Tuesday, July 8, 2008

Ragni ho tum!

Khoobsurat ho tum,
natkhat ho tum,
Radha ki maliqikat ho tum,
Ragni ho tum!

Subah ka savera ho tum,
raat ki chandani ho tum,
ghar ki roshani ho tum,
sabki chahiti ho tum,
Ragni ho tum!

Hawaon mein hu tum,
fizao mein ho tum,
muskurahat ho tum,
phoolon ki khushboo mein tum,
mehekti ghatao mein ho tum,
Ragni ho tum!

Yahan ho tum,
wahan ho tum,
jahan tak yeh nazar jaye, waha tak ho tum,
Sirf Tum!
Ragni ho tum!

#Romil

taire baatein yaad kar karke.....


kabhi roye,
kabhi muskuraye,
tere baatein yaad kar karke!
kabhi geet gungunaye,
kabhi saawan main naahaye,
tere baatein yaad kar karke!

kabhi khawabo main kho gaye,
kabhi khud se baatein kiye,
tere baatein yaad kar karke!

kabhi sapno main tujhe baahon main liye,
kabhi aaina main tera saaya samaj kar tujhko chuye,
taire baatein yaad kar karke!
kabhi tere saaya ke saath ghumaye,
kabhi raasthey par akele jhumaye,
tere baatein yaad kar karke!
[written by romil arora - copyright reserved]

koi rang apna nahi...

hum rona to bahut chahte hai,
m
agar koi seene se lagane wala nahi.

hum sona to chahte hai,magar koi apni goad mein sulane wala nahi.

hum mohabbat se jeena chahte hai,
magar koi mohabbat karne wala nahi.

Sab rang hai is duniya mein,
magar koi rang apna nahi!

#Romil

हम रोना तो बहुत चाहते हैं, 
मगर कोई सीने से लगाने वाला नहीं. 

हम सोना तो चाहते हैं, मगर कोई अपनी गोद में सुलाने वाला नहीं. 

हम मोहब्बत से जीना चाहते हैं, 
मगर कोई मोहब्बत करने वाला नहीं. 

सब रंग है दुनिया में, 
मगर कोई रंग अपना नहीं! 

#रोमिल

Monday, July 7, 2008

Agar tum samne hote....

Agar tum samne hote,
apne haaton se tumko sajate,
tere khoobsurat chehare ki nazar utarte,
palkon par tere moti bichate,
haaton mein teri mehandi lagate,
teri uljhi hui zulfon ko suljhate,
Agar tum samne hote!
अगर तुम सामने होते 
अपने हाथों से तुमको सजाते 
तेरे खूबसूरत चेहरे की नजर उतारते 
पलकों पर तेरे मोती बिछाते 
हाथों में तेरी मेहंदी लगाते 
तेरी उलझी हुई जुल्फों को सुलझाते 
अगर तुम सामने होते !

Agar tum samne hote,
apne honton se tumko lagate,
teri baahon mein saari raat bitate,
kuch pal teri goad mein bhi so jaate,
chand ko tera chehara batate,
teri aankhon mein kho jaate,
khamoshi mein gungunate,
tujh par shayari karte,
us pal mein sab dukh-dard bhool jaate,
Agar tum samne hote!
अगर तुम सामने होते 
अपने होठों से तुमको लगाते 
तेरी बाहों में सारी रात बिताते 
कुछ पल तेरी गोद में भी सो जाते 
चांद को तेरा चेहरा बताते 
तेरी आंखों में खो जाते 
खामोशी में गुनगुनाते 
तुझ पर शायरी करते 
उस पल में सब दुख-दर्द भूल जाते 
अगर तुम सामने होते!

shayad teri madhoshi mein hum kho jaate,
Agar tum samne hote...
शायद तेरी मदहोशी में हम खो जाते 
अगर तुम सामने होते...

#Romil
#रोमिल

Humse Kehte Hai...

De kar gum woh muskurane ko kehte hai.
Chhod kar hamara saath woh kisi aur se saath nibhane ko kehte hai.
Jala kar hamare armaan, woh dil lagane ko kehte hai.

Dil kehta hai kaise na maanu unka kehna...
Aakhir Woh Apna Samaj Kar
Kuch Humse Kehte Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

wahi to pyar ki kahani likh jaate hai....

Mohabbat ki rahoon main aaise bhi modh aate hai,
khushi ke saath-saath, gum bhi aate hai,
pathar ke saath-saath, heere bhi aate hai,
saawan ke saath-saath, pathjhadh bhi aate hai,
saagar ke lehron ke saath-saath, toofan bhi aate hai,
jo isme nahi chodate mehboob ka saath,
wahi to pyar ki kahani likh jaate hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

sahare aa jate hai hum...

Zindagi mein aapke shamil na ho sake sanam,
Isliye khayalon ke sahare aa jaate hai hum...

Muskurahaton mein aapke shamil na ho sake sanam.
Isliye aankhon mein aansoo ke sahare aa jaate hai hum...

Kitna bhi juda ho jaye hum tumse sanam,
Fhir bhi parchaiyon ke sahare aa jate hai hum...

#Romil

जिंदगी में आपके शामिल ना हो सके हैं सनम 
इसलिए ख्यालों के सहारे आ जाते हैं हम... 

मुस्कुराहटों में आपके शामिल ना हो सके सनम 
इसलिए आंखों में आंसू के सहारे आ जाते हैं हम... 

कितना भी जुदा हो जाए हम तुमसे सनम 
फिर भी परछाइयां के सहारे आ जाते हैं हम...

#रोमिल