Thursday, July 3, 2008

main shayar na hota......

Tumse dil na lagaya hota to main shayar na hota!
Mohabbat main zakhm na khaya hota to main shayar na hota!
Yeh teri nazro ka kasoor to hai sanam,
Kaash yeh nazare-nazaron se na milaya hota to main shayar na hota!

#Romil

तुमसे दिल ना लगाया होता तो मैं शायर ना होता! 
मोहब्बत में जख्म ना खाया होता तो मैं शायर ना होता! 
यह तेरी नजरों का कसूर तो है सनम, 
काश यह नजरे-नजरों से ना मिलाया होता तो मैं शायर ना होता!

#रोमिल

Ek Tasveer Teri Mangi Thi...

Ek Tasveer Teri Mangi Thi...

Ek Tasveer Teri Mangi Thi,
Tune To Zindagi Bhar Ki Judai De Di!

Do Pal Ki Khushi Mangi Thi,
Tune To Gum Ki Barsaat De Di!

Phoolon Ka Shauk Tha Mujhe,
Tune To Kaanton Ki Dali De Di!

Mujhe Sapno Ki Aadat Thi,
Tune To Intezaar Ki Aadat De Di!

Ek Tasveer Teri Mangi Thi,
Tune To Zindagi Bhar Ki Judai De Di!

#Romil

एक तस्वीर तेरी माँगी थी
तूने तो ज़िन्दगी भर की जुदाई दे दी!

दो पल की खुशी माँगी थी
तूने तो ग़म की बरसात दे दी!

फूलों का शौक़ था मुझे
तूने तो काँटों की डाली दे दी!

मुझे सपनों की आदत थी
तूने तो इंतेज़ार की आदत दे दी!

एक तस्वीर तेरी माँगी थी
तूने तो ज़िन्दगी भर की जुदाई दे दी!

#रोमिल

Aa Meri Baahon Mein Aa

Aa Meri Baahon Mein Aa

Aa Meri Baahon Mein Aa,
Tujhko Mohabbat Hum Seekha Denge,
Tere Udas Chehare Par Muskaan Hum Khila Denge,
Suni-Suni Raahon Mein Mohabbat Ke Phool Hum Beecha Denge,
Tere Aansoo Se Ishq Ka TajMahal Hum Bana Denge,
Jo Tanha Hogi Raatein Teri, Teri Raaton Ko Jagmaga Denge,
Apne Hooton Ko Mere Honton Se Laga Sanam, Tujhko Mohabbat Ka Jaam Hum Peela Denge!

#Romil

आ मेरी बाहों में आ

आ मेरी बाहों में आ
तुझको मुहब्बत हम सीखा देंगे
तेरे उदास चेहरे पर मुस्कान हम खिला देंगे
सुनी-सुनी राहों में मुहब्बत के फूल हम बिछा देंगे
तेरे आँसू से इश्क़ का ताजमहल हम बना देंगे
जो तन्हा होगी रातें तेरी, तेरी रातों को जगमगा देंगे
अपने होंठों को मेरे होंठों से लगा
सनम, तुझको मुहब्बत का जाम हम पिला देंगे...

#रोमिल

Tumhari zindagi mein...

Tumhari zindagi mein hamesha khushiya aaye,
Har nazar mein bas tu hi tu nazar aaye,
Khuda kare jiski bhi ho justaju tujhko,
Woh palak jhapakte hi tere pehlu mein aaye !

#Romil

तुम्हारी जिंदगी में हमेशा खुशियां आए, 
हर नजर में बस तू ही तू नजर आए, 
खुदा करे जिसकी भी हो जुस्तजू तुझको,
 वो पलक झपकते ही तेरे पहलू में आए !

#रोमिल

Usko bhulane ki koshish main....

Usko bhulane ki koshish main khud ko bhula hum baithe,
Aaise hue badnaam zamane main ki sabse naazare chura baithe,
Socha tha ki mohabbat ke phool khilenge,
Magar hum apna daaman kaaton main uljha baithe!
[written by romil arora - copyright reserved]

dil se...

Har Apna Paraiya Sa Lagta Hai,
Yeh Judai Ka Mausam Ek Toofan Sa Lagta Hai,
Mujhse Bichad Kar Beh Na Jayo Maire Aansoo,
Ab To Har Khawab Bhi Sapna Sa Lagta Hai!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Wednesday, July 2, 2008

tera intezaar meri aankhon se barasta raha...


Tere pyar ke liye hamesha main tarasta raha,
Baahon mein tujhe lene ke liye hamesha tarafta raha,
Socha tha kabhi waqt aayega tujhe pyar karunga,
Magar pal-pal waqt, rait ki tarah mere haaton se fhisalta raha,
Rab ko shayad mujh par taras aa gaya,
Isliye shayad tera intezaar meri aankhon se barasta raha!
[written by romil arora - copyright reserved]