Friday, July 4, 2008

tere naam....

tere naam....

zindagi main khawish thi ki teri tasveer dekhu,

ab yeh khawish hai ki tujhe kabhi na dekhu!


janta hu ki tera dil pathar hai sanaam,
magar ek baar yeh soch liya hota ki hamara dil pathar hai ya phool hai!

saahil par aakar mera haath chod degi, yeh maloom na tha,
is tarah mera dil toodh degi, yeh maloom na tha,
bhari mehfil main mujhe begana kahegi, yeh maloom na tha,
is tarah mera dil toodh degi, yeh maloom na tha,
masoom dil tu tanhai se pyar kar le, har safar tahna hoga, yeh maloom na tha,
saaya bhi apna saath chod dega, yeh maloom na tha!
[written by romil arora - copyright reserved]

marne ka irada nahi hai...

Sanam teri bewafai mein marne ka irada nahi hai,
Hai pyar zindagi se jyada, magar mehboob ke haaton marne ka irada nahi hai,
Apna dard main aur kisko sunao sanam,
Is jahan mein tere siwa aur koi apna nahi hai!

#Romil

सनम तेरी बेवफाई में मरने का इरादा नहीं है 
हैं प्यार जिंदगी से ज्यादा, मगर महबूब के हाथों मरने का इरादा नहीं है 
अपना दर्द मैं और किसको सुनाऊं सनम 
इस जहां में तेरे सिवा और कोई अपना नहीं है..  

#रोमिल

sanaam tum bhi bewafa hogi.....



Kya pata tha sanaam tum bhi bewafa hogi,

Zamane ki tarah, mujhe tanha karogi,

Mere bebasi par hasogi,

Saath mera chod kar gair ki baahon main rahogi,

Mere aankhon main basane ke baad, aansoo main beh jayogi,

Kya pata tha sanaam tum bhi bewafa hogi!

[written by romil arora - copyright reserved]

Mujhe khabar na thi......

Mujhe khabar na thi ki mohabbat kya hai,
Magar usne mujhe diwana bana diya...

Mujhe hamesha muskurane ki aadat thi,
Magar uski bewafai ne mujhe rulana seekha diya...

Main hamesha udta rehta tha phoolon ki mehak ke saath,
Magar usne mujhe apne intezaar mein raste ka pathar bana diya...
[written by romil arora - copyright reserved]

woh dildaar nahi milta...

kisi ko mann chahi manzil nahi milti,
kisi ko karwan nahi milta,
duniya mein insaan to mil jaate hai,
magar koi apna nahi milta,
aasman mein taaron ki tarah bikhar jaate hai armaan is dil ke,
dil mein aarzoo ho jiski woh dildaar nahi milta!

#Romil

किसी को मनचाही मंजिल नहीं मिलती 
किसी को कारवां नहीं मिलता 
दुनिया में इंसान तो मिल जाते हैं 
मगर कोई अपना नहीं मिलता 
आसमान में तारों की तरह बिखर जाते हैं अरमान इस दिल के 
दिल में आरजू हो जिसकी वो दिलदार नहीं मिलता...

#रोमिल

yaar ke liye marr jayun.....

Aaina ki aarzoo hai ki pathar ko apne par sajao,
Tukade-tukade hokar uspar bikhar jayun,
Ab chahe main na rahu is jahaan main,
Sirf ek baar apne yaar ke liye marr jayun!
[written by romil arora - copyright reserved]

bina mujhe rulaye yeh reh nahi sakti...

Lehre bina saahil ke reh nahi sakti,
Woh humse juda hokar kabhi reh nahi sakti,
Khamosh palke bina kuch kahe reh nahi sakti,
Teri yaad bhi itni zalim hai sanam bina mujhe rulaye yeh reh nahi sakti!

#Romil

लहरें बिना साहिल के रह नहीं सकती 
वो हमसे जुदा होकर कभी रह नहीं सकती 
खामोश पलके बिना कुछ कहे रह नहीं सकती 
तेरी याद भी इतनी जालिम है सनम बिना मुझे रुलाये यह रह नहीं सकती! 

#रोमिल