Showing posts with label khud se RUBARU.... Show all posts
Showing posts with label khud se RUBARU.... Show all posts

Wednesday, August 29, 2018

Jab bacche masoom paida...

Woh zamane guzar gaye Miya...
Jab bacche masoom paida hote the...

(Allah tauba karein aaj ki generation se... Sirf tasveeron mein hi bhole-bhale, masoom, cute, sohna, babu, bibaa baacha lagte hai... par asal zindagi mein aatank ka dusara naam hai...

Khuda ne mehfuz rakha hai abhi tak is balaa se, aage bhi reham ata kare...)

- RaJ

Besharmi ki davaa...

Hakeem Saab... Besharmi ki davaa agar hai to de dijiye...
Mujhe apni Begam ke liye chahiye.

(Nai Naveli Dulhan nahi hai jo batti bujhte hi lipat jaye...

Par sach to yeh hai jo guzar chuki hoti hai gulabon ki sej se... woh aur jyada khuli, besharm mizaaz ki hoti hai...

Miya, tajurba naam ki bhi koi cheez hoti hai...)

#Romil

Tuesday, August 28, 2018

Make-up karke to tum...

Make-up karke to tum pehle bhi aachi nahi lagti thi.
Saadgi mein hi khoobsurat ho...

Yeh alag baat hai insaan jise chahne lage woh har ek roop-rang, libaas mein khoobsurat lagta hai.

Thursday, August 23, 2018

Rehmatein aur barkatein....

Ya Khuda... Ramzan ka mahina to chal nahi raha...
Par rehmatein aur barkatein khoob baras rahi hai...

Tarjuma...

call bhi kar rahi hai...
comments bhi kar rahi hai...
cake bhi bana rahi hai...
shaadi, bhudapa, job, zindagi ki fikr bhi badi kar rahi hai...
na taana maar rahi hai...na gussa kar rahi hai...

Tabiyat to iski theek hai, kahi zehni roop se bimaar to nahi ho gai hai...

Bas pyar nahi kar rahi hai... Love you nahi bolti hai...

hahahahaha

Friday, August 10, 2018

Timepass... Caliber... Talented Banda...

Mujhe kya lagta hai mere Caliber ki Job bachi hi nahi hai is dunia mein...

Lagta hai logon ne Talented Bande ko Hire karna band kar diya hai...

(Maine kaha tha...)

Building Construction ke liye Labour ki jarurat hai, Maine tumhara naam likhwa diya hai... Tomorrow morning 08:00 am... Site pe milna...

(Tumhare siwa yeh dialogue kaun maar sakta tha...)

Waise Kal Kisne dekha hai... hahaha

- RaJ

Saturday, August 4, 2018

Timepass - Missing actually...

No way... I'm missing only my sweetu GuNn... My Sonu... My Hitler... My Noorie... My Noor... My Defective Piece...

Now change the topic please...

- RaJ

Friday, August 3, 2018

Kudi Ullu Bana Rahi Hai...

Kudi Ullu Bana Rahi Hai...

Tu fikr mat kar... Udas mat ho...
Is mohabbat-e-shaakh pe bathere Ullu baithe hai...

Tu ek aur sahi...

hahaha

- RaJ

Thursday, May 3, 2018

Chachi ke yahan ghumane jayenge...

Planning...

School mein chhutti ho jayegi 15 May se...
Fir hum jayenge Train se Chachi ke yahan...
Chachi ke yahan...

Chachi banayengi Meethe wale Pele Chawal...
Hum khub khayenge...
Chachi ke yahan jayenge...

Wonderland mein karenge khoob masti...
Niku Park mein Jhula jhulenge...
Science city bhi dekhenge... Science park bhi jayenge...
Devi Talab Temple mein Mattha tekenge....
Church mein Candle jalayenge...
Gurudware mein Seesh Nawayenge....
Chachi ke yahan ghumane jayenge...

