Friday, July 4, 2008

Yeh aansoo bhi kitne wafadaar hote hai...

Yeh aansoo bhi kitne wafadaar hote hai,
Jab milne ki dua karo yeh aankhon mein chale aate hai,
Muskurate hue, behkate hue, lehrate hue,
Yeh har gum mein bandhan nibhate hai,
Yeh aansoo bhi kitne wafadaar hote hai!

#Romil

यह आँसू भी कितने वफादार होते है
जब मिलने की दुआ करो यह आँखों में चले आते है
मुस्कुराते हुए, बहकते हुए, लहराते हुए
यह हर ग़म में बंधन निभाते है
यह आँसू भी कितने वफादार होते है...

#रोमिल

hum kya kare...

hum kya kare...

Zindagi se pyar humko bhi bahut hai,
Magar woh humse pyar na kare to hum kya kare?

Gamo ki barsaat humko bhi nahi pasand,
Magar khushiyon ka mausam na mile to hum kya kare?

Ek usko paakar hum bhool gaye the saare jahaan ko,
Magar woh humko hi bhula de to hum kya kare?

#Romil

हम क्या करें... 

जिंदगी से प्यार हमको भी बहुत है 
मगर वो हमसे प्यार ना करें तो हम क्या करें... 

गमों की बरसात हमको भी नहीं पसंद 
मगर खुशियों का मौसम ना मिले तो हम क्या करें... 

एक उसको पाकर हम भूल गए थे सारे जहां को 
मगर वो हमको ही भुला दे तो हम क्या करें...

#रोमिल

Ek din aansoo ki tarah.....

Ek din aansoo ki tarah teri duniya se hum beh jayenge,
Chahe jitna pukaro, hum kabhi wapas nahi aayenge,
Agar aarzoo ho hamare deedar ki sanam,
Apni aankhein band karna, 
tere khawabon - khayalon mein nazar hum aayenge!
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, July 3, 2008

Kaash.....

Kaash Use Paane Ka Khayaal Dil Mein Na Hota,
Kaash Mere Aankhon Par Mohabbat Ka Parda Na Pada Hota,
Kaash Maine Doston Ki Baaton Ko Sun Liya Hota,
Kaash Maine Mohabbat Mein Zindagi Ko Barbaad Na Kiya Hota,
Kaash Aaj Hooton Par Mere Pachtawa Na Hota!
[written by romil arora - copyright reserved]

Fhir Mohabbat Kiya Nahi Karte......

Beethe Hue Pal Wapas Aaya Nahi Karte,
Sukhe Phool Fhir Se Khila Nahi Karte,
Tooth Jaye Jo Dil Fhir Se Juda Nahi Karte,
Ek Baar Mohabbat Main Jo Khaye Dhoka,
Woh Fhir Mohabbat Kiya Nahi Karte!
[written by romil arora - copyright reserved]

Koi Apna Nazar Nahi Aata....

Har Taraf Samandar Hi Samandar Hai Kahi Kinara Nazar Nahi Aata.

Zindagi Ban Gai Hai Musafir, 
Manzil Ka Nazara Nazar Nahi Aati.

Jise Dekho Wahi Dhoka Deta Hai,
Koi Humsafar Nazar Nahi Aata.

Kise Sunaye Apna Haal-e-Dil, 
Koi Apna Nazar Nahi Aata!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Woh Rishta Hamara Jod Gaya...

Aansoo Ke Saath Woh Rishta Hamara Jod Gaya,
Tanha Humko Chhodkar Tanhaiyon Ke Saath Woh Rishta Hamara Jod Gaya,
Is Kadar Hum Karte Rahe Intezaar Unka Saahil Par,
Toofano Ke Saath Woh Rishta Hamara Jod Gaya !

#Romil

आँसू के साथ और रिश्ता हमारा जोड़ गया 
तन्हा हमको छोड़कर तन्हाइयों के साथ वो रिश्ता हमारा जोड़ गया 
इस कदर हम करते रहे इंतजार उसका साहिल पर 
तूफानों के साथ वो रिश्ता हमारा जोड़ गया...

#रोमिल