Wednesday, December 10, 2008

keemati cheez Khuda ke ghar mein milti hai...

Har cheez mil jaye isi duniya mein yeh mumkin nahi,
kuch keemati cheez khuda ke ghar mein milti hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

dil se KUCH...

meri subah, meri shaam tum ho,
meri aarzoo, meri umeed tum ho,
tumko kaise yakeen delaiye,
meri diwali, meri eid tum ho!
!***!
andheron main kabhi baithon to khud se pucha karna,

meri khataiyeen kya thi,
meri bewafai kya thi...
[written by romil arora - copyright reserved]

umeed...

Mujhe maut aaye to teri baahon mein aaye,
Isi umeed par main marr jana chahta hu!

#Romil

मुझे मौत आये तो तेरी बाहों में आये, 
इसी उम्मीद पर मैं मर जाना चाहता हूं... 

#रोमिल

gila....

Tumko to is baat ka gila hai keval ki sanam nahi mila,
Humse pucho, humko to mohabbat hi nahi mili!

तुमको तो इस बात का गिला है केवल की सनम नही मिला,
हमसे पूछो, हमको तो मुहब्बत ही नहीं मिली!

#रोमिल

aarzoo...

ek aarzoo hai dil ko yeh janne ki
woh mujhko tanha chod kar kis haal mein rehta hoga!

#Romil

एक आरज़ू है दिल को यह जानने की 
वो मुझको तन्हा छोड़कर किस हाल में रहता होगा!

#रोमिल

daulat...

surat se nahi dil se mohabbat ki jati hai,
pasand ho agar koi cheez, keemat nahi dekhi jati hai,
daulat, duniya ke bazaar mein jaruri hogi dosto,
magar sach to yeh bhi hai har cheez daulat se nahi kharidi jati hai.

#Romil

सूरत से नहीं दिल से मोहब्बत की जाती है 
पसंद हो अगर कोई चीज, कीमत नहीं देखी जाती है 
दौलत, दुनिया के बाजार में जरूरी होगी दोस्तों 
मगर सच तो यह है हर चीज दौलत से नहीं खरीदी जाती है...

#रोमिल

amanat...

Woh is intezaar mein zindagi bhar tanha rahe ki hum unka haath maange,

hum is uljhan mein zindagi bhar tanha rahe ki apni amanat hum kisse maange!

#Romil

वो इस इंतजार में जिंदगी भर तन्हा रहे की हम उनका हाथ मांगे,
हम इस उलझन में जिंदगी भर तन्हा रहे की अपनी अमानत हम किससे मांगे!

#रोमिल