Chachi ke saath Beas bhi jayenge...
Guru ke darbar mein hazri lagayenge...
Kul Maalik se prathana karenge...
Chachi ke saath Amritsar bhi ghum aayenge...
Darbar Sahib ke darshan kar aayenge...
Chachi ke yahan ghumane jayenge...

Chachi humko naye-naye kapde khareed ke degi... Khilaune lekar degi...
Khoob shopping karwayegi...
Lassi pilayegi... Badam-Kaju khilayegi...
Chandigarh bhi ghumaane ke jayegi...
Chachi ke yahan ghumane jayenge...

#Romil Arora

Wednesday, May 2, 2018

Rab Jane....

Rab Jane... INDU = i Nd U = I&U

Kya pata Dr. ka tamga lagaye hue ho PhD ki degree lekr...

Kapdo ki tarah naam badalti hai... Hum kyn pukare tjhe tere Pati ke diye hue naam se... Ishq thodi na karenge NAAMDAAN lekar...

Akele hi tasveeron mein khilkhilati rehti hai... Kya pata akele zndgi beeta rhi ho Doctor ko chhodkar....

Kya pata koi aashiq hi tasveeron mein utaar rha ho camera mobile lekr...

Mayank... Sahil... Kabir... Dekha nhi kbhi... Kya pata khud ke sb Bete ho dusare shehar mein padte ho ya fir job kr rhe ho degree lekar...

Mujhe to na dikhi Charanpreet... Na koi Saheli... Na koi family member... KOI LADKA hi na post kr rha ho pictures Ladki bankr... hehehe...

Hum to apne 1 saal ke 5 crore lenge LalQila ki tarah... Is tarah 12 saal ke 60 crore hue GST include kr... hehehe...

- RaJ

Saturday, July 24, 2010

Personal Values

Personal values are values that make you who you are.

My core values

1. HONESTY, TRUTH
Honesty is a personal value I strongly believe is important. mere liye imandari aur satya se badh kar kuch bhi nahi hai... main aaj tak imandar raha hu aur hamesha satya ke saath raha hoon agey bhi imandar rehne ki poori koshish karunga aur hamesha satya ka rasta apnayunga... taki kabhi bhi khud ki nazaron main na giru...

2. LOVE, ROMANCE
Meri zindagi main pyar bahut important value hai... jo mujhe NaaZ ne seekhaya hai... jo mujhe GuNn ne seekhaya hai... Isliye to hum apni do khoobsurat faristoon se bahut pyar karte hai aur unko hamesha satate rehte hai... hamesha unke saath romance ke mood  main rehte hai... hum apni MAA se bhi bahut pyar karte hai...

"Zindagi gawan kar bhi jo zindagi mile,
har khushi gawan kar bhi jo ek khushi mile,
to maang lu TEREY LIYE... TEREY LIYE"

"Is duniya main jaan gawan kar tujhe us duniya main haasil kar lu" 

3. FREEDOM
Mujhe freedom pasand hai... main chahta hoon ki mujhe hamesha freedom mile... sahi baat bolane ki azadi... sahi baat likhane ki azadi... sahi baat kehne ki azadi...

4. RESPONSIBILITY AND ACCOUNTABILITY
Jimmedari aur Jawabdaiye...

Main kabhi apni jimmedariyoon se peeche nahi hatana chahunga aur na kabhi apni jawabdaiye se... Isliye to aaj tak zindagi je raha hoon... mere liye jimmedari aur jawabdaiye dono bahut jaruri hai...  

