Thursday, September 18, 2008

Chand...

Ae Chand Tune Bhi Kaisi Saza Payi Hai,
Mohabbat Karne Wale Chale Jaate Hai Band Kamro Mein
Aur Tu Bhatakta Rehta Hai,
Hum Jaise Tanha Logo Ke Saath!

#Romil

ए चाँद तूने भी कैसी सजा पाई है 
मोहब्बत करने वाले चले जाते हैं बंद कमरों में 
और तू भटकता रहता है 
हम जैसे तन्हा लोगों के साथ...

#रोमिल

Wednesday, September 17, 2008

Mujhe Pata Nahi Chala...

Woh Ho Gaya Gair Ka Mujhe Pata Nahi Chala,
Kis Tarah Khaya Hai Maine Dhoka,
Mujhe Pata Nahi Chala...
Kab Chhut Gaye Haanth, Baaton Hi Baaton Mein,
Mujhe Pata Nahi Chala...
Kis Tarah Bheeg Gayi Meri Aankhen,
Aansoo Mein,
Mujhe Pata Nahi Chala...

#Romil

वो हो गया ग़ैर का मुझे पता नहीं चला, 
किस तरह खाया है मैंने धोखा, मुझे पता नहीं चला, 
कब छूट गए हाथ, बातों ही बातों में, मुझे पता नहीं चला, किस तरह भीग गई हैं आंखें, आँसू में, मुझे पता नहीं चला...

#रोमिल

Apne Pyar Ki Aadat Daal Ke...

Saare Mere Sapno Ko Haqeeqat Dikha Ke,
Umar Bhar Ke Sapne Sajaa Ke,
Woh Chhod Gaya Mujhe Tanha,
Apne Pyar Ki Aadat Daal Ke...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, September 16, 2008

mod...

~*~
Ab is mod pe lai hai zindagi mujhko,
woh aa bhi jaye meri zindagi mein to aaye na karna pyar mujhko
~*~
#Romil

अब इस मोड़ पे लाई है ज़िन्दगी मुझको,
वो आ भी जाये मेरी ज़िंदगी में तो आये ना करना प्यार मुझको...

#रोमिल

kyon

Woh khush hai apne faisale se Khuda,
fhir humko gum kyon hai?
Hum to hamesha yahi chahte the ki woh zindagi bhar chain ki neend soye,
fhir hamari aankhen neend se door kyon hai?
_________
[written by romil arora - copyright reserved]

Mera Kafan Kar De...

Ya Khuda, Usne To Mujhe Apne Dil Se Juda Kar Diya,
Ab Tu Bhi Mujhe Is Duniya Se Juda Kar De,
Use Bhoolne Ki Dua, Agar Main Kabhi Tujhse Karu To,
Mere Dua Ko Mera Kafan Kar De!
!***!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tu Sanam Mujhe Zara Bata!

Kaise Ho Jayun Tere Qaid Se Azaad,

Tu Sanam Mujhe Zara Bata!
!*!
Parinde Ke Pairon Se Kaise Bediya Toote,
Tu Sanam Mujhe Zara Bata!
!*!
Suraj Nahi Ugta Hai, 
Tere Deedar Ke Liye Meri Aankhein Khulti Hai,
Kaise Suraj Ughe,
Tu Sanam Mujhe Zara Bata!
!*!
Teri Mohabbat Mein Jo Phighal Kar Mera Dil Pani Ho Gaya Hai,
Fhir Kaise Woh Pathar Bane,
Tu Sanam Mujhe Zara Bata!
!*!
Aaj To Raatein Teri Yaad Mein Roshan Lagti Hai,
Kal Wahi Tanha Ho Jayegi,
Kaise Tanhai Mein Khud Ko Jeene Du,
Tu Sanam Mujhe Zara Bata!
!*!
Shama Ke Pehlu Mein Parwana Marta Hai,
Bina Shama Ke Kaise Parwana Marr Jaye,
Tu Sanam Mujhe Zara Bata!
!*!
[written by romil arora - copyright reserved]