Monday, July 7, 2008

Aur main kehta hu ki...

Aasman ke taare aksar puchate hai,
tu abhi tak soya nahi,
Aur main kehta hu ki
abhi mujhe use apni goad mein sula kar use pyar karna hai!

Phool aksar puchate hai,
tu aaj muskuraya nahi,
Aur main kehta hu ki
mere honton ko uske honton ko chumana hai!


Hawaiian aksar puchati hai,
tu aaj fir intezar kar raha hai,
Aur main kehta hu ki
mujhe yakeen hi nahi ki woh chala gaya hai !

#Romil

आसमान के तारे अक्सर पूछते हैं 
तू अभी तक सोया नहीं 
और मैं कहता हूं कि 
अभी मुझे उसे अपनी गोद में सुलाकर उसे प्यार करना है !

फूल अक्सर पूछते हैं 
तू आज मुस्कुराया नहीं 
और मैं कहता हूं कि 
मेरे होंठों को उसके होंठों को चूमना है ! 

हवाएं अक्सर पूछती है 
तू आज फिर इंतजार कर रहा है 
और मैं कहता हूं कि 
मुझे यकीन ही नही कि वो चला गया है !

#रोमिल

jo ishq kar gaya.....

Koi ishq ke gum mein marr gaya,

koi ishq ki khushi mein marr gaya,

yeh ishq bhi kaisi beemari hai yaaron,

jo ishq kar gaya, samjho woh marr gaya!

[written by romil arora - copyright reserved]

ek dua hamari kabool kar le

rab, ek dua hamari kabool kar le...
teri taqdeer woh humse likhwa le.
hum, teri taqdeer mein 
duniya-e-jahaan ki khushiyan likh denge,
jo tujhe Qamyab banaye, woh lakeer tere naseeb mein bana denge!

#Romil

रब, एक दुआ हमारी क़बूल कर ले...
तेरी तक़दीर वो हमसे लिखवा ले,
हम, तेरी तक़दीर में दुनिया-ए-जहाँ की खुशियां लिख देंगे,
जो तुझे कामयाब बनाये, वो लक़ीर तेरे नसीब में बना देंगे...

#रोमिल

bas itna hi kaafi hai......

Teri yaadein, teri baatein,
Zindagi bhar yeh aasra hi kaafi hai,
Jab bhi milna to bas muskura dena,
Mere jeene ke liye bas itna hi kaafi hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

hum chhup-chhup ke rote rahe....

Haal-e-dil hum unse kehte rahe,
Unke har sitam hum khamoshi se sehte rahe,
Ab to sirf hum aur tanhai hai,
Unko yaad kar-karke hum chhup-chhup ke rote rahe!
[written by romil arora - copyright reserved]

kisi aur ke ho na sake hum.....

Unki yaadon mein jaage is tarah ki raat bhar so na sake hum,
Unki taraf mein roye is tarah ki aaj tak khulke muskura na sake hum,
Jab se hue hai unke, tab se kisi aur ke ho na sake hum!
[written by romil arora - copyright reserved]

hazaar milenge tumko.....

Mohabbat ko kharidane wale hazaar milenge tumko,
Pyar ki baatein karne wale hazaar milenge tumko,
Na milega to bas tumko hamara saath,
Saath chalne wale hazaar milenge tumko!
[written by romil arora - copyright reserved]