Thursday, July 24, 2008

aapki yaad aane lagti hai....

"khushiyoon ke mausam mein udasi chaane lagti hai,
jab sanam aapki yaad aane lagti hai"

"sukhi hui palke, bheegane lagti hai,
jab sanam aapki yaad aane lagti hai"

"bewajah hi nazre intezaar karne lagti hai,
jab sanam aapki yaad aane lagti hai"


#Romil

खुशियों के मौसम में उदासी छाने लगती है 
जब सनम आपकी याद आने लगती है 

सूखी हुए पलके, भीगने लगती है 
जब सनम आपकी याद आने लगती है

बेवजह ही नजरे इंतजार करने लगती है 
जब सनम आपकी याद आने लगती है...

#रोमिल

samaj laite......

~~~ kaash yaar tum dil ki baat samaj laite,
sapno ko hi mulaqat samaj laite,
chand ko hi hamara chehara samaj laite,
hamari aankhon se jo gire hai aansoo usko mohabbat ki barsaat samaj laite~~~
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, July 23, 2008

~~~Daulat ke khareeddar~~~

~~~Daulat ke khareeddar~~~
!!Rishte-Naate Sab Daulat Ki Mandi Main Beekh Jaate Hai,
Yeh Duniya Hai, Mujhe Yahan Sirf Daulat Ke Khareeddar Nazar Aate Hai!!


!!Aansoo-Khushi Sab Dekhawa Naazar Aate Hai,
Yeh Duniya Hai, Mujhe Yahan Sirf Daulat Ke Khareeddar Nazar Aate Hai!!


!!Pyar-Wafa Sab Rasthey Ke Modh Ke Saath, Badal Jaate Hai,
Yeh Duniya Hai, Mujhe Yahan Sirf Daulat Ke Khareeddar Nazar Aate Hai!!


!!Apne-Sapne Sab Waqt Ki Rait Main Udha Jaate Hai,
Yeh Duniya Hai, Mujhe Yahan Sirf Daulat Ke Khareeddar Nazar Aate Hai!!


*****Dekh Kar Tere Bandon Ki Haalat Rabb Mujhe Aaisa Lagta Hai,
Shayad Tere Yahaan Bhi Sirf Daulat Ke Khareeddar Rehte Hai*****
[written by romil arora - copyright reserved]

mujhko.....




Mohabbat ki bulandi chuna chahta tha,
magar mazbooriyoon ne zameen par gira diya mujhko!


Mehfil ki roshani banna chahta tha,
magar tanhaiyoon ne ruswa kar diya mujhko!


Roshani ban kar jalana chahta tha,
magar haawaon ne bhuja diya mujhko!

[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

unke saath rahu!

Wafa bankar unke saath rahu,
dil ki dhadkan bankar unke saath rahu,
honton par muskaan bankar unke saath rahu,
mann to chahta hai zindagi bhar unki zindagi bankar unke saath rahu!

#Romil

वफा बनके उनके साथ रहूं 
दिल की धड़कन बनकर उनके साथ रहूं 
होठों पर मुस्कान बनकर उनके साथ रहूं 
मन तो चाहता है जिंदगी भर उनकी जिंदगी बनकर उनके साथ रहूं... 

#रोमिल

Hum....

Rooh-e-mohabbat ke talabdaar hai hum,
Waafa-e-ishq ke umeeddaar hai hum,
Zindagi-e-mehfil main khushiya paana chahte hai hum,
Shayad itni hi aarzoo-e-dil ke gunehgaar hai hum!
[written by romil arora - copyright reserved]

bhool jaoge!

Vaada na karna
bhool jaoge!
Hadh se jayada mohabbat na karna
bhool jaoge!
Itna yaad na karna
bhool jaoge!
Hamare intezar mein aansoo na bahana, warna
bhool jaoge!
Jo gila, sikwa karna to hamare samne karna,
mehfil mein abhi karogi, to baad mein
bhool jaoge!

#Romil

वादा ना करना 
भूल जाओगे! 
हद से ज्यादा मोहब्बत ना करना 
भूल जाओगे! 
इतना याद ना करना 
भूल जाओगे! 
हमारे इंतजार में आंसू ना बहाना 
वरना 
भूल जाओगे! 
जो गिला, शिकवा करना तो हमारे सामने करना,
महफ़िल में अभी करोगी, तो बाद में 
भूल जाओगे!

#रोमिल