Wednesday, July 23, 2008

Yaad...

Use Na Yaad Karne Ki Kasam 
Mujhe Baar-Baar Uski Yaad Dilati Hai! 

#Romil

उसे ना याद करने की कसम 
मुझे बार-बार उसकी याद दिलाती है...

#रोमिल

tabhi to hamari jaan hai woh!

Mohabbat mein nadaan hai woh,
Fir bhi hamari jaan hai woh,
Pal bhar mein aankhon se aansoo baha deti hai woh,
Har baat ko dil se laga leti hai woh,
Hamesha Rab, rooh ki baatein karti hai woh,
Bholi hai, masoom hai, duniya se anjaan hai woh,
Tabhi to hamari jaan hai woh!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, July 22, 2008

kaash is barsaat main sanam...

kaash is barsaat main sanam...

tumhare hoonton ko chu lu,
is reshami badan ko thoda sa pyar kar lu,
tumko apni baahon main lekar thoda sa jhoom lu.
kaash is barsaat main sanam...



kaash is barsaat main sanam...
barasate pani main, apne taan ki pyaas poori kar lu,
tumko goad main baitha kar, teri zulfoon ke saath thodi se shararat kar lu.
kaash is barsaat main sanam...



kaash is barsaat main sanam...
to mujhe tooth kar pyar kare,

main apne saaye se tere saaye ko mila du,
kaash is barsaat main sanam...



kaash is barsaat main sanam...
na tu, tu rahe,
na main, main rahu,
is tarah tujhse bepanah mohabbat kar lu.
kaash is barsaat main sanam...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sun Hawa...

Sun Hawa,
Zara Uske Dupatte Ko Chu Kar Aa
Zara Yeh Bata
Kaisi Hai Woh
Kuch To Uska Haal-Chal Suna...
सुन हवा 
जरा उसके दुपट्टे को छूकर आ 
जरा यह बता 
कैसा है वो 
कुछ तो उसका हाल-चाल सुना...

Sun Hawa,
Zara Usko Chu Kar Aa

Uske Badan Ki Khushboo Se Mere Badan Ko Mehka...
सुन हवा 
जरा उसको छूकर आ
उसके बदन की खुशबू से मेरे बदन को महका...

Sun Hawa,
Zara Usko Chu Kar Aa
Uske Hoton Ki Pyas Se Mere Hoton Ki Pyas Bhuja...
सुन हवा 
जरा उसको छूकर आ
उसके होठों की प्यास से मेरे होठों की प्यास बुझा...

Sun Hawa,
Zara Usko Chu Kar Aa

Is Mausam Main Uske Bina Raha Nahi Jaata Hai,
Zara Usko Bhi Mohabbat Ka Ehsaas Karwa...
सुन हवा 
जरा उसको छूकर आ
इस मौसम में उसके बिना रहा नहीं जाता है 
जरा उसको भी मोहब्बत का एहसास करवा...

#Romil
#रोमिल

gum de jaate hai...

aankhon mein aansoo aa jaate hai,
aankhon mein sapne aa jaate hai,
dono hi apne hai, har-baar gum de jaate hai!

#Romil

आंखों में आंसू आ जाते हैं 
आंखों में सपने आ जाते हैं 
दोनों ही अपने हैं, हर बार ग़म दे जाते हैं !

#रोमिल

Chehare ke udasi...

Chehare ki udasi se har baar main kehta hu...

"Dost, Mehfil Mein Mat Aaya Karo,
Sabke Samne Hamara Maazak Mat Banaya Karo"

Chehara, udasi se kehta hai....

"Jab Mehfil Main Tumko Tanha Dekhti Hu Dost,
To Mujhse Raha Nahi Jata Hai,
Bas Teri Tanhai Door Karne Main Chali Aati Hu,
Bas Tera Saath Dene Main Chali Aati Hu,
Koi Na Ho Tera Par Mujhko Apna Samajhana,
Main To Har Waqt Tere Saath Rehna Chahti Hu,
Tera Saath Nibhana Chahti Hu"

#Romil

चेहरे की उदासी से हर बार मैं कहता हूं... 

"दोस्त महफिल में मत आया करो, सबके सामने हमारा मजाक मत बनाया करो..."

चेहरा, उदासी से कहता है... 

जब महफिल में तुमको तन्हा देखती हूं दोस्त 
तो मुझसे रहा नहीं जाता है 
बस तेरी तन्हाई दूर करने मैं चली आती हूं 
बस तेरा साथ देने मैं चली आती हूं 
कोई ना हो तेरा पर मुझको अपना समझना 
मैं तो हर वक़्त तेरे साथ रहना चाहती हूं 
तेरा साथ निभाना चाहती हूं... 

#रोमिल

Monday, July 21, 2008

yeh na seekh sake hum...


Chehare par muskaan laana seekh gaye,
Mehfil main muskurana seekh gaye,
Dukh ko chupana seekh gaye,
Sab kuch seekh gaye sanaam;
!!Bas Teri yadoon main aansoo na bahe yeh na seekh sake hum!!
[written by romil arora - copyright reserved]