Saturday, July 5, 2008

hum unse waafa ki umeed karte hai...

Woh hamare naseeb mein nahi, 
fir bhi hum unka intezaar karte hai,
Unki yaadon mein dil ko betab karte hai.

Yeh kaisi chahat hai yaaro,
Woh humse bewafai karte hai, 
fir bhi hum unse wafa ki umeed karte hai!

#Romil

वो हमारे नसीब में नहीं, 
फिर भी हम उनका इंतजार करते हैं,
उनकी यादों में दिल को बेताब करते है.

यह कैसी चाहत है यारों,
वो हमसे बेवफ़ाई करते है,
फिर भी हम उनसे वफ़ा की उम्मीद करते है.

#रोमिल

tanha hi raha...

tanha hi raha...

tanha hi raha, tanha hi raha, uski yaadon mein tanha hi raha!  
main karta raha uska intezar umar bhar, uske intezar mein tanha hi raha, tanha hi raha,
uski yaadon mein tanha hi raha!  
yeh waqt aise hi beetata gaya, zamana waqt ke saath badalta gaya, 
main khule aasman mein uska chehara dekhata gaya, 
tanha hi raha, 
uski yaadon mein tanha hi raha!
[written by romil arora - copyright reserved]

do shabd dil se...

do shabd dil se...
दो शब्द दिल से...

Ishq karne walon ka gum kabhi kam nahi hota,
Rahoon mein milti hai itni thokar ki kabhi koi mukaam haasil nahi hota!

इश्क़ करने वालों का ग़म कभी कम नही होता
राहों में मिलती है इतनी ठोकर
कि कभी कोई मुक़ाम हासिल नहीं होता..

zindagi ko bhoolkar tujhse pyar kiya,
wafa lekar dil mein tera sajda kiya,
tu chhod gayi mujhe tanha,
humne daaman mein bharkar aansoo tera intezaar kiya!

ज़िन्दगी को भूलकर तुझसे प्यार किया
वफ़ा लेकर दिल में तेरा सजदा किया
तू छोड़ गई मुझे तन्हा
हमने दामन में भरकर आँसू तेरा इंतेज़ार किया!

#Romil
#रोमिल

vaada nibhane ki baatein karti hai.....

Karke bewafai woh waafa ki baatein karti hai,
Chod kar saath, woh saath nibhane ki baatein karti hai,
Dil kehta hai, yaaron unki baaton par yakeen mat karna,
Jo vaada todh kar, vaada nibhane ki baatein karti hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, July 4, 2008

tere naam....

tere naam....

zindagi main khawish thi ki teri tasveer dekhu,

ab yeh khawish hai ki tujhe kabhi na dekhu!


janta hu ki tera dil pathar hai sanaam,
magar ek baar yeh soch liya hota ki hamara dil pathar hai ya phool hai!

saahil par aakar mera haath chod degi, yeh maloom na tha,
is tarah mera dil toodh degi, yeh maloom na tha,
bhari mehfil main mujhe begana kahegi, yeh maloom na tha,
is tarah mera dil toodh degi, yeh maloom na tha,
masoom dil tu tanhai se pyar kar le, har safar tahna hoga, yeh maloom na tha,
saaya bhi apna saath chod dega, yeh maloom na tha!
[written by romil arora - copyright reserved]

marne ka irada nahi hai...

Sanam teri bewafai mein marne ka irada nahi hai,
Hai pyar zindagi se jyada, magar mehboob ke haaton marne ka irada nahi hai,
Apna dard main aur kisko sunao sanam,
Is jahan mein tere siwa aur koi apna nahi hai!

#Romil

सनम तेरी बेवफाई में मरने का इरादा नहीं है 
हैं प्यार जिंदगी से ज्यादा, मगर महबूब के हाथों मरने का इरादा नहीं है 
अपना दर्द मैं और किसको सुनाऊं सनम 
इस जहां में तेरे सिवा और कोई अपना नहीं है..  

#रोमिल

sanaam tum bhi bewafa hogi.....



Kya pata tha sanaam tum bhi bewafa hogi,

Zamane ki tarah, mujhe tanha karogi,

Mere bebasi par hasogi,

Saath mera chod kar gair ki baahon main rahogi,

Mere aankhon main basane ke baad, aansoo main beh jayogi,

Kya pata tha sanaam tum bhi bewafa hogi!

[written by romil arora - copyright reserved]