Saturday, July 19, 2008

dosti ki kahani likhi hogi.....


Naaz, tum ho na ho is jahaan main,
Magar hamare mann main hamesha aapki yaadein rahenge,
Jab bhi dekhenge hum aasman ki taraf,
Hamari dosti ki kahani likhi hogi!
[written by romil arora - copyright reserved]

hamesha zinda rakhenge....

Har farz dosti ka ada hum karenge,
Teri yaadon ka gharonda hamesha apne dil main sanjo kar rakhenge,
Tujhse milane ki dua hum din-raat karenge,
Jab tak salamat hai hum rabb ki kasam,
Naaz apni dosti ko hamesha zinda rakhenge!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, July 18, 2008

zindagi hua karta tha...

Use rab ne chura liya mujhse,
Jo meri zindagi hua karta tha,

Woh ek shakh tha, jiske baad yeh duniya jhooti hai,
Mere dil ko poora yakeen tha, woh dosti ka farishta tha,


Use shaukh tha, mujhe khush dekhne ka,
Jo kabhi apne dukh se dukhi hota nahi tha,


Jo sari duniya se dor rehta tha,
Meri aankhon mein jo pal bhar mein simat jata tha,


Use rab ne chura liya mujhse,
Jo meri zindagi hua karta tha.

#Romil

उसे रब ने चुरा लिया मुझसे 
जो मेरी जिंदगी हुआ करता था... 

वो एक शख्स था, जिसके बाद यह दुनिया झूठी है 
मेरे दिल को पूरा यकीन था वो दोस्ती का फरिश्ता था... 

उसे शौक था, मुझे खुश देखने का 
जो कभी अपने दुख से दुखी होता था... 

जो सारी दुनिया से दूर रहता था 
मेरी आंखों में जो पल भर में सिमट जाता था... 

उसे रब ने चुरा लिया मुझसे 
जो मेरी जिंदगी हुआ करता था...

#रोमिल

Rab ke Fariste jaisi...

Mitr hai meri baharon jaisi,
Aasman mein chand jaise,
Phool mein gulab jaise,
Seep mein moti jaise,
Barsaat ki Boond jaise,
Bahut dost nahi hai mere,
Sirf Mitr, hai Rab ke Fariste jaisi!

#Romil

मित्र है मेरी बहारों जैसी,
आसमान में चाँद जैसे,
फूल में गुलाब जैसे,
सीप में मोती जैसे,
बरसात की बूँद जैसे,
कोई दोस्त नहीं है मेरे रोमिल,
सिर्फ मित्र है रब के फ़रिश्ते जैसी!

#रोमिल

Thursday, July 17, 2008

nafrat hi nafrat

Tumko ek haqiqat hum bata dete hai
Hum sirf tumse nafrat hi nafrat chahte hai!

Pehle jo tumhare ek aansoo par duniya se shikayat karte the,
Aaj sirf tumko rota hua dekhana chahte hai!

Kitne be-reham the tum, hamari har khushi cheen li,
Hum to tumse ab har saans bhi cheen lena chahte hai!

Chahane se bhala kya hota hai,
Dil fir bhi tumhare liye dua karta hai,
Tumko hamesha khushi mile,
Jabki tumne humse hamari zindagi cheen li!

#Romil

तुमको एक हकीकत हम बता देते हैं 
हम सिर्फ तुमसे नफरत ही नफरत चाहते हैं...

पहले जो तुम्हारे एक आंसू पर दुनिया से शिकायत करते थे 
आज सिर्फ तुमको रोता हुआ देखना चाहते हैं... 

कितने बेरहम थे तुम, हमारी हर खुशी छीन ली 
हम तो तुमसे हर सांस भी छीन लेना चाहते है... 

चाहने से भला क्या होता है 
दिल फिर भी तुम्हारे लिए दुआ करता है 
तुमको हमेशा खुशी मिले 
जबकि तुमने हमसे हमारी जिंदगी छीन ली...

#रोमिल

Kaash...

Kaash woh khawab hota main usko bhool jaata,
Kaash woh toofan hota main zakhm kha kar sambhal jaata,
Kaash woh jaam hota main usko pee jaata,
Kaash woh khwaish hoti main usko pa jaata,
Magar woh to zindagi thi...
Isliye main usko jee nahi saka...

#Romil

काश वो ख्वाब होता मैं उसको भूल जाता... 
काश वो तूफान होता मैं जख्म खाकर संभल जाता... 
काश वो जाम होता मैं उसको पी जाता...
काश वो ख्वाहिश होती मैं उसको पा जाता... 
मगर वो तो जिंदगी थी... 
इसलिए मैं उसको जी नहीं सका...

#रोमिल

fhir woh yaad aaya



Meri aankhon mein aaj aansoo kaise hai?
Lagta hai fhir woh yaad aaya..

Har jagah chiraag jal rahe kyon hai?
Lagta hai fhir woh yaad aaya..

Yeh haawein itni mastani kyon hai?
Lagta hai fhir woh yaad aaya..

Aaj har kaali, kantein se lipti hui kyon hai?
Lagta hai fhir woh yaad aaya..

[written by romil arora - copyright reserved]