Sunday, July 4, 2010

2010 FIFA World Cup - THREE BIG loser PLAYERS

2010 FIFA World Cup - THREE BIG loser PLAYERS  

1. Ricardo Izecson dos Santos Leite commonly known as Kaká - BRAZIL
2. Cristiano Ronaldo dos Santos Aveiro commonly known as Cristiano Ronaldo - PROTUGAL
3. Lionel Andrés Messi - ARGENTINA  

Tuesday, June 22, 2010

aaj meri tabiyat kharab hain...

aaj meri tabiyaat kharab hain
hai... hai...
aaj meri tabiyat kharab hain...
***
05-06 vomating bhi hue hain
halka sa fever bhi hain...
stomach main pain bhi ho raha hain
hai... hai... 
aaj meri tabiyat kharab hain...
***
na hi doctor ko dekhaya hain
na hi medicine khaya hain
hai... hai...
aaj meri tabiyat kharab hain...
***
office main aaram farmaya hain
thoda sa kaam bhi kiya hain
hai... hai...
aaj meri tabiyat kharab hain...
aaj meri tabiyat kharab hain...
***
sachi..
aaj meri tabiyat kharab hain...
sachi...

Sunday, June 13, 2010

7

7 Television Shows/ News Channels I Like To Watch....

I am not a television chipku boy.... par kuch aacha aa raha hota hain to usko jarur dekh leta hu... recently yahi shows dekh leta hu par continue nahi....

1. Lapataganj - SAB TV
2. Pavitra Rishta - ZEE TV
3. Mile Jab Hum Tum - Nupur Bhushan ki serial main death ho gaye hain... Sad Na... STAR ONE
4. Sasural Genda Phool - STAR PLUS
5. 24 Ghante, 24 Reporter - STAR NEWS 
6. IBN 7 - Zindagi Live - IBN7
7. Kiran aur Kirnein - ZEE NEWS

*******
7 Places I Would Like To Go/ Visit


1. Ooty
2. Kashmir/ Maa Vaishnoo Devi Dham - Shiv Khori
3. Shimla/ Manali
4. Jageshwar (Almora)
5. Jaisalmer
6. Amritsar/ Golden Temple - Durgaina Mandir   
7. Ujjain/ Mahakaleshwar
*******

Sunday, November 22, 2009

ek gudda hu main...

ek gudda hu main...
ek gudda hu main...
khelane walon ke liye ek gudda hu main...
***
jab mann kiya dil bhela liya
jab mann kiya mujhko saaja liya
jab mann bhar gaya dil se nikal diya
jab mann bhar gaya kinare par rakh diya...
***
ek gudda hu main...
ek gudda hu main...
khelane walon ke liye ek gudda hu main...
***
jab gum main hote the mujhse hi baatein kiya karte the
jab gussa hote the mujhpar hi gussa nikal diya karte the
jab khushiya mili dusaron ki baahon ka sahara le liya...
****
ek gudda hu main...
ek gudda hu main...
khelane walon ke liye ek gudda hu main...
***
jab tak woh bachpan ki ungali pakade the
mujhe hamesha apne saath rakhate the
jaise hi jawani main kadam rakha
dusaroon ka haath tham liya...
***
ek gudda hu main...
ek gudda hu main...
khelane walon ke liye ek gudda hu main...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, September 26, 2009

ek ladka hain...

ek ladka hain
haan...ek ladka hain..
ek ladha hain...
dekho thoda sa
khafa...khafa sa hain...
haan...ek ladka hain
ek ladkha...
dekho thoda sa
khafa...khafa sa hain...
~*~
baat-baat par dekho
bigarata hain
iski naak par dekho kitna gussa baitha hua hain
ek ladka hain
haan...ek ladka hain..
ek ladha hain...
dekho thoda sa
khafa...khafa sa hain...

~*~
na kisi se bolta
na kisi ki sunta
khud se baatein karta rehta hain
ek ladka hain
haan...ek ladka hain..
ek ladha hain...
dekho thoda sa
khafa...khafa sa hain...
~*~
ice cream nahi khata
chocolate bhi nahi khata
dekho kitna moody-moody hain..
ek ladka hain
haan...ek ladka hain..
ek ladha hain...
dekho thoda sa
khafa...khafa sa hain...

