Showing posts with label tanhai. Show all posts
Showing posts with label tanhai. Show all posts

Sunday, February 16, 2020

Gazab ki Baat...

Gazab ki Baat...

Apne hi Shehar mein Akele hai...
Tanha hai...

Jo Unke shehar mein hote to kaun sa manzar alag hota...
Halaat yahi hote...
Akele hai... Tanha hai...

#Romil

गजब की बात... 

अपने ही शहर में अकेले हैं... 
तन्हा है... 

जो उनके शहर में होते तो कौन सा मंजर अलग होता...
हालत यही होते... 
अकेले हैं... तन्हा है... 

#रोमिल

Monday, September 24, 2018

Meri tanhai par taras hi khaati hai...

12 saal gujar gaye hai Miya... 12 saal...
Ishq-Mohabbat ke din yakenan guzar hi chuke hai...
Ab to use sirf mujhmein buriyan hi buriyan nazar aati hai...
Ab to sirf woh meri tanhai par taras hi khaati hai...

#Romil

Wednesday, August 22, 2018

Umar bhar...

Umar bhar shaadi ka fhanda gale mein latkaye rehne se behtar hai...
Azaadi lekar akele tanhai mein raho...

Fhande mein rahoge to ghut-ghut ke marr jaoge...
Tanhai mein kam se kam khud se baatein to kar sakoge...

- RaJ

Friday, December 30, 2011

यादों में चिराग-ए-दिल जलता रहा सारी रात

यादों में चिराग-ए-दिल जलता रहा सारी रात
हम वजह-ए-तन्हाई किसी को बता न सके...
~*~
फैसला-ए-इश्क हमको मंज़ूर था उनका
हम टूटे हुए खवाब किसी को दिखा न सके...
~*~
दामन-ए-यार की आरज़ू थी अपनी
हम जला हुआ हाथ छुपा न सके...
~*~
आरज़ू थी की उनकी नज़रों के नूर बने
हम अपने आंसू बहने से बचा न सके...
~*~
यादों में चिराग-ए-दिल जलता रहा सारी रात
रोमिल, हम वजह-ए-तन्हाई किसी को बता न सके...

Tuesday, September 22, 2009

Tanhai

bachpan se main tanhai mein raha hu Romil
mere janaze par bheed nahi honi chahiye.

#Romil

बचपन से मैं तन्हाई में रहा हूं रोमिल 
मेरे जनाजे पर भीड़ नहीं होनी चाहिए. 

#रोमिल

Wednesday, September 16, 2009

wajah-e-tanhai

yaadon mein chirag-e-dil jalta raha sari raat
hum wajah-e-tanhai kisi ko bata na sake...
~*~
faisala-e-ishq humko manzoor tha unka
hum toote hue khawab kisi ko dikha na sake....
~*~
daman-e-yaar ki aarzoo thi apni
hum jala hua haat chhupa na sake...
~*~
aarzoo thi ki unki nazron ke noor bane
hum apne aansoo bahane se bacha na sake...
~*~
yaadon mein chirag-e-dil jalta raha sari raat
hum wajah-e-tanhai kisi ko bata na sake...

#Romil

यादों में चिराग-ए-दिल जलता रहा सारी रात 
हम वजह-ए-तन्हाई किसी को बता ना सके... 

फैसला-ए-इश्क तुमको मंजूर था उनका 
हम टूटे हुए ख्वाब किसी को दिखा ना सके... 

दामन-ए-यार की आरजू थी अपनी 
हम जला हुआ हाथ छुपा ना सके...

आरजू थी कि उनकी नजरों के नूर बने 
हम अपने आंसू बहाने से बचा ना सकें...

यादों में चिराग-ए-दिल जलता रहा सारी रात 
हम वजह-ए-तन्हाई किसी को बता ना सके...

#रोमिल

Friday, August 21, 2009

kal raat maine...

kal raat maine dekha tha ek khawab suhana
dhundhala-dhundhala tera chehara tha magar jaana pehchana...
saari raat jalte-bhujate rahe taaron ki tarah
hoonton par muskaan par aankhon mein sapan suhana...
ek dard tha dorrie ka meetha-meetha
jaise kuch mir ke misare, kuch ghalib ka tarana...
bas aaise hi beeti raat apni
tanha raaton ko guzarne ka yeh hai shayaron ka andaz purana...

#Romil

Wednesday, February 11, 2009

main aur meri tanhaiye!


jaane kitni durr aur jayegi
main aur meri tanhaiye!
~
har rasta, har manzil mujhse begaane hain
kab tak aaise hi dar-badar fhirati rahegi
main aur meri tanhaiye!
~
yeh matlabi chehare
yeh mauka-parasth insaano ki toli
kab tak dhoka khati rahegi
main aur meri tanhaiye!
~
khud ko dhikkarati hue
pal-pal ghutati
mann hi mann jalti
maut ka bhoj kandhe par uthati hue
main aur meri tanhaiya!
[written by romil arora-copyright reserved]

Saturday, January 24, 2009

tanhaiyon main jeete hai...

