Thursday, July 17, 2008

fhir chale jaana.....

Bewafai ka matlab samjha dena fhir chale jaana,
Mera dil kyon tumne tooda, samjha dena fhir chale jaana!

Itna waqt jo maine teri yaadon main beetaya hai,
Un yaadon ka kya karu, yeh samjha dena fhir chale jaana!

Meri aankhon main jo baasi hai tasveer tumhari,
Kaise mita du, yeh samjha dena fhir chale jaana!
[written by romil arora - copyright reserved]

diye main bhuja dunga......

tera khayal dil se mita dunga,
bewafa main tujhko bhula dunga,
aansoo ab nahi karunga main apne jaaya,
har teri yaad ke diye main bhuja dunga!
[written by romil arora - copyright reserved]

Aansoo aur Yaadein....



Bachpan Ke Aansoo Bhi Kitne Aache Hote The,
Jab Hum Jee Bhar Kar Ro Liya Karte The,
Jawani Ke Aansoo To Dil Ko Dhukha Dete Hai!


Tumhare Yaadein Humko Bheed Main Tanhai Ka Ehsaas Karati Hai,
Jab Hum Tanha Hote Hai, Bahut Muskurate Hai,
Tumhare Bewafai Humko Muskurahat Ka Ehsaas Karate Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, July 16, 2008

Na Main Badla...

Suraj Na Badla,
Chand Na Badla,
Na Yeh Fizaiye, Na Yeh Hawaiye Badli,
Na Romil Badla!
*
Na Roshni Badli,
Na Chandani Badli,
Na Rab Ke Bande Ke Liye Bandagi Badli,
Na Romil Badla!
*
Na Bacche Ke Hooton Par Muskaan Badli,
Na Panchiyon Ki Aawaz Badli,
Na Phoolon Mein Khushboo Badli,
Na Romil Badla!
Na Main Badla!

#Romil

सूरज  ना बदला
चाँद ना बदला
ना यह फिजाएं, ना यह हवाएं बदली,
ना रोमिल बदला...

ना रोशनी बदली
ना चाँदनी बदली
ना रब के बंदे के लिए बंदगी बदली
ना रोमिल बदला...

ना बच्चे के होंठों पर मुस्कान बदली
ना पंछियों की आवाज़ बदली
ना फूलों में खुशबू बदली
ना रोमिल बदला
ना मैं बदला!

#रोमिल

Tuesday, July 15, 2008

!!muddat hui hai use dekhe hue!!


!!muddat hui hai use dekhe hue!!

"muddat hui hai use dekhe hue,
uske chand se chehare ko chuye hue,
pyar bhari baatein kiye hue,
uski goad mein soye hue"

!!muddat hui hai use dekhe hue!!

"kuch pal sukun mein bitaye hue,
honton se honton ko lagaye hue,
uski palkon mein zindagi bitaye hue,
shamo ko rangeen banaye hue"

!!muddat hui hai use dekhe hue!!
[written by romil arora - copyright reserved]

zindagi aapke bina aadhuri hai.....

aapki muskan hamari kamzori hai,
aapki khushi par marr jana hamare liye jaruri hai,
aap kyon nahi itna samajhate sanam,
hamari zindagi aapke bina adhuri hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

apna daman thama nahi...

Ae dil chal kahi aur chale,
is bahar-e-jahan mein apna thikana nahi,
phool to apne pehle they hi nahi,
ab kaanton ne bhi apna daman thama nahi!

#Romil

ए दिल चल कहीं और चले 
इस बहार-ए-जहां में अपना ठिकाना नहीं 
फूल तो अपने पहले थे ही नही 
अब कांटों ने भी अपना दामन थामा नही!

#रोमिल