milte the jo kabhi muskurake
woh ab nazar fher lete hai.
kuch aadat badal li hai...
~
tehzeeb se jo bola karte the,
woh ab aawaz badal lete hai.
kuch aadat badal li hai...
~
raaste mein milte the, salam karte the,
woh ab door se hi raasta badal lete hai.
kuch aadat badal li hai...
~
meri halat dekh kar
mere apno ne kuch aadat badal li hai...
[written by romil arora - copyright reserved]
All my posts dedicated to My Rab NaaZ... Bas is tarah mohabbat ki namazein ada kar leta hun, naam NaaZ ka zameen pe likh sajda kar leta hoon... Written By ROMIL.COPYRIGHT RESERVED to http://www.sunny-raj.blogspot.com and writer!
Tuesday, December 23, 2008
Monday, December 22, 2008
wajah puchate hai...
Hazaaron dost merey udasi ki wajah puchate hai
tumhara naam laite hai aur judai ki wajah puchate hai.
~
Teri haseen jawani, teri shaurat, tere khawabon par naaz karte hai
meri zindagi-e-haalat dekh kar bhi, mujhse teri bewafai ki wajah puchate hai.
~
Qasam sharafat-e-dil ki kabhi kisi se tera ab zikar na karunga
tere chale jaane ke baad tere intezaar ki wajah puchate hai.
#Romil
हजारों दोस्त मेरे उदासी की वजह पूछते हैं
तुम्हारा नाम लेते हैं और जुदाई की वजह पूछते हैं...
तेरी हसीन जवानी, तेरी शोहरत, तेरे ख्वाबों पर नाज़ करते हैं
मेरी जिंदगी-ए-हालत देखकर भी,
मुझसे तेरी बेवफाई की वजह पूछते हैं...
कसम शराफत-ए-दिल की कभी किसी से तेरा ज़िक्र ना करूंगा
तेरे चले जाने के बाद तेरे इंतजार की वजह पूछते हैं...
#रोमिल
REALly funny...
Jab bhi koi aashiq apne mehboob ki tasveer dekhata hai...
koi aashiq use chand kehta hai,
koi aashiq use gulab kehta hai,
koi aashiq use rab ka noor kehta hai.
*
Magar Maine Jab Tasveer Dekhe Thi To Use
TERRORIST Kahan Tha.
koi aashiq use chand kehta hai,
koi aashiq use gulab kehta hai,
koi aashiq use rab ka noor kehta hai.
*
Magar Maine Jab Tasveer Dekhe Thi To Use
TERRORIST Kahan Tha.
Saachi Rab Ki Sau.
hain na really funny. :-)
#Romil
Puchate Ho Mere Bina Kaise Zindagi Katati Hai...
Puchate Ho Mere Bina Kaise Zindagi Katati Hai...
muskurate iss liye nahi ki dil fir se yaad karke dukhta hai!
rote iss liye nahi zakhm fir se haara hota hai!
kisi ko zindagi-e-raah mein chunte iss liye nahi tere saaye ke saath chalna aacha lagta hai!
kisi se milte iss liye nahi juda hone ka fir darr rehta hai!
bas aise hi khud se rubaru hote hue zindagi katati hai...
#Romil
पूछते हो मेरे बिना कैसे जिंदगी कटती है
मुस्कुराते इसलिए नहीं की दिल फिर से याद करके दुखता है!
रोते इसलिए नहीं ज़ख्म फिर से हरा होता है!
किसी को जिंदगी-ए-राह में चुनते इसलिए नहीं तेरे साये के साथ चलना अच्छा लगता है!
किसी से मिलते इसलिए नहीं जुदा होने का फिर डर रहता है!
बस ऐसे ही खुद से रूबरू होते हुए जिंदगी कटती है...
#रोमिल
Thursday, December 18, 2008
rab kuch to faisala kar de...
Ya sagar de ya sahil de
rab kuch to faisala kar de
*
Ya gum de ya khushi de
rab kuch to faisala kar de
*
Ya zindagi bana de ya zindagi ujaad de
rab kuch to faisala kar de
*
Ya sanam se mila de ya maut de
rab kuch to faisala kar de!
#Romil
या सागर दे या साहिल दे
रब कुछ तो फैसला कर दे...
या ग़म दे या ख़ुशी दे
रब कुछ तो फैसला कर दे...
या ज़िन्दगी दे या ज़िन्दगी उजाड़ दे
रब कुछ तो फैसला कर दे...
या सनम से मिला दे या मौत दे
रब कुछ तो फैसला कर दे...
#रोमिल
Monday, December 15, 2008
Dil-e-dard to hota hai.
Koiye apna juda ho jaye
Dil-e-dard to hota hai.
Jab koiye sapna tooth jaye
Dil-e-dard to hota hai.
~~~
Hum karte rahe intezaar jinka saalon tak
Woh pal bhar main begane ho jaye
Dil-e-dard to hota hai.
~~~
Hum karte rahe waafa par waafa
Unko yakeen na aaye
Dil-e-dard to hota hai.
~~~
~~~
Maana hum nahi unki hasiqat ke kaabil
Magar woh is tarah humko tanha chod jaye
Dil-e-dard to hota hai.
~~~
Jo hamare naam se rachate the mehandi apne haanton ke
Woh haath kis aur ke baahon main naazar aaye
Dil-e-dard to hota hai.
~~~
~~~
Hum unki bewafai jaan kar bhi unki raahon main rahe
Magar woh thokar maar kar aagey badh jaye
Dil-e-dard to hota hai.
[written by romil arora - copyright reserved]
[written by romil arora - copyright reserved]
Christmas Aaya...
~~Hurrah.Hurrah~~
Christmas Aaya
Christmas Aaya
Khushali Laya, Khushali Laya
Sabke Honton Par Muskaan Laya
Christmas Aaya, Christmas Aaya.
Santa Claus Aaya
Santa Claus Aaya
Toffee, Chocolate, Ballons, Toy, Gift Laya
Sabke Liye Khushiyon Ka Sandesha Laya
Santa Claus Aaya, Santa Claus Aaya.
#Romil
हुर्राह... हुर्राह...
क्रिसमस आया
क्रिसमस आया
खुशहाली लाया,खुशहाली लाया
सबके होठों पर मुस्कान लाया
क्रिसमस आया,क्रिसमस आया...
सांता क्लास आया
सांता क्लास आया
टॉफी...चॉकलेट... बलूंस... टॉय... गिफ्ट लाया
सबके लिए खुशियों का संदेशा लाया
सांता क्लास आया
सांता क्लास आया...
#रोमिल
Subscribe to:
Posts (Atom)