Showing posts with label Mehboob. Show all posts
Showing posts with label Mehboob. Show all posts

Friday, September 7, 2018

Numaiesh ka samaan jyada bankar reh gai hai...

Mehboob kam...
Numaiesh ka samaan jyada bankar reh gai hai...

Roz deedar karte hai...
Nazron ko sukun dete hai...
Labon ko narm karte hai...

Silsila badastur zaari hai...

#RaJWrites

Monday, June 16, 2008

Yeh taira mehboob hai…


Yeh taira mehboob hai…

Khamosh naazare mujhe kuch keh rahe hai,
Yeh sundar ka badan kuch keh raha hai,
Yeh saaza hua soola-singar mujhse keh raha hai,
Chum lo isse apne hooton se,
Yeh jaanat ka farishta taira hai,
Yeh taira mehboob hai…..

Chand aur taare mujhse keh rahe hai,
Yeh shabnami chandani mujhse keh rahe hai,
Yeh raatein, yeh haawain mujhse keh rahe hai,
Bhar lo isse apne baahon main,
Yeh jaanat ka farishta taira hai,
Yeh taira mehboob hai…..

Thami hue saansein mujhse keh rahe hai,
Ehsaas jo durr hokar bhi, kareeb sa lag raha hai, mujhse keh raha hai,
Beetata hua intezaar mujhse keh raha hai,
Apna bana lo isse,
Yeh jaanat ka farishta taira hai,
Yeh taira mehboob hai…..
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, May 27, 2008

Ek Farishta Hai Mehboob Mera

"Ek Farishta Hai Mehboob Mera"
एक फरिश्ता है महबूब मेरा

Ek Farishta Hai Mehboob Mera,
Mohabbat Meri Khudai Hai!

Dil Meri Basti,
Uski Yaadein Safar-e-Zindagai Hai!


In Aankhon Mein Sirf Uska Nasha,
Dhadkan, Jism Mein Sirf Woh Hi Samai Hai!

Uske Hanton Ki Mehandi Ki Khushboo,
Mere Rangeen Jeevan Ki Parchai Hai,
Muskurahat Uske Hooton Ki Shehnai Hai!

Ek Farishta Hai Mehboob Mera,
Mohabbat Meri Khudai Hai!

#Romil

एक फरिश्ता है महबूब मेरा 
मोहब्बत मेरी खुदाई है! 

दिल मेरी बस्ती 
उसकी यादें सफर-ए-ज़िन्दगाई है... 

इन आंखों में सिर्फ उसका नशा 
धड़कन, जिस्म में सिर्फ वो ही समाई है... 

उसके हाथों की मेहंदी की खुशबू 
मेरे रंगीन जीवन की परछाई है 
मुस्कुराहट उसके होंठों की शहनाई है...

एक फरिश्ता है महबूब मेरा 
मोहब्बत मेरी खुदाई है!

#रोमिल