Tuesday, July 8, 2008

har manzil par jeet teri ho....

rab kare teri har fariyad poori ho.
sapno mein jo aata ho,
us rajkumar se mulaqat teri ho.

khushiyoo ke jhule par tu jawaan ho,
phoolon ki doli par tu sawaar ho,
tere pyar ka sapna haqiqat ho,
rab kare har manzil par jeet teri ho!
[written by romil arora - copyright reserved]

apne jaisa naik insaan bana dena...

tum hamesha muskurahat ki shaan ho,
apni kya gairon ki khushi par bhi qurban ho,
rab sa dil paya hai tumne,
hamare gusse par bhi pyar dekhaya hai tumne,
kabhi yeh ada humko bhi seekha dena,
sanaam humko bhi apne jaisa naik insaan bana dena!

#Romil

तुम हमेशा मुस्कुराहट की शान हो 
अपनी क्या गैरों की खुशी पर भी कुर्बान हो 
रब सा दिल पाया है तुमने 
हमारे गुस्से पर भी प्यार दिखाया है तुमने 
कभी यह अदा हमको भी सिखा देना 
सनम हमको भी अपने जैसा नेक इंसान बना देना...

#रोमिल

yeh pyar nahi mitega...


Chahe hamare hoonton par shayari na rahe,
Chahe hamare haanton main kalam na rahe,
Chahe koiye khushi kabhi hamare saath na ho,
Chahe rabb mujhpar koiye bhi sitam kar le,
Chahe gum hamesha pass rahe,
Chahe yeh duniya mujhse rishta toodh le,
Magar is mann se tumhara naam kabhi nahi mitega,
yeh ehsaas nahi mitega,
yeh pyar nahi mitega!
[written by romil arora - copyright reserved]

Ragni ho tum!

Khoobsurat ho tum,
natkhat ho tum,
Radha ki maliqikat ho tum,
Ragni ho tum!

Subah ka savera ho tum,
raat ki chandani ho tum,
ghar ki roshani ho tum,
sabki chahiti ho tum,
Ragni ho tum!

Hawaon mein hu tum,
fizao mein ho tum,
muskurahat ho tum,
phoolon ki khushboo mein tum,
mehekti ghatao mein ho tum,
Ragni ho tum!

Yahan ho tum,
wahan ho tum,
jahan tak yeh nazar jaye, waha tak ho tum,
Sirf Tum!
Ragni ho tum!

#Romil

taire baatein yaad kar karke.....


kabhi roye,
kabhi muskuraye,
tere baatein yaad kar karke!
kabhi geet gungunaye,
kabhi saawan main naahaye,
tere baatein yaad kar karke!

kabhi khawabo main kho gaye,
kabhi khud se baatein kiye,
tere baatein yaad kar karke!

kabhi sapno main tujhe baahon main liye,
kabhi aaina main tera saaya samaj kar tujhko chuye,
taire baatein yaad kar karke!
kabhi tere saaya ke saath ghumaye,
kabhi raasthey par akele jhumaye,
tere baatein yaad kar karke!
[written by romil arora - copyright reserved]

koi rang apna nahi...

hum rona to bahut chahte hai,
m
agar koi seene se lagane wala nahi.

hum sona to chahte hai,magar koi apni goad mein sulane wala nahi.

hum mohabbat se jeena chahte hai,
magar koi mohabbat karne wala nahi.

Sab rang hai is duniya mein,
magar koi rang apna nahi!

#Romil

हम रोना तो बहुत चाहते हैं, 
मगर कोई सीने से लगाने वाला नहीं. 

हम सोना तो चाहते हैं, मगर कोई अपनी गोद में सुलाने वाला नहीं. 

हम मोहब्बत से जीना चाहते हैं, 
मगर कोई मोहब्बत करने वाला नहीं. 

सब रंग है दुनिया में, 
मगर कोई रंग अपना नहीं! 

#रोमिल

Monday, July 7, 2008

Agar tum samne hote....

Agar tum samne hote,
apne haaton se tumko sajate,
tere khoobsurat chehare ki nazar utarte,
palkon par tere moti bichate,
haaton mein teri mehandi lagate,
teri uljhi hui zulfon ko suljhate,
Agar tum samne hote!
अगर तुम सामने होते 
अपने हाथों से तुमको सजाते 
तेरे खूबसूरत चेहरे की नजर उतारते 
पलकों पर तेरे मोती बिछाते 
हाथों में तेरी मेहंदी लगाते 
तेरी उलझी हुई जुल्फों को सुलझाते 
अगर तुम सामने होते !

Agar tum samne hote,
apne honton se tumko lagate,
teri baahon mein saari raat bitate,
kuch pal teri goad mein bhi so jaate,
chand ko tera chehara batate,
teri aankhon mein kho jaate,
khamoshi mein gungunate,
tujh par shayari karte,
us pal mein sab dukh-dard bhool jaate,
Agar tum samne hote!
अगर तुम सामने होते 
अपने होठों से तुमको लगाते 
तेरी बाहों में सारी रात बिताते 
कुछ पल तेरी गोद में भी सो जाते 
चांद को तेरा चेहरा बताते 
तेरी आंखों में खो जाते 
खामोशी में गुनगुनाते 
तुझ पर शायरी करते 
उस पल में सब दुख-दर्द भूल जाते 
अगर तुम सामने होते!

shayad teri madhoshi mein hum kho jaate,
Agar tum samne hote...
शायद तेरी मदहोशी में हम खो जाते 
अगर तुम सामने होते...

#Romil
#रोमिल