Thursday, April 26, 2018

Kuch bhooli-bisari baatein...

Mere Dil tu uska Hausala to dekh...
Saathi woh usko kahe, jisne kabhi saath diya hi nahi...
++++++++++

Uff yeh ada...
Yeh aankhein...
Yeh muskurahat...
Yeh zulfein...
Yeh kangan...
Yeh jhumka...
Romil, aaj to woh Sheetal Chand bhi jalan se jal raha hoga...
++++++++++

Hum dono ko apni-apni aadat mein Maharat Haasil hai Romil...
Tumko gum dene mein...
Mujhko Khushi dene mein...
++++++++++

Na do kisi ko apni zindagi ke saath khelne ka haq Romil...
Ki kuch nahi rehta izzat, swabhimaan chale jaane ke baad...

- Romil RaJ

Bas kuch aise hi...

Kuch to baat hogi tumhari qismat mein Romil...
Jo hazaron ko na mil saka woh tera hai...
----------

Hum yeh to nahi kehte Romil, ki teri raah pe khade hai...
Magar yeh bhi sach hai teri nazaron ke samne khade hai...
----------

Khuda mujhe ta-umr uska khayal hi bane rehne de...
Suna hai Romil, woh khayalon mein mujhe apna kehta hai...
----------

Woh suni Manzil...
Woh suni Raahein...
Woh sune Manzar...
Woh suni Haawein...
Beet gaya yeh saal bhi tere aane ke intezaar mein Romil...

- Romil RaJ

Koi...

Raat mein bistar par phool sazaa leta hai koi...
Khawab mein hi kisi ko apna bana leta hai koi...
Aur angadai lekar jab woh bharta hai baahon mein..
Romil, takiye ko hi mehboob bana leta hai koi...

#Romil

रात में बिस्तर पर फूल सजा लेता है कोई 
ख्वाब में भी किसी को अपना बना लेता है कोई 
और अंगड़ाई लेकर जब वो भरता है बाहों मे 
रोमिल, तकिया को भी महबूब बना लेता है कोई... 

#रोमिल

Wednesday, April 25, 2018

Deep ki Shama pe pabandi lagi hui hai...

Deep ki Shama pe pabandi lagi hui hai...
Andheron ki saltanat qayam hai...

#Romil

दीप की सहम पे पाबंदी लगी हुई है... 
अंधेरों की सल्तनत कायम है... 

#रोमिल

Apni Kheriyat sang Ik Khat hi bhej do...

Kitabon mein rakhne vaste koi tasveer hi bhej do...
Tum Milo... Chahe Na Milo...
Apni Kheriyat sang Ik Khat hi bhej do...

Kitni raatein jaag kar kiya hai mera intezaar...
Kitni raatein mujhe sunai hai baatein haazar...
Kitni raatein aankhon se aansoo gire hazar...
Kitne raatein kiya hai mujhe pyar...
Tum apni raaton ka hisab hi bhej do...

aur

Hum hi jhuk jaate hai qadmo mein tumhare...
Tum apni akadke sang Khush Raho...

aur

Mujhpe lagi Tohmate sunkar bigad jaata...
Mere liye Shadyantariyon sang lad-bhid jaata...
To main samajhta Mera Yaar Tha...

aur

Yaad rahe...
Ik baap ki Jani ho to...
Tab hi baat karna... Warna umarbhar hamare liye Labon ko siye rakhana...

#Romil

Tuesday, April 24, 2018

Bada hi dilchasp masla hai...

Bada hi dilchasp masla hai...

Jisne fheka tha mujhe fhasane ke liye Jaal...
Woh Shikaari khud Jaal mein latka pada hai...
Fhasa pada hai...

aur

Charon taraf fhela rakha hai Jhoot ka ujiyala...
Sach kahi kone mein daba pada hai...

aur

Sagar mere kadmo ke neeche daba pada hai...
Saahil door khada fhadfhada raha hai...

aur

Kaise kahe zamane walon...
Ishq humein GuNn se hi hai...
Fir kyon yeh Qais ke liye Lailao ka majma laga pada hai...

aur

Woh shaks kisi zamane mein Jungle hua karta tha...
Jo aaj simta pada hai...

aur

Gaur fharmana...
Uski buniyad bahut gehri hai...
Bahut gehri hai...
Jo makaan aaj khandar hua pada hai...

