Saturday, August 2, 2008

Wapas Nahi Aayunga...

Yaad Rahega Hamesha 
Yeh Mohabbat-e-Gum,
Ki Mohabbat Mein Hi Tarse Mohabbat Ke Liye!
याद रहेगा हमेशा 
यह मोहब्बत-ए-ग़म, 
की मोहब्बत में ही तरसे मोहब्बत के लिए!

^^^^^^

Kabhi Tumko Na Main Sataunga,
Mohabbat-e-Dard Tumko Na Bataunga,
Vaada Hai Mera, Door Itna Main Chala Jaunga,
Chahe Jitna Bhi Tum Pukaro,
Wapas Nahi Aaunga!

कभी तुमको ना मैं सताऊंगा, 
मोहब्बत-ए-दर्द तुमको ना बताऊंगा, 
वादा है मेरा, दूर इतना मैं चला जाऊंगा, 
चाहे जितना भी तुम पुकारो, 
वापस नहीं आऊंगा!

#Romil
#रोमिल

Mohabbat Ka Ilm Hota Hai...

Mujhe Apna Nahi To Paraya Hi Keh De,
Tere Kuch Na Kehne Se Mehfil Mein Sabko
Hamari Mohabbat Ka Ilm Hota Hai!

#Romil

मुझे अपना नहीं तो पराया ही कह दे,
तेरे कुछ ना कहने से महफ़िल में सबको हमारी मुहब्बत का इल्म होता है!

#रोमिल

Humsafar Usi Ka Raha...

"Jisne Bewafai Ki Mohabbat Usi Se Karta Raha,
Ki Jisne Saath Nahi Diya Humsafar Usi Ka Raha"

#Romil

जिसने बेवफाई की मोहब्बत उसी से करता रहा 
की जिसने साथ नहीं दिया हमसफर उसी का रहा...

#रोमिल

Paigam

!!Yun To Har Shaam Tere Intezar Mein Guzar Jaati Thi,
Aaj Tera Bewafai-E-Paigam Aaya To Rona Aaya!!
~~**~~
~*~ Yeh Umeed Tere Paigam Se Aachi Thi,
Tu Mera Nahi To Gair Ka Bhi Nahi~*~

#Romil

यूँ तो हर शाम तेरे इंतेज़ार में गुज़र जाती थी,
आज तेरा बेवफ़ाई-ए-पैग़ाम आया तो रोना आया...

यह उम्मीद तेरे पैग़ाम से अच्छी थी,
तू मेरा नहीं तो ग़ैर का भी नही..

#रोमिल

Fhir Bhool Jaate Hai Log...

Haawaon Ke Rukh Ke Saath Badal Jaate Hai Log,
Aate Hi Mod, Rasta Badal Lete Hai Log.
Kab Kaun Kisi Ka Duniya-e-Jahan Mein Hota Hai,
Do Pal Milte Hai, Saath-Saath Muskurate Hai,
Fhir Bhool Jaate Hai Log!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tanhai Mein Aksar Mujhe Beeta Hua Pal Yaad Aata Hai

Woh Galiya
Woh Chabutara
Woh Dar Yaad Aata Hai
"Tanhai Mein Aksar Mujhe Beeta Hua Pal Yaad Aata Hai"
~*~
Woh Dost-Yaar
Woh Mehfil
Woh Masti Ka Pal Yaad Aata Hai
"Tanhai Mein Aksar Mujhe Beeta Hua Pal Yaad Aata Hai"
~*~
Woh Choti-Choti Baaton Par Ladai Karna
Woh School Ki Ghanti Bajte Hi Class Se Bhagna
Woh Rickshaw Wale Bhaiya Ko Tang Karna Yaad Aata Hai
"Tanhai Mein Aksar Mujhe Beeta Hua Pal Yaad Aata Hai"
~*~
Woh Pehla Pyar
Woh Ghar Ke Nukkad Par Sanam Ka Intezaar
Woh Pyar Ki Kahani Doston Ko Sunana Yaad Aata Hai
"Tanhai Mein Aksar Mujhe Beeta Hua Pal Yaad Aata Hai"

#Romil

kuch lafz...

"Har Dard Apna Ghazal Mein Likhenge,
Har Kore Kaagaz Ko Apne Mohabbat-e-Gum Ki Siyahi Se Rang Denge"
हर दर्द अपना गज़ल में लिखेंगे
हर कोरे कागज़ को अपने मुहब्बत-ए-ग़म की सियाही से रंग देंगे...
~*~
"Aaye Ho Kafan Par Uski,
Kuch Lafz Keh Kar Jayo,
Mehboob Ka Intezar Karte-Karte Aankh Band Ho Gai Hai Uski,
Zaara Pyar Se Usko Uthao"
आये हो कफ़न पर उसकी
कुछ लफ्ज़ कह कर जाओ
महबूब का इंतेज़ार करते-करते आँख बंद हो गई है उसकी
ज़रा प्यार से उसको उठाओ...

#Romil
#रोमिल