Thursday, December 11, 2008

Mujhpar hasaa mat karo...

Meri zindagi ko majbooriyon ka ghar mat kaho
Yeh zindagi hai meri, ise sazaa mat kaho.
~
Chhod jaate hai sab mera saath, meri majbooriyon ki wajah se
Tumko khuda ki kasam hai kisi ko bhi bewafa mat kaho.
~
Hu apno ki nazar mein nikamma-nakara
Tu mere apno ko galat mat kaho.
~
Jo hasna hai mujhpar hans lo
Jo kehna hai mere saamne keh lo
Mere peeche mujhe bura mat kaho
Mujhpar hasaa mat karo...
Mujhpar hasaa mat karo...
[written by romil arora - copyright reserved]

udaas...

Jab bhi udaas hota hu,
Sara jahan mera dil-e-haal puchata hai,
Magar kambhakt woh kuch nahi puchata
Jiske liye main udaas hota hu!

#Romil

जब भी उदास होता हूं 
सारा जहां मेरा दिल-ए-हाल पूछता है 
मगर कम्बख़्त वो कुछ नहीं पूछता है 
जिसके लिए मैं उदास होता हूं! 

#रोमिल

kya karna...

Jo pal beeth gaya usse yaad kya karna
apni majbooriyoon se pareshan kisi ko kya karna
apni udaasiyoon se kisi ko udas kya karna
haawan ke jhoke ka to kaam hota hai ujaad dena usse fariyad kya karna.
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, December 10, 2008

jeevan ek kala....

jis tarah ek baar waqt ke chale jaane ke baad woh waqt wapas nahi aata,
jis tarah paid se ek baar phal tooth jane ke baad wapas woh phal nahi lagta,
jis tarah naadi main ek baar pani beh jata hai fhir woh pani wapas nahi aata,
ussi tarah insaan bhi ek baar chale jaane ke baad woh wapas nahi aata...

#Romil

जिस तरह एक बार वक्त के चले जाने के बाद वो वक्त वापस नहीं आता, 
जिस तरह पेड़ से एक बार फल टूट जाने के बाद वापस वो फल नहीं लगता, 
जिस तरह नदी में एक बार पानी बह जाता है फिर वो पानी वापस नहीं आता,
उसी तरह इंसान भी एक बार चले जाने के बाद वो वापस नहीं आता...

#रोमिल

keemati cheez Khuda ke ghar mein milti hai...

Har cheez mil jaye isi duniya mein yeh mumkin nahi,
kuch keemati cheez khuda ke ghar mein milti hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

dil se KUCH...

meri subah, meri shaam tum ho,
meri aarzoo, meri umeed tum ho,
tumko kaise yakeen delaiye,
meri diwali, meri eid tum ho!
!***!
andheron main kabhi baithon to khud se pucha karna,

meri khataiyeen kya thi,
meri bewafai kya thi...
[written by romil arora - copyright reserved]

umeed...

Mujhe maut aaye to teri baahon mein aaye,
Isi umeed par main marr jana chahta hu!

#Romil

मुझे मौत आये तो तेरी बाहों में आये, 
इसी उम्मीद पर मैं मर जाना चाहता हूं... 

#रोमिल