Thursday, July 3, 2008

Fhir Mohabbat Kiya Nahi Karte......

Beethe Hue Pal Wapas Aaya Nahi Karte,
Sukhe Phool Fhir Se Khila Nahi Karte,
Tooth Jaye Jo Dil Fhir Se Juda Nahi Karte,
Ek Baar Mohabbat Main Jo Khaye Dhoka,
Woh Fhir Mohabbat Kiya Nahi Karte!
[written by romil arora - copyright reserved]

Koi Apna Nazar Nahi Aata....

Har Taraf Samandar Hi Samandar Hai Kahi Kinara Nazar Nahi Aata.

Zindagi Ban Gai Hai Musafir, 
Manzil Ka Nazara Nazar Nahi Aati.

Jise Dekho Wahi Dhoka Deta Hai,
Koi Humsafar Nazar Nahi Aata.

Kise Sunaye Apna Haal-e-Dil, 
Koi Apna Nazar Nahi Aata!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Woh Rishta Hamara Jod Gaya...

Aansoo Ke Saath Woh Rishta Hamara Jod Gaya,
Tanha Humko Chhodkar Tanhaiyon Ke Saath Woh Rishta Hamara Jod Gaya,
Is Kadar Hum Karte Rahe Intezaar Unka Saahil Par,
Toofano Ke Saath Woh Rishta Hamara Jod Gaya !

#Romil

आँसू के साथ और रिश्ता हमारा जोड़ गया 
तन्हा हमको छोड़कर तन्हाइयों के साथ वो रिश्ता हमारा जोड़ गया 
इस कदर हम करते रहे इंतजार उसका साहिल पर 
तूफानों के साथ वो रिश्ता हमारा जोड़ गया...

#रोमिल

Maine Bewafao Se Dil Lagana Seekh Liya!

Sanam Maine Gum Mein Muskurana Seekh Liya,
Har Aansoo Ko Khushi Banana Seekh Liya,
Tanhaiyon Mein Dil Ko Behlana Seekh Liya,
Is Darr Se Koi Yeh Na Samjhe Main Bewafa Ke Haaton Hua Hu Qatl,
Maine Bewafao Se Dil Lagana Seekh Liya!
[written by romil arora - copyright reserved]

Fhir mujhe yeh sab puchate kyon hai.......

Rab mere pass aaya!
mujhe pucha...
bola... tera masoom sa chehra udaas kyon hai?

In jheel si aankhon mein barsaat kyon hai?
Kisi ke intezaar mein yeh dil dhadakata kyon hai?
Itna pyar tujhe usse kyon hai?
Jab woh nahi tera hai fhir yeh tera dil beqarar kyon hai?

Main bola RabJi
Jab aap pyar de nahi sakte
Fhir mujhe yeh sab puchate kyon hai?
[written by romil arora - copyright reserved]

Paigaam aaya hai tera abhi-abhi...

abhi-abhi!!!

Paigam aaya hai tera abhi-abhi,
Phoolon ki khushboo se khila hai badan mera abhi-abhi.

Sochata hoon is chandani raat mein tujhko apni baahon mein bhar lu,
Chand ne bhi ishara kiya hai abhi-abhi.

Bahut din se udaas tha chehra mera,
Choti se muskurahat ne mere chehare par dastak di hai abhi-abhi!

#Romil

अभी-अभी!!!

पैगाम आया है तेरा अभी-अभी, 
फूलों की खुशबू से मिला है बदन मेरा अभी-अभी...
 
सोचता हूँ इस चांदनी रात में 
तुझको अपनी बाहों में भर लूँ 
चांद ने भी इशारा किया है अभी-अभी... 

बहुत दिन से उदास था चेहरा मेरा 
छोटी सी मुस्कुराहट ने मेरे चेहरे पर दस्तक़ दी है अभी-अभी!

#रोमिल

Yeh Kaisa Ehsaas Hai.

Yeh Kaisa Ehsaas Hai, 
Ya Fir Tumne Chhuaa Hai Mujhko!

Yeh Khamoshi Ke Aalam Mein Koi Kuch Bol Raha Hai, 
Ya Fir Tumne Kuch Kaha Hai Mere Kanoo Mein!

Yeh Sardi Ka Mausam, Tadpa Raha Hai Mujhko, 
Ya Fir Tumhari Nazron Ne Kuch Ishara Kiya Hai Mujhko!

Yeh Haath Mere Kyon Sulag Rahe Hai Barsaton Mein, 
Ya Fir Tumne Chuma Hai Inko!

Yeh Kaisa Ehsaas Hai, 
Ya Fir Tumne Chhuaa Hai Mujhko!

#Romil

यह कैसा एहसास है 
या फिर तुमने छुआ है मुझको 

यह खामोशी के आलम में कोई कुछ बोल रहा है 
या फिर तुमने कुछ कहा है मेरे कानों में 

यह सर्दी का मौसम तड़पा रहा है मुझको 
या फिर तुम्हारी नजरों ने कुछ इशारा किया है मुझको 

यह हाथ मेरे क्यों सुलग रहे हैं बरसातों में 
या फिर तुमने चूमा है इनको 

यह कैसा एहसास है 
या फिर तुमने छुआ है मुझको...

#रोमिल