Saturday, August 2, 2008

Tanhai Mein Aksar Mujhe Beeta Hua Pal Yaad Aata Hai

Woh Galiya
Woh Chabutara
Woh Dar Yaad Aata Hai
"Tanhai Mein Aksar Mujhe Beeta Hua Pal Yaad Aata Hai"
~*~
Woh Dost-Yaar
Woh Mehfil
Woh Masti Ka Pal Yaad Aata Hai
"Tanhai Mein Aksar Mujhe Beeta Hua Pal Yaad Aata Hai"
~*~
Woh Choti-Choti Baaton Par Ladai Karna
Woh School Ki Ghanti Bajte Hi Class Se Bhagna
Woh Rickshaw Wale Bhaiya Ko Tang Karna Yaad Aata Hai
"Tanhai Mein Aksar Mujhe Beeta Hua Pal Yaad Aata Hai"
~*~
Woh Pehla Pyar
Woh Ghar Ke Nukkad Par Sanam Ka Intezaar
Woh Pyar Ki Kahani Doston Ko Sunana Yaad Aata Hai
"Tanhai Mein Aksar Mujhe Beeta Hua Pal Yaad Aata Hai"

#Romil

kuch lafz...

"Har Dard Apna Ghazal Mein Likhenge,
Har Kore Kaagaz Ko Apne Mohabbat-e-Gum Ki Siyahi Se Rang Denge"
हर दर्द अपना गज़ल में लिखेंगे
हर कोरे कागज़ को अपने मुहब्बत-ए-ग़म की सियाही से रंग देंगे...
~*~
"Aaye Ho Kafan Par Uski,
Kuch Lafz Keh Kar Jayo,
Mehboob Ka Intezar Karte-Karte Aankh Band Ho Gai Hai Uski,
Zaara Pyar Se Usko Uthao"
आये हो कफ़न पर उसकी
कुछ लफ्ज़ कह कर जाओ
महबूब का इंतेज़ार करते-करते आँख बंद हो गई है उसकी
ज़रा प्यार से उसको उठाओ...

#Romil
#रोमिल

mera yaar...

Mere Yaar Ka Andaz Bhi Nirala Hai,
Uske Gusse Ke Sholon Ke Saath,
Khil Jaate Hai Phool Mere Dil-E-Jahan Ke!
मेरे यार का अंदाज भी निराला है, 
उसके गुस्से के शोलों के साथ, 
खिल जाते हैं फूल मेरे दिल-ए-जहां के!
***************
******
**********
Mera Yaar Mujhe Aaj Bhi Aazmata Hai,
Use Meri Wafao Par Aetbar Nahi,
Woh Sirf Apni Hi Majboori Batata Hai,
Use Meri Majboori Ka Elam Tak Nahi!
मेरा यार मुझे आज भी आजमाता है, 
उसे मेरी वफाओं पर ऐतबार नहीं, 
वह सिर्फ अपनी ही मजबूरी बताता है, 
उसे मेरी मजबूरी का इल्म तक नहीं!

#Romil
#रोमिल

Use Mohabbat Ho Gai Hai...

Tanhai Mein Woh Rehta Hai,
Aankhon Mein Uske Aansoo Hai,
Chehare Par Uske Udasi Hai,
Subah-Shaam Sochata Woh Rehta Hai,
Muskurana Use Aacha Nahi Lagta,
"Shayad Use Mohabbat Ho Gai Hai"

#Romil

तन्हाई में वो रहता है
आँखों में उसके आँसू है
चेहरे पर उसके उदासी है
सुबह-शाम सोचता वो रहता है
मुस्कुराना उसे अच्छा नहीं लगता
"शायद उसे मुहब्बत हो गई है"

#रोमिल

Fir Bhi Main Muskurata Hu...

"Aankhon Mein Aansoo"
"Udaas Chehra"
"Bikhre Hue Sapne"
"Gum-e-Mohabbat"

Iske Siwa Taqdeer Ne Mujhe Diya Hi Kya Hai!

!*!Fir Bhi Main Muskurata Hu,
Anjaano Se Dil Lagata Hu!*!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, August 1, 2008

Dil ki Aawaz

"Lakh Koshisho Ke Bawajud Bhi Tujhe Pa Nahi Sakunga,
Agar Rabb Ne Tujhe Nahi Likha Hoga
Mere Muqaddar Mein"
______________________
_______
________________

"Kaise Tujhe Bhula Du,
Kaise Teri Yaadon Ko Mita Du,
Tu Mere Rom-Rom Mein Basa Hai Zindagi Bankar"
_______________________
_______
________________
"Subah Hote Hi
Tujhe Paane Ki Dua Karta Hu,
Magar Fir Sochata Hu
Kahi Yeh Bhi Dua
Har Dua Ki Tarah Khali Na Chali Jaye"


#Romil

Bolo Sanam Kaisa Rahega...

Chalo Sanam Ek Khel Khelte Hai
Kuch Pal Ke Liye Tum Raj aur Main Sanam Ban Jaun!
***
"Har Pal Raj Ki Tarah Tum Tadpo
Sanam Ka Intezaar Subah-Shaam Karo
Sanam Se Milne Ka Koi Bahana Dhundho
Sanam Ke Sapne Mein Kho Jao
Raat Bhar Sanam Ke Ehsaas Se Baatein Karo
Sanam Se Pyar Ke Umeede Bandho
Apni Saanson Mein Sanam Ko Mehsus Karo"
***
Bolo Sanam Kaisa Rahega?

#Romil

चलो सनम एक खेल खेलते हैं 
कुछ पल के लिए तुम राज और मैं सनम बन जाऊं!

हर पल राज की तरह तुम तड़पों 
सनम का इंतजार सुबह-सुबह करो 
सनम से मिलने का कोई बहाना ढूंढो 
सनम के सपने में खो जाओ 
रातभर सनम के एहसास से बातें करो 
सनम से प्यार की उम्मीदें बांधो 
अपनी सांसों में सनम को महसूस करो... 

बोलो सनम कैसा रहेगा?

#रोमिल