Friday, July 4, 2008

Mujhe khabar na thi......

Mujhe khabar na thi ki mohabbat kya hai,
Magar usne mujhe diwana bana diya...

Mujhe hamesha muskurane ki aadat thi,
Magar uski bewafai ne mujhe rulana seekha diya...

Main hamesha udta rehta tha phoolon ki mehak ke saath,
Magar usne mujhe apne intezaar mein raste ka pathar bana diya...
[written by romil arora - copyright reserved]

woh dildaar nahi milta...

kisi ko mann chahi manzil nahi milti,
kisi ko karwan nahi milta,
duniya mein insaan to mil jaate hai,
magar koi apna nahi milta,
aasman mein taaron ki tarah bikhar jaate hai armaan is dil ke,
dil mein aarzoo ho jiski woh dildaar nahi milta!

#Romil

किसी को मनचाही मंजिल नहीं मिलती 
किसी को कारवां नहीं मिलता 
दुनिया में इंसान तो मिल जाते हैं 
मगर कोई अपना नहीं मिलता 
आसमान में तारों की तरह बिखर जाते हैं अरमान इस दिल के 
दिल में आरजू हो जिसकी वो दिलदार नहीं मिलता...

#रोमिल

yaar ke liye marr jayun.....

Aaina ki aarzoo hai ki pathar ko apne par sajao,
Tukade-tukade hokar uspar bikhar jayun,
Ab chahe main na rahu is jahaan main,
Sirf ek baar apne yaar ke liye marr jayun!
[written by romil arora - copyright reserved]

bina mujhe rulaye yeh reh nahi sakti...

Lehre bina saahil ke reh nahi sakti,
Woh humse juda hokar kabhi reh nahi sakti,
Khamosh palke bina kuch kahe reh nahi sakti,
Teri yaad bhi itni zalim hai sanam bina mujhe rulaye yeh reh nahi sakti!

#Romil

लहरें बिना साहिल के रह नहीं सकती 
वो हमसे जुदा होकर कभी रह नहीं सकती 
खामोश पलके बिना कुछ कहे रह नहीं सकती 
तेरी याद भी इतनी जालिम है सनम बिना मुझे रुलाये यह रह नहीं सकती! 

#रोमिल

muskurane wale kya jaane...

dil todne wale mohabbat kya jaane,
duniya wale pyar ki rasme kya jaane,
dil ko sakun kitna milta hai yaar ki yaad mein rone se,
yeh bewafai mein muskurane wale kya jaane!

#Romil

दिल तोड़ने वाले मुहब्बत क्या जाने
दुनिया वाले प्यार की रस्में क्या जाने
दिल को सुकून कितना मिलता है यार की याद में रोने से
यह बेवफ़ाई में मुस्कुराने वाले क्या जाने!

#रोमिल

khushi se jiyo, sabko khushiyan do...

khushi se jiyo,
sabko khushiyan do!
muskurahat ke raste par chalo,
ghamo ke pathar se kabhi nahi daro!

pyar baaton aur
sabse pyar lo!

khushiyoon se bagh ko mehka do,
pyar se dilon ko chura lo,
jo kabhi bhi aana chahe aansoo tumhari aankhon mein,
aapne dost ko yaad kar lo!
Yani Mujhe...
hahahaha
[written by romil arora - copyright reserved]

Jahaan se jyada tujhko pyar karna chahta hu...

Kuch pal baahon mein lekar tujhko sona chahta hu,
Apni agoshiyon mein tujhko kuch pal ke liye bharna chahta hu,
Saanson ki awazo ko tujhko sunana chahta hu,
Aankhon mein teri tasveer band karna chahta hu,
Jahaan se jyada tujhko pyar karna chahta hu!

#Romil

कुछ पल बाँहों में लेकर तुझको सोना चाहता हूँ, 
अपनी आग़ोशियों में तुझको कुछ पल के लिए भरना चाहता हूं, 
सांसों की आवाजों को तुझको सुनना चाहता हूं, 
आंखों में तेरी तस्वीर बंद करना चाहता हूं, 
जहां से ज्यादा तुझको प्यार करना चाहता हूं!

#रोमिल