Wednesday, July 23, 2008

mujhko.....




Mohabbat ki bulandi chuna chahta tha,
magar mazbooriyoon ne zameen par gira diya mujhko!


Mehfil ki roshani banna chahta tha,
magar tanhaiyoon ne ruswa kar diya mujhko!


Roshani ban kar jalana chahta tha,
magar haawaon ne bhuja diya mujhko!

[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

unke saath rahu!

Wafa bankar unke saath rahu,
dil ki dhadkan bankar unke saath rahu,
honton par muskaan bankar unke saath rahu,
mann to chahta hai zindagi bhar unki zindagi bankar unke saath rahu!

#Romil

वफा बनके उनके साथ रहूं 
दिल की धड़कन बनकर उनके साथ रहूं 
होठों पर मुस्कान बनकर उनके साथ रहूं 
मन तो चाहता है जिंदगी भर उनकी जिंदगी बनकर उनके साथ रहूं... 

#रोमिल

Hum....

Rooh-e-mohabbat ke talabdaar hai hum,
Waafa-e-ishq ke umeeddaar hai hum,
Zindagi-e-mehfil main khushiya paana chahte hai hum,
Shayad itni hi aarzoo-e-dil ke gunehgaar hai hum!
[written by romil arora - copyright reserved]

bhool jaoge!

Vaada na karna
bhool jaoge!
Hadh se jayada mohabbat na karna
bhool jaoge!
Itna yaad na karna
bhool jaoge!
Hamare intezar mein aansoo na bahana, warna
bhool jaoge!
Jo gila, sikwa karna to hamare samne karna,
mehfil mein abhi karogi, to baad mein
bhool jaoge!

#Romil

वादा ना करना 
भूल जाओगे! 
हद से ज्यादा मोहब्बत ना करना 
भूल जाओगे! 
इतना याद ना करना 
भूल जाओगे! 
हमारे इंतजार में आंसू ना बहाना 
वरना 
भूल जाओगे! 
जो गिला, शिकवा करना तो हमारे सामने करना,
महफ़िल में अभी करोगी, तो बाद में 
भूल जाओगे!

#रोमिल

Yaad...

Use Na Yaad Karne Ki Kasam 
Mujhe Baar-Baar Uski Yaad Dilati Hai! 

#Romil

उसे ना याद करने की कसम 
मुझे बार-बार उसकी याद दिलाती है...

#रोमिल

tabhi to hamari jaan hai woh!

Mohabbat mein nadaan hai woh,
Fir bhi hamari jaan hai woh,
Pal bhar mein aankhon se aansoo baha deti hai woh,
Har baat ko dil se laga leti hai woh,
Hamesha Rab, rooh ki baatein karti hai woh,
Bholi hai, masoom hai, duniya se anjaan hai woh,
Tabhi to hamari jaan hai woh!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, July 22, 2008

kaash is barsaat main sanam...

kaash is barsaat main sanam...

tumhare hoonton ko chu lu,
is reshami badan ko thoda sa pyar kar lu,
tumko apni baahon main lekar thoda sa jhoom lu.
kaash is barsaat main sanam...



kaash is barsaat main sanam...
barasate pani main, apne taan ki pyaas poori kar lu,
tumko goad main baitha kar, teri zulfoon ke saath thodi se shararat kar lu.
kaash is barsaat main sanam...



kaash is barsaat main sanam...
to mujhe tooth kar pyar kare,

main apne saaye se tere saaye ko mila du,
kaash is barsaat main sanam...



kaash is barsaat main sanam...
na tu, tu rahe,
na main, main rahu,
is tarah tujhse bepanah mohabbat kar lu.
kaash is barsaat main sanam...
[written by romil arora - copyright reserved]