Monday, July 28, 2008

Gunehgar Hai Hum...

Apni Barbaadi Ke Khud Gunehgar Hai Hum,
Mohabbat Jo Ki Thi, Khud Sazadar Hai Hum,
Ab Kisse Kahe Haal-E-Dil Apna,
Jalte Hue Ghar Ke Chirag Hai Hum

#Romil

अपनी बर्बादी के ख़ुद गुनहगार है हम,
मुहब्बत जो की थी, ख़ुद सज़ादार है हम,
कब किससे कहे हाल-ए-दिल अपना,
जलते हुए घर के चिराग़ है हम...

#रोमिल

Tarafate Hum Rehte Hai.....

Aapki Jhalak Paane Ke Liye Sanam Khayal Hum Dekhate Hai,
Magar Khayalon Se Raahat Nahi Milte,
Mil Jata Hai Sirf Zaara Sa Sakun,
Magar Saari Raat Tarafate Hum Rehte Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

dosti aur pyar....

"Dosti Hamesha Honthon Par Muskaan Lati Hai
Sang-Sang Hasati Hai
Gale Lagati Hai, Saath Milati Hai
Pyar Badati Hai
Wafa Karti Hai
Aashiq Ko Saccha Insaan Banati Hai
"


"Pyar Hamesha Aankhon Mein Aansoo Lata Hai
Tanhai Mein Rulata Hai
Judai Lata Hai, Dooriyan Badata Hai,
Dushmani Badata Hai
Bewafai Karta Hai
Aashiq Ko Pagal Banata Hai
"

!!fir bhi duniya-e-jahan dosti ko samajh nahi pati hai,
hamesha ise pyar ka naam dete hai,
jab ki dono ek dusare se juda hai,
dono ka apna alag-alag rang-roop hai,
fir bhi duniya dosti ki kadr samajh nahi pati hai,
hamesha pyar ko dosti se bada samajhati hai!!

#BestAnswers
#Romil

Yaadon Ki Galiyaan Yaad Hai Mujhe

Yaadon Ki Galiyaan Yaad Hai Mujhe 
यादों की गलियां याद है मुझे

Woh Gudda-Gudiya Ki Shaadi Rachana
!*!Yaad Hai Mujhe!*! 
वो गुड्डा-गुड़िया की शादी रचाना 
याद है मुझे

Woh Baarishon Mein Khoob Jhoom Kar Nachana
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
वो बारिशों में खूब झूमकर नाचना 
याद है मुझे

Woh Saawan Main Jhula Jhulana
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
वो सावन में झूला झूलना
याद है मुझे

Woh Chote-Chote Haathon Mein Mehandi Rachana
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
वो छोटे-छोटे हाथों में मेहंदी रचाना
याद है मुझे

Woh Choti-Choti Baaton Par Ruuth Jaana, Fir Ek-Dusre Ko Manana
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
वह छोटी-छोटी बातों पर रूठ जाना 
फिर एक-दूसरे को मनाना
याद है मुझे

Woh Agey-Agey Mera Daudna, 
Peeche Sab Saathiyon Ka Daudna, 
Woh Milkar Rail Gadi Banana, 
Sabka Fir Zor-Zor Se Chillana,
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
वह आगे-आगे मेरा दौड़ना 
पीछे सब साथियों का दौड़ना 
वो मिलकर रेलगाड़ी बनाना 
सबका फिर जोर-जोर से चिल्लाना
याद है मुझे

Mitr...Main Kuch Bhi Nahi Bhula...
Yaadon Ki Galiyaan Yaad Hai Mujhe...
मित्र... मैं कुछ भी नहीं भूला... 
यादों की गलियां याद है मुझे...

#Romil
#रोमिल

Saath Nibha Na Saka...

Ya Rabba, Sanam Hamara Humko Jaan Na Saka,
Majboori Woh Hamari Pehchan Na Saka,
Kehta Tha Zindagi Bhar Pyar Karega,
Jo Do Kadam Saath Nibha Na Saka!

#Romil

या रब्बा, सनम हमारा हमको जान ना सका 
मजबूरी वो हमारी पहचान ना सका 
कहता था जिंदगी भर प्यार करेंगे 
जो दो कदम साथ निभा ना सका!

#रोमिल

Saturday, July 26, 2008

!!Sacha Pyar Tumse Hi Karte Rahenge Sanam!!

Janta Hu Tujhe Na Pa Sakenge Zindagi Bhar,
Fhir Bhi Sacha Pyar Tumse Hi Karte Rahenge Sanam!


Janta Hu Haal-e-Dil Zindagi Bhar Kisi Ko Na Bata Sakenge Sanam,
Dil Hi Dil Main Rote Rahenge Hum,
Fhir Bhi Sacha Pyar Tumse Hi Karte Rahenge Sanam!


Zindagi Main Sanam Ko Pa Lena Hi Sabse Badi Kamyabi Hai,
Hum Zindagi Bhar Apni Haar Ko Yaad Rakhenge Sanam,
Fhir Bhi Sacha Pyar Tumse Hi Karte Rahenge Sanam!
[written by romil arora - copyright reserved]

Dhoondata Hu.....

*****
Main Musafir Hu,
Manzil Dhoondata Hu.


Main Wafaadar Hu,
Humsafar Dhoondata Hu/


Main Dard-e-Dil Ka Maariz Hu,
Daava Dhoondata Hu/


Main Haar Chuka Hu Is Be-Dard Sanam Se,
Khud Ke Liye Kabar Dhoondata Hu.

*****
[written by romil arora - copyright reserved]