tere khawabo
tere khayalo mein jeete hai
ki tera naam lete hai
tanhaiyon mein jeete hai...
na manzil mili thi
ki saath chuth gaye
hum to ab raste mein hi jeete hai
manzil ki talash mein hi jeete hai
tere khawabo
tere khayalo mein jeete hai
ki tera naam lete hai
tanhaiyon mein jeete hai...
bade ittefaq se mile the hum
ki aaj bhi un palon ko sambhal kar rakhate hai
tere haseen baaton ki fiza mein jeete hai
tere khawabo
tere khayalo mein jeete hai
ki tera naam lete hai
tanhaiyon mein jeete hai...
na baat poori hui thi
ki mehfil se uth gaye tum
adhuri ghazal mein rehte hai
adhuri mehfil mein jeete hai
tere khawabo
tere khayalo mein jeete hai
ki tera naam lete hai
tanhaiyon mein jeete hai...
[written by romil arora-copyright reserved]

Saturday, January 3, 2009

tanhai

tanhai dhundhate hai aansoo bahane ko
chale jayenge hum kahi, kabhi wapas na aane ko...
[written by romil arora - copyright reserved]

kitna tanha hu main

kitna tanha hu main 
khud se ru-ba-ru ho leta hu main...
~
andheri raaton main
khud ko lori suna kar sula leta hu main...
~
jab aansoo girte hai aankhon se
khud-ba-khud pooch leta hu main...
~
jab besahara hota hu
apni baahon ko aashiana bana leta hu main...
~
Jab maut aayegi
khud ko chadar main chupa lunga main...
~
kitna tanha hu main
khud se ru-ba-ru ho leta hu main...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, September 22, 2008

Jee To Lete Hum Tanha Zindagi

Paa To Sakte The Hum Zindagi Ki Har Khushi,
Magar Tanhaiyoon Se Hamara Rishta Kuch Khaas Tha,
Jee To Lete Hum Tanha Zindagi,
Magar Teri Kami Ka Ehsaas Tha!
***
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, September 19, 2008

Tanhai Se To Hamara...

Tanhai Se To Hamara Bachpan Ka Naata Hai,
Fir Na Jaane Kyon Uske Jaane Ke 
Baad Hum Akele Ho Gaye Hai!

[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, August 17, 2008

Is tanhai se to mera yarana purana hai...

Tum mujhe kya tanhai mein chhodogi sanam,
Is tanhai se to mera yarana purana hai...

[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, July 5, 2008

khud ko tanha paya...

Aaj khud par taras aaya,

jab maine apno ko aajmaya,

sabko khushiya di maine, apni muskurahat se,

lekin aaj gum mein khud ko tanha paya!

[written by romil arora - copyright reserved]

haaton ki lakeeron ko milane main raha.....

Main to yaadon ke shehar mein raha,
Har sapne mein khud ko jalane mein raha,
Woh chala gaya mujhko tanha chhod kar,
Main haaton ki lakeeron ko milane mein raha!
[written by romil arora - copyright reserved]

tanha hi raha...

tanha hi raha...

tanha hi raha, tanha hi raha, uski yaadon mein tanha hi raha!  
main karta raha uska intezar umar bhar, uske intezar mein tanha hi raha, tanha hi raha,
uski yaadon mein tanha hi raha!  
yeh waqt aise hi beetata gaya, zamana waqt ke saath badalta gaya, 
main khule aasman mein uska chehara dekhata gaya, 
tanha hi raha, 
uski yaadon mein tanha hi raha!
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, June 28, 2008

kuch dil ke alfaaz...

kuch dil ke alfaaz...

Mangi thi dua aashiana ki,

magar khandhar bhi naseeb na hua,

Chah thi dil mein mohabbat ki,

magar koi apna bhi naseeb na hua!

Anjaane mein mohabbat kar baithe,

zakhm hazaro dil par kha baithe,

mehboob ko apna banane ke liye is tarah hue deewane,

ki apna naam tak badal baithe,

chaha tha zindagi main jeene ko,

par saari umar gham-e-tanhai men beeta baithe!

[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, May 27, 2008

Tanha hu main

"tanha hu main"

Dost sach bahut tanha hu main, Laut aao aaj fir bahut tanha hu main, 
Tumne kaha tha DOSTI nahi marti, 
Isi baat par aaj tak fir zinda hu main, 
 Meri yaadon mein tu shamil hai sajde jaisa, 
Rab se pehle tera naam leta hu main, 
Kab tak dardon ko main sehta rahunga, 
Khud se teri baatein karta rahunga, 
 Us rab ke ghar ko chhodkar mere pass aa jao, 
Dost sach bahut tanha hu main, Laut aao aaj fir bahut tanha hu main...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, May 23, 2008

Tumko Kya Pata Hai Kya Dard Hota Hai Judai Ka

"Tumko Kya Pata Hai Kya Dard Hota Hai Judai Ka"
Tum Humse Kehti Ho Itna Tadapte Kyon Ho?
Hamare Liye Itna Machalte Kyon Ho?
Tumko Kya Pata Hai Kya Dard Hota Hai Judai Ka,
Tadapne Ka,
Tanhai Ka...
Maut Ko Bhi Log Laga Lete Hai Gale,
Yeh Hota Hai Junoon Aashiqui ka...
Raat Bhar Aankhon Mein Neend Nahi Aati,
Khuli Aankhon Se Sapne Ko Dekhne Ki Sachai Ka...
Mehfilon Mein Roshan Hoti Hai Shama,
Kisi Ko Nahi Andaza Uski Tanhai Ka....
Tumko Kya Pata Hai Kya Dard Hota Hai Judai Ka,
Tadapne Ka,
Tanhai Ka...
[written by romil arora - copyright reserved]