Wednesday, December 31, 2008

beethe yaadon ko bhula mat dena

beethe yaadon ko bhula mat dena
tum mujhe bhula mat dena...
yaad rakhana meri mohabbat,
woh pyar ke pal
tum meri wafaon ko bhula mat dena...
beethe yaadon ko bhula mat dena.
~
saath dekhe the jo sapne humne
ab wahi mere apne hai
tum un sapno ko bhula mat dena...
beethe yaadon ko bhula mat dena.
~
rait par lekhe the jo humne pyar ke vaade
tum us rait ko saagar main bahan mat dena....
beethe yaadon ko bhula mat dena.
~
aaj bhi tere chehare par honge meri ungaliyoon ke nishaan
tum usse apne aansoon se mita mat dena....
beethe yaadon ko bhula mat dena.
~
main hamesha rahunga tere rooh main simat kar
tum apne rooh se mujhe juda kabhi mat hone dena
beethe yaadon ko bhula mat dena.
[written by romil arora - copyright reserved]

Nav Varsha Aaya Hai...

Nai asha, naya ujyala laya hai
Nav Varsha Aaya Hai!
~
Kheton main fhir sona barsega
Naye rojgar ke avsar milenge
Charon taraf vikas hi vikas hoga
Har koi subh mangal jeevan jiyega
Fhir khushali, samridhi, safalta ke din aaye hai
Nav Varsha Aaya Hai!
~
Vishwa kutumb banega
Aatankwad ka naas hoga
Ahinsa ka sandesh jagah-jagah pahuchega
Charon taraf pyar aur sadbhawana ke phool khelenge
Subh Nutan Varsh Aaya Hai!
Nav Varsh Aaya Hai!

#Romil

नई आशा, नया उजाला लाया है 
नव वर्ष आया है...

खेतों में फिर सोना बरसेगा 
नये रोजगार के अवसर मिलेंगे 
चारों तरफ विकास ही विकास होगा 
हर कोई शुभमंगल जीवन जीयेगा
फिर खुशहाली, समृद्धि, सफलता के दिन आए हैं 
नव वर्ष आया है...

 विश्व कुटुंब बनेगा
आतंकवाद का नाश होगा 
अहिंसा का संदेश जगह-जगह पहुंचेगा 
चारों तरफ प्यार और सद्भावना के फूल खिलेंगे 
शुभ नूतन वर्ष आया है ! 

नव वर्ष आया है...

#रोमिल

JoKE..

Romil - Hospital Mein...

Romil ka Bhai - Lady Doctor Se Puchata Hua...
Zara Suno...
Kya Khayal Hai Romil Ke Baare Mein...

Lady Doctor - Iss Khadoos Ke Khayal...
Din Bhar Bhagwan Ke Saath Poore Hospital Ko Galiya Deta Rehta Hai. Abhi To Iski Ek Tang Tooti Hai, Mera Bas Chalta To Iska Sar Bhi Fod Deti...

Tuesday, December 30, 2008

khayal

Bas isse khayal main jeete rehta hu main
ki agar marr gaya to tu badnaam na ho jaye!
[written by romil arora - copyright reserved]

mere aansoo...


Dua unki khushi ki mangi thi
unko itni khushi mili
ki kabhi unko fursat nahi mili
mere aansooyon ko dekhane ki!
[written by romil arora - copyright reserved]



aankhen...

Aankhen khuli to khawab bhi kho gaye
woh is tarah humse door ho gaye
aankhen band thi to dil ko qaraar tha
woh door tha magar fir bhi to hamare pass tha...

#Romil

आँखें खुली तो ख़्वाब भी खो गये
वो इस तरह हमसे दूर हो गये
आँखें बंद थी तो दिल को क़रार था
वो दूर था मगर फिर भी तो हमारे पास था...

#रोमिल

Mere Aansoon...

Abhi Bahut Barsaat Ho Rahe Hai Tum Kahan Jayogi,
Bheeg Jayogi,
Mere Aansoon Ko Thoda Tham Jaane Do!
[written by romil arora - copyright reserved]