~*~
chalo isko manaye
chalo isko hasaiye
thoda sa romil pagal-pagal sa hain
ek ladka hain
haan...ek ladka hain..
ek ladha hain...
dekho thoda sa
khafa...khafa sa hain...
~*~
(please baby sab kuch bhool jayo
jo hua so hua
thoda sa to muskurao
mera baacha...please yaar...samjho...
samjho woh bhi marr gaye hain...
nahi wapas aayegi)
ek ladka hain
haan...ek ladka hain..
ek ladha hain...
dekho thoda sa
khafa...khafa sa hain...

[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, August 3, 2009

aaj mera birthday hain...

mujhe aaj bachpan ka ek song yaad aa raha hain...jab main mann hi mann isse gaya karta tha...

"aaj mera birthday hain

aaj mera birthday hain

halwa banega

poori banegi

milenge naye-naye kapade.....

ho...ho...

aaj mera birthday hain

haan...haan...

aaj mera birthday hain...

~*~

pooja karunga

gurudware jayunga

maa ka aashirwad bhi lunga

school main sabko toffee bhi batunga.....

ho...ho...

aur...aur...aur

shaam ko fhir cake bhi kaatunga...

hey...hey...

aaj mera birthday hain

haan...haan...

aaj mera birthday hain...

~*~

picture bhi jayenge

shopping bhi jayenge

khayenge bahut saari ice-cream.....

ho...ho...

aaj mera birthday hain

haan...haan...

aaj mera birthday hain...

[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, May 24, 2009

talKING POINT...

talKING POINT...
Romil Arora on TalKING Point - Baaton ka Badshah...

Sunday, May 17, 2009

Jawaab-e-Shayari...

Naya show jawaab-e-shayari...Saawal aapke...magar andaaz shayarana...
Aaj ka Saawal -

Aankhon par kuch sunaiye?
Jawaab -
"yeh sach hain uski aankhon main, main chupa rehta hu

magar yeh aur baat hain main usse nazare milane se darta hu..."
===
"mujhe rimjhim barsaat pasand hain
isliye woh pagali dhoop main haste-haste roo padati thi..."
===
"nahi hain mujhe hosh kisi bhi baat ka
main teri aankhon main is tarah khoya rehta hu"
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, May 16, 2009

Jawaab-e-Shayari...

Naya show jawaab-e-shayari...Saawal aapke...magar andaaz shayarana...
Saawal 1-
Kisi haseen ki nazaron ko dekh kar kya kahenge?
Jawaab 1-
"Mere Allah, barbaad hi karna tha to aur bhi bahane the
haseen ke nazaron se rubaru karwaya kyon"
*
Saawal 2-
Kisi haseen ke chehare ki taraf dekh kar kya kahenge?
Jawaab 2-
"Yeh chehare hain ya aaftab hain,
Sukr Allah ka hain, rukh par naqaab hain"
*
Saawal 3-
Kisi haseen ke chal ki taraf dekh kar kya kahenge?
Jawaab 3-
"Dekh kar chal uski, khud apni chal bhul gaye
yaad raha na kuch, hum apne ghar ka pata bhul gaye"*
Saawal 4-
Mohabbat-e-izhaar main kya kahenge?
Jawaab 4-
"Tum se hi sehar ho
Tum se hi shaam dhale
Tum se hi khushi ho
Tum se hi dhukh mile
Tum se hi har sapne ho
Tum se hi mohabbat ke suru silsiley ho
Tum se hi zindagi ki suruwat ho
Tum se hi yeh dhadkan chale
Tum se hi mera naam ho
Tum ho to main hu"
*
Saawal 5-
Apne Mehboob ke naam kuch sunaiye?
Jawaab 5-
Aarzoo hain ki mehboob ko sajau
haanton main chudiya pehnau
uske pairon main payal sajau
aankhon main kaajal lagau
hoonton ko chooyun apni machalati ungaliyoon se
uske maathe par teeka sajau
qaamar main qamarband bandhu
komal si ungaliyoon main anghuti pehnau
kaanoo main pehlau jhumake uske
naak main nathuni pehlau
uske baalon ko sajau
aarzoo hain ki mehboob ko sajau!
[written by Romil Arora - copyright reserved]