh suhana pal, bas raat bhar hum baitaiye rahe,
sapne ho bas aankhon main aapne, keh do wahi jo labh keh na sake,
ek din kahi hum tum mile, bataiye rahe, kuch na kahe,
na tum kaho, na hum kahe, ankhon main baateiyen hote rahe,
kabhi aankhen kahe kuch keh bhi do,
kabhi labh kahe kuch bhi na kaho,
kabhi haaton ko tum chu bhi lo,
kabhi main sharma kar utha bhi jayun,
ek din kahi hum tum mile, bataiye rahe, kuch na kahe,
na tum kaho, na hum kahe, ankhon main baateiyen hote rahe!
kuch tum kaho, kuch main sunu
"kuch tum kaho, kuch main sunu"
"kuch tum kaho, kuch main sunu,
baat keh bhi do jo na main keh saku,
beet jaye na yeh pal, shaima - shaima hai yeh dil,
hooton ko aaj chukar, baat keh bhi do tum,
kuch tum kaho, kuch main sunu...
bahoon main tere, sunte rahu baat tere,
beet jaye na raat yuhi,
kuch tum kaho, kuch main sunu...
kehdo jo aaj kehna, jo maire dil ko sunna,
diar na tum karo bas, aaj keh bhi do tum,
kuch tum kaho, kuch main sunu..."
#Romil