Tuesday, December 23, 2008

Main Hu Santa Claus!




Main Hu Santa Claus!
aaya hu main khushiyaa lekar
pyar aur shanti lekar
sabke liye God ka sandesh lekar
aaya hu main khushiyaa lekar...
~~~
meri jholi main dekho kitne saare taare hain
bilkul baachon tumhare jaise hain.
*****
meri jholi main dekho kitne saare khilone hain
bilkul baachon tumhare jaise pyare-pyare hain.
~
dekho main kitne chocolate, toffee laya hu
sabke liye uphaar laya hu
naye-naye kapde, bahut saari aachi-aachi kitabe laya hu.
Main Hu Santa Claus!
sabhi udaasi durr karne aaya hu
aaya hu main khushiyaa lekar...
Main Hu Santa Claus!
Merry Christmas...Merry Christmas...
[written by romil arora - copyright reserved]

insaaf

wah re khuda tera insaaf kya hua 
jise mangate the hum roz apni dua mein woh kisi aur ko bina maange hi mil gaya...

#Romil

वह रे खुदा तेरा इंसाफ क्या हुआ 
जिसे मांगते थे हम रोज अपनी दुआ में वो किसी और को बिना मांगे ही मिल गया...

#रोमिल

bahut masoom the hum bhi...

bahut masoom the hum bhi
kisi ke chehre ko chand samajhate the,
kisi ki nazron ko aaina samajhate the,
kisi ke honton ko gulab samajhate the,
kisi ki zulfon ko ghani raat samajhate the,
kisi ko rab samajhate the,
bahut masoom the hum bhi...

#Romil

बहुत मासूम थे हम भी 
किसी के चेहरे को चाँद समझते थे, 
किसी की नजरों को आईना समझते थे, 
किसी के होठों को गुलाब समझते थे, 
किसी की जुल्फों को घनी रात समझते थे, 
किसी को रब समझते थे, 
बहुत मासूम थे हम भी...

#रोमिल

aansoo aaye....


woh mila tab bhi aankhon main aansoo aaye
woh juda hua tab bhi aankhon main aansoo aaye
woh shakhs hi kuch aajeeb tha, shayad mere dil ke bahut kareeb tha
isliye usse milate-juda hote mere aankhon main aansoo aaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

kuch aadat badal li hai...

milte the jo kabhi muskurake
woh ab nazar fher lete hai.
kuch aadat badal li hai...
~
tehzeeb se jo bola karte the,
woh ab aawaz badal lete hai.
kuch aadat badal li hai...
~
raaste mein milte the, salam karte the,
woh ab door se hi raasta badal lete hai.
kuch aadat badal li hai...
~
meri halat dekh kar
mere apno ne kuch aadat badal li hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, December 22, 2008

wajah puchate hai...

Hazaaron dost merey udasi ki wajah puchate hai
tumhara naam laite hai aur judai ki wajah puchate hai.
~
Teri haseen jawani, teri shaurat, tere khawabon par naaz karte hai
meri zindagi-e-haalat dekh kar bhi, mujhse teri bewafai ki wajah puchate hai.
~
Qasam sharafat-e-dil ki kabhi kisi se tera ab zikar na karunga
tere chale jaane ke baad tere intezaar ki wajah puchate hai.

#Romil

हजारों दोस्त मेरे उदासी की वजह पूछते हैं 
तुम्हारा नाम लेते हैं और जुदाई की वजह पूछते हैं... 

तेरी हसीन जवानी, तेरी शोहरत, तेरे ख्वाबों पर नाज़ करते हैं 
मेरी जिंदगी-ए-हालत देखकर भी, 
मुझसे तेरी बेवफाई की वजह पूछते हैं... 

कसम शराफत-ए-दिल की कभी किसी से तेरा ज़िक्र ना करूंगा 
तेरे चले जाने के बाद तेरे इंतजार की वजह पूछते हैं...

#रोमिल

REALly funny...

Jab bhi koi aashiq apne mehboob ki tasveer dekhata hai...
koi aashiq use chand kehta hai,
koi aashiq use gulab kehta hai,
koi aashiq use rab ka noor kehta hai.
*
Magar Maine Jab Tasveer Dekhe Thi To Use
TERRORIST Kahan Tha. 
Saachi Rab Ki Sau. 

hain na really funny. :-)

#Romil