Thursday, September 11, 2008

Intezaar

Marne Par Bhi Aankhen Meri Khuli Rakhna Duniya Walon,
In Aankhon Ko Aadat Hai Uske Intezaar Mein Jaagne Ki!
#Romil

मरने पर भी आँखें मेरी खुली रखना दुनिया वालो
इन आँखों को आदत है उसके इंतेज़ार में जागने की।

#रोमिल

Sab Waqt-Waqt Ki Baat Hai...

Sab Waqt-Waqt Ki Baat Hai,
Ek Waqt Tha Jab Woh Humse Milne Ki Fariyad Karti Thi,
Aaj Ek Waqt Hai Jab Woh Humse Door Rehne Ki Fariyad Karti Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Yeh Ho Nahi Sakta...

Fitrat Badal Jaye Hasino Ki Yeh Ho Nahi Sakta,
Dil Khelne Wale, Dil Lagaye Yeh Ho Nahi Sakta!

#Romil

फ़ितरत बदल जाये हसीनों की यह हो नहीं सकता
दिल खेलने वाले, दिल लगाये यह हो नहीं सकता!

#रोमिल

Wednesday, September 10, 2008

Mohabbat...

Durr Reh-Reh Kar Kahan Mohabbat Hoti Hai,
Bas Intezaar Main Aansuon Ki Baarish Hoti Hai!
***********

#Romil

दूर रह-रह कहां मोहब्बत होती है 
बस इंतजार में आंसुओं की बारिश होती है... 

#रोमिल

Apne...

Mehfil Mein Jakar Apni Beizzati Karwaye Kaun,
Apne Kaafi Hai Khaak-e-Izzat Milane Ko.

#Romil

महफ़िल में जाकर अपनी बेइज्जती करवाये कौन...
अपने काफी है ख़ाक-ए-इज़्ज़त मिलाने को...

#रोमिल

Yaad Hai Woh Bachpan Ki Baatein...

~*~Naaz~*~
Yaad Hai Woh Bachpan Ki Baatein,
Thodi Nadani, Thodi Se Manmani,
Har Pal Karna Shaitani.
---------------------------
Koi Kuch Kahe To Aankhon Mein Aansoo,
Chocolate De To Honton Par Muskaan.
---------------------------
Zara Si Tabiyat Kharab Ho To Ghar Bhar Pareshan,
School Main Masti, Teacher Pareshan,
Nazron Se Door Ho Jau To Dost Hairan.
---------------------------
Ek-Dusare Ki Nazron Mein Khuda Nazar Aata Tha,
Mann Hi Mann Koi Apna Nazar Aata Tha.
---------------------------
Yaad Hai Woh Bachpan Ki Baatein,
Thodi Nadani, Thodi Se Manmani,
Har Pal Karna Shaitani.

[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Tuesday, September 9, 2008

Tera-Mera Rishta

Jaise Dharti Par Ambar Hai Bicha,
Waise Tera-Mera Rishta.
----------
Jaise Ambar Mein Kabhi Suraj, Kabhi Chand,
Waise Tera-Mera Rishta!
---------
Jaise Maa-Baache Ka Rishta,
Jaise Guru-Shisha Ka Rishta,
Jaise Khuda-Bande Ka Rishta,
Waise Tera-Mera Rishta!

#Romil

जैसे धरती पर अंबर है बिछा 
वैसे तेरा-मेरा रिश्ता. 

जैसे अंबर में कभी सूरज, कभी चांद 
वैसे तेरा-मेरा रिश्ता! 

जैसे मां-बच्चे का रिश्ता, 
जैसे गुरु-शिष्य का रिश्ता, 
जैसे खुदा-बंदे का रिश्ता, 
वैसे तेरा-मेरा रिश्ता! 

#रोमिल