Friday, August 1, 2008

Aaye Chand Sun Zara...

Aaye Chand Sun Zara...
Andheron Se Mujhe Mohabbat Ho Gaye Hai,
Shaam-e-Tanhai Mein Raat Bitani Hai Mujhe,

Tu Meri Parwah Na Kar Chand,
Tu Apni Chandani Mere Mehboob Ke Pass Le Ja,
Use Dekhane Wali Nazare Abhi Bahut Hai
Duniya-E-Jahaan Mein.

#Romil

Jahan Dekhu Main...

Jahaa Dekhu Main Rab Tune Bas Gum-e-Judai Banai Hai,
Teri Yeh Khudai Mujhe Samaj Nahi Aai Hai...

"Juda Zameen-O-Aasmaan Hai"
"Juda Daali Se Phool Ho Jaata Hai"
"Juda Rishte Se Ristha Ho Jaata Hai"
"Juda Sharir Se Rooh Ho Jaati Hai"
"Juda Mehboob Se Mehboob Ho Jaata Hai"
~!~koi bhi yahaan saath nahi rehta hai
yeh tune kaisi duniya banai hai~!~


Jahaa Dekhu Main Rab Tune Bas Gum-e-Judai Banai Hai,
Teri Yeh Khudai Mujhe Samaj Nahi Aai Hai...

#Romil

जहां देखूं मैं रब तूने बस ग़म-ए-जुदाई बनाई है 
तेरी यह खुदाई मुझे समझ नहीं आई है... 

जुदा जमीन-ओ-आसमान है 
जुदा डाली से फूल हो जाता है... 
जुदा रिश्ते से रिश्ता हो जाता है... 
जुदा शरीर से रूह हो जाती है... 
जुदा महबूब से महबूब हो जाता है... 
कोई भी यहां साथ नहीं रहता है 
यह तूने कैसी दुनिया बनाई है... 

जहां देखूं मैं रब तूने बस ग़म-ए-जुदाई बनाई है 
तेरी यह खुदाई मुझे समझ नहीं आई है...  

#रोमिल

dil ke jubaan....


~!~Janta Hoon Tu Muqaddar Main Nahi Mere Sanam,
Isliye Rabb Se Maine Tujhe Manga Nahi~!~


~*~ Mere Dil-e-Maakan Ko Mohabbat-e-Ghar Bana Liya Hai Tune Apna,
Kabhi Yeh Veeraniyoon Main Raha Karta Tha~*~

[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, July 28, 2008

Rab Se Jyada, Use Chahana Mujhe Hai...

Sanam Ke Sajde Mein Sar Jhukana Mujhe Hai,
Rab Se Jyada, Use Chahana Mujhe Hai...

सनम के सजदे में सर झुकाना मुझे है,
रब से ज्यादा, उसे चाहना मुझे है...

Itni Mohabbat Kyon Main Sanam Se Karta Hu, Rab Sab Janta Hai,
Mere Haal-E-Dil Ko Pehchanta Hai,
Bas Uske Pehlu Mein Mar Jana Mujhe Hai,
Rab Se Jyada, Use Chahana Mujhe Hai...

इतनी मुहब्बत क्यों मैं सनम से करता हूँ, रब सब जानता है
बस उसके पहलू में मर जाना मुझे है
रब से ज्यादा, उसे चाहना मुझे है...

Meri Har Chahat Uske Liye,
Yeh Duniya Bhi Jannat Bana Du Uske Liye,
Har Veerani Mein Phool Khila Du Uske Liye,
Saari Fiza Ko Rangeen Bana Du Uske Liye,
Bas Uski Khushi Mein Fanaa Ho Jana Mujhe Hai,
Rab Se Jyada, Use Chahana Mujhe Hai...


मेरी हर चाहत उसके लिए
यह दुनिया भी जन्नत बना दूँ उसके लिए
हर वीरानी में फूल खिला दूँ उसके लिए 
सारी फिज़ा को रंगीन बना दूँ उसके लिए 
बस उसकी खुशी में फ़ना हो जाना मुझे है
रब से ज्यादा, उसे चाहना मुझे है...

Sanam Ke Sajde Mein Sar Jhukana Mujhe Hai,
Rab Se Jyada, Use Chahana Mujhe Hai!*!

सनम के सजदे में सर झुकाना मुझे है,
रब से ज्यादा, उसे चाहना मुझे है...

#Romil
#रोमिल

Gunehgar Hai Hum...

Apni Barbaadi Ke Khud Gunehgar Hai Hum,
Mohabbat Jo Ki Thi, Khud Sazadar Hai Hum,
Ab Kisse Kahe Haal-E-Dil Apna,
Jalte Hue Ghar Ke Chirag Hai Hum

#Romil

अपनी बर्बादी के ख़ुद गुनहगार है हम,
मुहब्बत जो की थी, ख़ुद सज़ादार है हम,
कब किससे कहे हाल-ए-दिल अपना,
जलते हुए घर के चिराग़ है हम...

#रोमिल

Tarafate Hum Rehte Hai.....

Aapki Jhalak Paane Ke Liye Sanam Khayal Hum Dekhate Hai,
Magar Khayalon Se Raahat Nahi Milte,
Mil Jata Hai Sirf Zaara Sa Sakun,
Magar Saari Raat Tarafate Hum Rehte Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

dosti aur pyar....

"Dosti Hamesha Honthon Par Muskaan Lati Hai
Sang-Sang Hasati Hai
Gale Lagati Hai, Saath Milati Hai
Pyar Badati Hai
Wafa Karti Hai
Aashiq Ko Saccha Insaan Banati Hai
"


"Pyar Hamesha Aankhon Mein Aansoo Lata Hai
Tanhai Mein Rulata Hai
Judai Lata Hai, Dooriyan Badata Hai,
Dushmani Badata Hai
Bewafai Karta Hai
Aashiq Ko Pagal Banata Hai
"

!!fir bhi duniya-e-jahan dosti ko samajh nahi pati hai,
hamesha ise pyar ka naam dete hai,
jab ki dono ek dusare se juda hai,
dono ka apna alag-alag rang-roop hai,
fir bhi duniya dosti ki kadr samajh nahi pati hai,
hamesha pyar ko dosti se bada samajhati hai!!

#BestAnswers
#Romil