Friday, July 11, 2008

aa jaate hai woh samne.....

Aa jaate hai woh samne fir dil dukhane ko,
Tahna hone ka ehsaas delane ko,
Reh jaate hai yaadein sirf aansoo bahane ko,
Yaad karte hai, jab hum apne guzare zamane ko!

#Romil

आ जाते हैं वो सामने फिर दिल दुखाने को, 
तन्हा होने का एहसास दिलाने को, 
रह जाती है यादें सिर्फ आंसू बहाने को, 
याद करते हैं, जब हम अपने गुजरे जमाने को... 

#रोमिल

Aaja baahon main mehboob....

Aaja baahon main mehboob tujhe pyar main kar jayun,
Zindagi bhar ki pyas aaj bhar jayun,
De apne hoonton ko maire hoonton main,
Pyar ki pyas aa main bhujha jayun!

Yeh jal rahe hai jo jism,
Aa isse main sheetal kar jayun,
Aaja baahon main mehboob tujhe pyar main kar jayun!


Naazare jo pyasi hai,
Isme aaj tera jism basa jayun,
Aaja baahon main mehboob tujhe pyar main kar jayun!

Tujhme main aur
mujhme tu shaama jayen,
Saare janamo ka pyar aaj tujhe main kar jayun,
Aaja baahon main mehboob tujhe pyar main kar jayun!
[written by romil arora - copyright reserved]

jeena seekh liya...

Ehsaas mein jeena humne seekh liya,
Dilo mein pyas bhar kar jeena humne seekh liya,
Tadapati hai yaad tumhari,
Humne sapno mein jeena seekh liya!

#Romil

एहसास में जीना हमने सीख लिया
दिलों में प्यास भरकर जीना हमने सीख लिया
तड़पती है याद तुम्हारी
हमने सपनों में जीना सीख लिया!

#रोमिल

khushi ke naam se janna chahta hu....

Saada khush rahe,
bas yahi chahta hu,
tere rahoon main khushiyoon ke phool chahta hu,

tere armaan sab poore ho jaye,
bas yahi sapna apna pura hota dekhana chahta hu,

gair ki baahon main chahe tu rahe,
main to sirf taire hoonton par muskaan chahta hu,

tere aankhon main jo aansoo aaye,
woh bhi khushi ke aaye,
main tujhe khushi ke naam se janna chahta hu!
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, July 9, 2008

dukh mein jeena sikhaya humko...

Humko muskurane ki aadat thi,
Sukriya, kisi ne to rona sikhaya humko!

Humko wafaon mein jeene ki aadat thi,
Sukriya, kisi ne to bewafai sikhai humko!

Humko doston ke saath jeene ki aadat thi,
Sukriya, kisi ne to tanhai mein jeena kya hota hai yeh sikhaya humko!

Humko to khushiyon ke bageecha mein jeene ki aadat thi,
Sukriya, kisi ne to dukh mein jeena sikhaya humko !

#Romil

हमको मुस्कुराने की आदत थी 
शुक्रिया, किसी ने तो रोना सिखाया हमको ! 

हमको वफाओं में जीने की आदत थी 
शुक्रिया, किसी ने तो बेवफाई सिखाई हमको ! 

हमको दोस्तों के साथ जीने की आदत थी 
शुक्रिया, किसी ने तो तन्हाई में जीना क्या होता है यह सिखाया हमको ! 

हमको तो खुशियों के बगीचे में जीने की आदत थी 
शुक्रिया, किसी ने तो दुःख में जीना सिखाया हमको !

#रोमिल

Hum thode pagal hai!

Jisne hamara dil dukhaya,
Usse dil lagate hai,
Hum thode paagal hai!

जिसने हमारा दिल दुखाया, 
उससे दिल लगाते हैं, 
हम थोड़े पागल हैं!

Zakhm diye jisne humko,
Hum usko hi dard apna sunate hai,
Hum thode pagal hai!

जख्म दिया जिसने हमको, 
हम उसको ही दर्द अपना सुनते हैं, 
हम थोड़े पागल हैं!

Dagaa kiya jisne humse,
Hum usse wafa nibhate hai,
Hum thode pagal hai!

दगा किया जिसने हमसे, 
हम उससे वफा निभाते हैं,
हम थोड़े पागल हैं!

Chhod diya jisne hamara saath,
Hum usko paane ki khwahish karte hai,
Hum thode pagal hai!

छोड़ दिया जिसने हमारा साथ, 
हम उसको पाने की ख्वाहिश करते हैं,
हम थोड़े पागल हैं!

Chandani raat mein sunsaan hai ghar hamara,
Hum raat bhar unka intezaar kiye jate hai,
Hum thode pagal hai!

चांदनी रात में सुनसान है घर हमारा, 
हम रात भर उनका इंतजार किए जाते हैं,
हम थोड़े पागल हैं!

#Romil
#रोमिल

Ishq ko mat samjho...

Ishq ko mat samjho ki yeh mazak hai,
Pyar mein tadapna behisaab hai,
Yeh to woh junoon hai,
Jiska na koi hisaab hai!

#Romil

इश्क़ को ना समझो की यह मज़ाक है
प्यार में तड़पना बेहिसाब है
यह तो वो जुनून है
जिसका ना कोई हिसाब है!

#रोमिल