Monday, July 14, 2008

meri qismat yaad aai...

Aaj fir teri yaad aai,
Fir teri bewafai yaad aai.

Kis tarah toota tha gharonda mera,
Fir mujhe teri majboori yaad aai.

Aaj mehandi se rangeen haath jo maine dekhe,
Fir mujhe teri mehandi yaad aai,

Toota tha phool baharon mein kis tarah,
Fir mujhe meri qismat yaad aai!


#Romil

आज फिर तेरी याद आई 
फिर तेरी बेवफाई याद आई. 

किस तरह टूटा था घरौंदा मेरा 
फिर मुझे तेरी मजबूरी याद आई. 

आज मेहंदी से रंगीन हाथ जो मैंने देखें 
फिर मुझे तेरी मेहंदी याद आई. 

टूटा था फूल बहारों में किस तरह 
फिर मुझे मेरी किस्मत याद आई!

#रोमिल

Matlab Puchata Hai....

Jo Mere Khawabo Se Duniya Bana Leta Tha,
Aaj Woh Mujhse Meri Baaton Ka Matlab Puchata Hai,

Jo Nazaro Se Meri Baat Samaj Leta Tha,
Aaj Woh Mujhse Mere Isharo Ka Matlab Puchata Hai,

Jo Ajnabi Bankar Mujhse Roz Milta Tha,
Aaj Woh Mujhse Mulaqat Ka Matlab Puchata Hai!


#Romil

जो मेरे ख़्वाबों से दुनिया बना लेता था... 
आज वो मुझसे मेरी बातों का मतलब पूछता है... 

जो नज़रों से मेरी बात समझ लेता था... 
आज वो मुझसे मेरे इशारों का मतलब पूछता है...
 
जो अज़नबी बनकर मुझसे रोज़ मिलता था... 
आज वह मुझसे मुलाकात का मतलब पूछता है.... 

#रोमिल

Waqt jaise-jaise beetata hai.....

Waqt jaise-jaise beetata hai,
tumhari yaad badti jaati hai,

Itna mayush ho jaata hu main gum-e-dil se,
ki aankh meri aansoo se bhar jaati hai,

Dusre se wafa teri dekhkar,
mujhe tere ruswai yaad aati hai,

Jo sun lete the dil ki dhadkan kabhi,
Aaj tumhe meri dard-e-awaz bhi nahi sunai deti hai!

#Romil

वक़्त जैसे-जैसे बीतता है
तुम्हारी याद बढ़ती जाती है...

इतना मायूश हो जाता हूँ मैं ग़म-ए-दिल से
की आँख मेरी आँसू से भर जाती है...

दूसरे से वफ़ा तेरी देखकर
मुझे तेरी रुसवाई याद आती है...

जो सुन लेते थे दिल की धड़कन कभी
आज तुम्हें मेरी दर्द-ए-आवाज़ भी नहीं सुनाई देती है!

#रोमिल

Bahaar se ik phool tod kar dekha diya maine...

Kitab-e-mohabbat ko jala diya maine, 
Na apno se na begano se koi gila kiya maine,
Jab pucha kisi ne gum-e-dil ki halat,
Bahaar se ek phool tod kar dekha diya maine!

#Romil

किताब-ए-मोहब्बत को जला दिया मैंने 
ना अपनों से ना बेगानों से कोई गिला किया मैंने 
जब पूछा किसी ने ग़म-ए-दिल की हालत 
बहार से फूल तोड़कर दिखा दिया मैंने!

#रोमिल

Paani Pila Do Mujhko.....

Fir Kahi Durr Se Aawaz Do Mujhko,
Zakhmo Se Fir Ubhar Do Mujhko,
Tum To Naadi Ho Mohabbat Ki,
Tumhe Mohabbat Ki Kya Jarurat,
Main Pyasa Musafir Hu,
Thoda Sa Pani Peela Do Mujhko!

#Romil

फिर कहीं दूर से आवाज दो मुझको
जख्मों से फिर उभार दो मुझको 
तुम तो नदी हो मोहब्बत की 
तुम्हें मोहब्बत की क्या जरूरत 
मैं प्यासा मुसाफिर हूं 
थोड़ा सा पानी पिला दो मुझको!

#रोमिल

Kaise-Kaise Sitam Sehane Padate Hai.....

Ek Sirf Humko Pagal Keh De,
Koiye Baada Ilzaam Nahi,
Duniya Wale To Mohabbat Karne Walon Ko Bahut Kuch Kehti Hai,

Kuch Rote Hai Chupke-Chupke,
Kuch Dil Hi Dil Main Aansoo Bahaya Karte Hai,
Kuch Tarafate Hai Raaton Main Jag-Jag Kar,
Kuch Awara Ban Kar Ghuma Karte Hai,
Mohabbat Karne Waloon Ko To Na Jaane Kaise-Kaise Sitam Sehane Padate Hai!

Duniya Wale To Mohabbat Karne Walon Ko Bahut Kuch Kehti Hai!
Mohabbat Karne Waloon Ko To Na Jaane Kaise-Kaise Sitam Sehane Padate Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Chehare Se Muskurate Bhi Gaye...

Hum Jal Kar Dusaro Ko Roshni Dete Rahe,
Hum Ro Kar Dusaro Ko Khushi Dete Rahe,
Kisi Ne Hamare Dil Mein Jhak Kar Nahi Dekha,
Hum Dil Mein Rote Bhi Gaye, Aur Chehare Se Muskurate Bhi Gaye!

#Romil

हम जलकर दूसरों को रोशनी देते रहे 
हम रोकर दूसरों को खुशी देते रहे 
किसी ने हमारे दिल में झांक कर नहीं देखा 
हम दिल में रोते भी गए और चेहरे से मुस्कुराते भी गए! 

#रोमिल