- Romil RaJ

Hum Gandhi wale hai... Magar laathi haath mein rakhte hai... Laathi chalana jante hai...

NaaZ kehti hai...

Hum Shabdon ko pinjare mein qaid karke nahi rakhate hai...
Acche ko aacha kehte hai...
Bure ko bura kehte hai...

Tumhein laakh takleef ho mere Shabdon se... Hoti rahe...
Humein yeh fakr hai ki hum sach bolte hai... Sach likhate hai...

Yeh khayal tumhein hai ki tum kahi ke Surma ho...
Hum Gandhi wale hai... Magar laathi haath mein rakhte hai... Laathi chalana jante hai...

Aur

Fark itna hi hai hum dono mein...
Tum Kanoon ke saath khelate ho... Shadyantra rachate ho... Daav-pech istemal karte ho...
Aur Hum tere Kanoon ko taak pe rakhte hai...
Khuda ke Kanoon ko hi mante hai..

- Romil RaJ

Monday, April 23, 2018

Deep tale andhera pasra hua hai...

Roshani ka Suraj charon taraf fhela hua hai...
Deep tale andhera pasra hua hai...

aur

Dusaron ko rasta dekhane wala Shakhs
Aaj khud andheron mein lipta pada hua hai...

#Romil Arora

Dilchasp Masla...

Bada hi dilchasp masla hai...

Jo shaks mujhpe laga raha hai tohmate tamam...
Muddaton hue us shaks se main mila hi nahi...

aur

Jis shaks ko karta rehta hun main pareshan...
Woh shaks mere baare mein ek bhi shabd kehta hi nahi...

#Romil

बड़ा ही दिलचस्प मसला है... 

जो शख्स मुझ पर लगा रहा है तोहमतें तमाम 
मुद्दतों हुए उस शख्स से मैं मिला ही नहीं... 

और 

जिस शख्स को करता रहता हूं मैं परेशान... 
वो शख्स मेरे बारे में एक भी शब्द कहता ही नहीं...

#रोमिल

Dil mein dard to hota hi hai...

Meri chaukhat ka Deep...
Roshani kisi gair ke aangan mein bikherataa hai...

Dil mein dard to hota hi hai...

Milta hai... Khilkhilata hai...
Tasveerein khichwata hai...
Meri gair-maujudagi ka faida woh khoob uthata hai...

Dil mein dard to hota hi hai...

Mujhse puchata bhi nahi...
Mujhe kuch batata bhi nahi...
Apni marzi se jalta-bhujhta rehta hai...

Dil mein dard to hota hi hai...

Mera apna Deep jo hai...
Dil mein dard to hota hi hai...

#Romil

मेरी चौखट का दीप... 
रोशनी किसी गैर के आंगन में बिखेरता है... 

दिल में दर्द तो होता ही है... 

मिलता है... खिलखिलाती है... 
तस्वीर खिंचवाता है... 
मेरी ग़ैर मौजूदगी का फायदा वो खूब उठाता है... 

दिल में दर्द तो होता ही है... 

मुझसे पूछता भी नहीं... 
मुझे कुछ बताता भी नहीं... 
अपनी मर्जी से जलता-भुजता रहता है... 

दिल में दर्द तो होता ही है... 

मेरा अपना दीप जो है... 
दिल में दर्द तो होता ही है...

#रोमिल

Vyatha... Kirayedaar...

Vyatha...

Humne to apna Dil diya tha saal-do saal Kiraye ke liye...
Doctorni Sahiba to Kabza karke hi baith gai...

Mukadma ladte-ladte 12 saal beet gaye...
Par insaaf na mila...
Na jaane kitni baar sunwai hui...
Taareekhe badli...
Kitne Judge badal gaye...
NaaZ vakeel ne samjhauta bhi karwana chaha...
Par mere Dil se gair-kanooni kabza na hata pai...

Gurudware, Dargah ke chakkar bhi lagaye...
Devi-Devta ko prasad bhi chadaye...
Na jaane kitne Panditon-Maulavilo ko rishwat bhi khilai...
Par kahi bhi sunwai nahi hui...

Kitni baar bola hai Kirayedaar ko khareed hi lo ab is Dil-roopi makaan ko...
Par uspar bhi woh raazi nahi hui...

Ajeeb samasya hai yeh...
Jiska koi Samadhan nahi...

#Romil Arora