Saturday, July 26, 2008

ek chota sa dil hamara....

ek chota sa dil hamara, jis par zakhm hazaar,
kis-kis ki dawa kare, jab har koi hai yahaan bewafa mere yaar!

#Romil

एक छोटा सा दिल हमारा, जिस पर जख्म हजार, 
किस-किस की दवा करें, जब हर कोई है यहां बेवफा मेरे यार !

#रोमिल

Friday, July 25, 2008

aadat purani hai...

aadat purani hai...

Baarishon mein tumhe yaad karne ki
aadat purani hai...

Tumhari yaadon mein aansoo bahane ki
aadat purani hai...

Tanha hokar Rab ko haal-e-dil sunane ki
aadat purani hai...

Tumhari wafon ki jhooti kahani logon ko sunane ki
aadat purani hai...

Sab kuch ujad gaya hai, fir bhi aashiyana basane ki
aadat purani hai...

Janta hu tum kabhi nahi aaogi, fir bhi tumhara intezar karne ki
aadat purani hai...

#Romil

आदत पुरानी है... 

बारिशों में तुम्हें याद करने की आदत पुरानी है... 

तुम्हारी यादों में आंसू बहाने की आदत पुरानी है... 

तन्हा होकर रब को हाल-ए-दिल सुनने की आदत पुरानी है... 

तुम्हारी वफाओं की झूठी कहानी लोगों को सुनने की आदत पुरानी है... 

सब कुछ उजड़ गया है, फिर भी आशियाना बसाने की आदत पुरानी है... 

जानता हूं तुम कभी नहीं आओगी, फिर भी तुम्हारा इंतजार करने की आदत पुरानी है...

#रोमिल

baarish ki tarah hai....

Sanam Tera Pyar Bhi Baarish Ki Tarah Hai,
Jab Barasta Hai Kisi Par To Jhoom Kar Barasta Hai,
Jab Nahi To
Insaan Chahe Pyasa Marr Jaye,
Nahi Barasta Hai!

#Romil

सनम तेरा प्यार भी बारिश की तरह है 
जब बरसता है किसी पर तो झूमकर बरसता है 
जब नहीं तो 
इंसान चाहे प्यासा मर जाए 
नहीं बरसता है...

#रोमिल

mere yaar k naam...

~~Uski tamanna ke siwa zindagi mein koi tamanna nahi,
mujhe to zarre-zarre mein uska chehra nazar aata hai~~

!!Log kehte hai parwardigaar ke ghar jaaya kar,
main kehta hu usne abhi tak mujhe apna pata bataya nahi!!


~*~Log kehte hai rab ke saamne sar jhukaya kar,
main kehta hu woh kabhi saamne aaya nahi~*~
[written by romil arora - copyright reserved]

Tumse Hum Kuch Chupa Bhi Nahi Sakte

~*~
Kaise Jiye Hai Tumhare Bina Hum Bata Nahi Sakte
!!Magar Sach Hai Sanam Tumse Hum Kuch Chupa Bhi Nahi Sakte!!

Raanton Main Tarafana Mera, Khawabon Main Machalana Mera,
Woh Hum Tumko Bata Nahi Sakte,
!!Magar Sach Hai Sanam Tumse Hum Kuch Chupa Bhi Nahi Sakte!!


Tanhai Main Reh Kar Aansoo Bahana,
Sabke Samne Muskurana,

Woh Hum Tumko Bata Nahi Sakte,
!!Magar Sach Hai Sanam Tumse Hum Kuch Chupa Bhi Nahi Sakte!!

Khud Se Baatein Karna,
Tere Ehsaas Ke Saath Sona,
Woh Raatein Hum Bhula Nahi Sake,
Woh Hum Tumko Bata Nahi Sakte,
!!Magar Sach Hai Sanam Tumse Hum Kuch Chupa Bhi Nahi Sakte!!

~*~
[written by romil arora - copyright reserved]

Woh kehte hai...

!!Woh kehte hai mujhe pyar karo,
Main apni zindagi-e-majboori usko gina deta hoon!!


!!Woh kehte hai yeh jawani mujh par nisaar karo,
Main usko apne haalat-e-aansoo dekha deta hoon
!!

!!Woh kehte hai lipat jao mere badan se,
Main hamesha apna dil-e-dard usko bata deta hoon!!


!!Main Kitna Badnaseeb Hoon,
Rab Yeh Sirf Tu Janta Hai,
Dil Chahta Hai Usko Bepanah Pyar Karne Ke Liye,
Main Bas Har Khawab, Khawab Mein Beeta Deta Hoon!

#Romil

वो कहते हैं मुझे प्यार करो 
मैं अपनी जिंदगी-ए-मजबूरी उसको भुला देता हूं... 

वो कहते है यह जवानी मुझपर निसार करो 
मैं उसको अपने हालात-ए-आंसू दिखा देता हूं... 

वो कहते हैं लिपट जाओ मेरे बदन से 
मैं हमेशा अपना दिल-ए-दर्द उसको बता देता हूं... 

मैं कितना बदनसीब हूं 
रब यह सिर्फ तू जानता है 
दिल चाहता है उसको बेपनाह प्यार करने के लिए 
मैं बस हर ख़्वाब, ख़्वाब में बिता देता हूँ...

#रोमिल

Thursday, July 24, 2008

~*~Main Dua Karta Hu~*~

~*~Main Dua Karta Hu~*~

Kabhi Woh Rooth Jaye To Main Usko Manau
~*~Main Dua Karta Hu~*~

Mere Gusse Par Woh Mujhe Manaye
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Main Uski Muskaan, Uski Khushi Par Qurbaan Ho Jayun
~*~Main Dua Karta Hu~*~

Mere Hasane Main, Mere Rone Main Woh Saath De
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Woh Kabhi Kisi Gair Se Na Dil Lagaye
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Maire Baahon Main Zindagi Beeta De
~*~Main Dua Karta Hu~*~

Raaton Main Woh, Apna Sar Rakh Kar Mere Goad Main So Jaye
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Kabhi Saath-Saath Hum Baarishon Main Naahaye
~*~Main Dua Karta Hu~*~

Uski Rooh Se Main Lipath Jayun
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Mere Saanson Main Woh Saama Jaye
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Kabhi Haanton Main Haanth Lekar Hum Chalte Jaye
~*~Main Dua Karta Hu~*~

Uski Zulfoon Main, Main Phool Sajau
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Meri Nazaron Ke Samane Woh Hamesha Rahe
~*~Main Dua Karta Hu~*~


BAS RABB TU ITNA SAMAJ LE
"FHIR AAISA HUMSAFAR NAHI MILEGA MUJHE KISI JANAM MAIN,
GUNN-RAJ JANAMO TAK SAATH RAHE"
~*~MAIN DUA KARTA HU~*~
[written by romil arora - copyright reserved]